You are on page 1of 2

Saturday, 19 March 2011

At last, at the end aur aakhirkaar shuru hua mera safar!! TCS mein joining ka, 7 months aur 5 din
baad he sahi!!
waise kabhi samay se pehle na milne ke is kismat k khel main aakhirkaar main aage nikal he aaya!!

Meri journey 16 saal baad ek baar fir hawai yatra se shuru hui!! Airport mein ek gaanv se aaye aadmi
ki tarah enter karne se!! saari ek ke baad ek kya kya karna hai ye phone par poochh pooch kar aage
badhne se shuru hua ye safar aakhirkaar mujhe aeroplane tak le he aaya!!

Plane mein ghuste he aisa lagaa na jaane kaise anjaan desh mein aa gaya!! Halaki main pehle bhi
baitha hua hu!! Par us samay to dadaji k saath hone ki wajah se koi takleef nahi hui!!! Sabhi logo ko
bye bye kar k main apni seat se baahar dekh he rahaa tha k achanak ek airhostess ne mujhe kuchh
kehne k liye mujhse mere 2 minute maange!! Ab aage usne jo bhi kaha wo mujhe kuchh bhi samajh
nahi aaya!!! Mujhe laga kuch aisa he keh rahi hogi jisse mera kharcha ho to maine manaa kar diya!!
Aur mere manaa karte he usne mujhe badi hairaani se dekha mujhe laga shayad wo meals k liye
poochhne aayi hai!! Tabhi sath baithe ek uncle ne mujhe samjhaya k wo mujhse kuch darwaaze k
baare mein pooch rahi hain!! Aur tab maine AH se kaha “I din understand wat u’ve said can u plz
come again??”
jab usne dobara mujhse poocha to mujhse sahi sahi samajh aaya!! Darasal main emergency door k
paas baitha tha aur AH ne mujhse poocha k kya main emergency k time mein wo door khol kar apni
aur baaki passengers ki help karne mein interested hu ya kya mujhe aisa karne mein koi pareshaan
to nahi hogi??
iske baad main bina kuchh bole kewal sir hilakar use ishara kiya k main door open kar dunga agar
aisa kuchh hua toh!!

baad mein usne mujhe door open karne ka method samjhaya jo mujhe apne college k kisi lecturer k
lecture ki tarah aadha samajh mein aaya aur baaki maine apni kalpana shakti se “fill in the blanks”
bhar liye.

finally wo chali gayi aur sath baithe uncle ne mujhse poocha k kya main hyderabad he jaa rahaa hu
to maine haan kaha , fir unhone poocha k main kya karta hu??(waise ab tak wo jaan chuke honge k
ye meri pehli yaatra thi!!) maine kahaa k main TCS join karne jaa rahaa hu!!! Isse pehle k wo kuchh
bolte tabhi mere peechhe ki seat se awaaz aayi!! “are u goin to join TCS??”
maine peeche palat kar dekha to mujhe pata chala k mere saath join kerne k liye aaye do ladke
piyush mittal aur piyush nijhawan mere peeche he baithe the!!
so finally koi to mila jo mere saath join karne wala tha!!

Baad mein main baahar dekh he raha tha tabhi kisi ne poocha “Mr. mishra would u like to have
something?” maine palat kar dekha to wahi AH mujhse mujhse khaane k liye poochhne aayi thi kuch
khaane mein lene k liye!!! Uske baad na jaane usne mujhse kya kaha aur keh kar apne saath ki AH ko
dekh kar hasne lagi!! Mujhe poora yakeen ho gaya tha k ye dono mere in flight se anjaan hone ki
wajah se has rahi hain but koi nahi!! Ab do khubsurat ladkiyon ko haste dekhne k liye main apni
chhoti si insult seh sakta hu!!
waise ab plane neeche utarna shuru ho gaya hai!! Aur mere pet mein vibration bhi jo k height se darr
lagne ki wajah se aksar hoti rehti hai!!! Jaise he main plane se utara mujhe ek aur TCS associate mila
jiski joining bhi mere he saath thi!! Aisa lag rahaa tha k jaise TCS walon ne koi mela lagaya ho aur har
koi wahi ja rahaa ho!!

Ab chuki 5-6 log saath mein he the to humne Cab lene ki jagah buis se jaana theek samjha.kisi tarah
bus se utarte he hamein tCS officde mil gaya jo ki kohinoor park mein he tha.

You might also like