You are on page 1of 1

Mujhe bhool jao

Chalo yoonhi sahi mera Dil, Dil nahin tha


Wafa ka lahoo iss me shaamil nahin tha
Yeh sachi muhabbat ka haamil nahin tha
Tumhari parastish ke qaabil nahin tha
Yeh behtar hai ab tum mujhe bhool jao

Ghazab ki thii Ufff wuh mulaqat pehli


Jab ik kam Zubaan se thii ki baat pehli
Wuh halki si boondain wuh barsaat pehli
Khuda jaane kaesi thii wuh raat pehli
Yeh behtar hai ab tum mujhe bhool jao

Dilon ko na madhoshiyon me dabote


Wuh Jaam-e-Muhabbat piiye hi na hote
Khud apne kiye peh na iss tarha rote
Na maazi ke maatam mein yoon waqt khote
Yeh behtar hai ab tum mujhe bhool jao

Na Dil chaein paae tumhaari balaa se


Jo furqat satae tumhaari balaa se
Ghatta ab jo chhaae Tumhaari bala se
Balaa mujh peh aae tumhaari balaa se
Yeh behtar hai ab tum mujhe bhool jao

Muhabbat ke Jhoote khaton ko jala do


Meri yaad tum Loh-e-Dil se mitta do
Ab Ansoo yeh kaese bhula do bhula do
Jo rona hai mujhko inhi me bahaa do
Yeh behtar hai ab tum mujhe bhool jao

You might also like