main tujhse door kaisa hun, tu mujhse door kaisi h ye tera dil samajhta h, ya mera dil samajhta h mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahani h kabhi kabeera diwana tha, kabhi meera diwani h yahaan sab log kehte h meri aankhon mein aasoon h jo tu samjhe to moti h, jo naa samjhe to paani h badlne ko to in aankhon ke manjar kam nhi badle tumhari yaad ke mausam, hamare gam nhi badle tum agle janm mein humse milogi tab to manogi jamane aur sadi ki is badal mein hum nhi badle hume maloom h do dil judai seh nhi sakte magar rasm-e-wafaa ye h,ki ye bhi keh nhi sakte jara kuch der tum un sahilon ki cheekh bhar sun lo jo leharon mein to doobe h, magar sang beh nhi sakte samadar peer ka andar h lekin ro nhi sakta ye aansun pyaar ka moti h,isko kho nhi sakta meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le jo mera ho nhi paaya, wo tera ho nhi sakta mile har jakhm ko,muskaan se seena nhi aaya amarta chahte the,magar garal peena nhi aaya tumahri aur meri daastan mein farak itna h mujhe marna nhi aaya,tumhe jeena nhi aaya panahon mein jo aaya ho, to us par vaar kya karna jo dil haara hua ho,us pe fir adhikaar kya karna mohabbat ka majaa to doobne ki kashmkash mein h ho agar maloom gehrai to dariya paar kya karna jahaan har din siskana h,jahan har raat gaana h hamari jindgi bhi ek tawayaf ka gharaana h bahut majboor hokar geet roti ke likhe maine tumhari yaad ka kya h, use to roj aana h tumhare paas hun lekin jo doori h, samjhta hun tumhare bin meri hasti adhoori h,samajhta hun tumhe main bhool jaunga, yeh mumkin h nhi lekin tumhi ko bhoolna sabse jaroori h, samajhta hun sadaa to dhoop ke haathon mein hi parcham nhi hota khushi ke ghar mein bhi bolo,kabhi kya gam nhi hota fakat ek aadmi ke waaste jag chodne waalon fakat us aadmi se ye jamaana kam nhi hota hamare vaaste koi dua maange,asar to ho