You are on page 1of 1

This is poetry done by ME !!

General Ashar:
1)
Aye sitaray teri kashish-o-chamak chand k muqabil baitahasha h
Per tu dorr h, raat ki tariqi mit-ti to chandani se hi h
2)
Kyon shaoor-e-bashar itna nahi kay samajh sakay
Kay deen say muratab duniya hi hay akhrat ka sahara
3)
Hasool-e-laksh k liye marahil tay karna h fitrat
phir kyon h darr maut se azmaish-e-zindagi mein
Mehboob type Ashar (heheh):
4)
Aye khuda na liya kar azmaish-e-qalb tu itna
K kisi banday k liye teri bandagi bhula bethon
5)
Wo dour-e-waqt tha teray liye, kaat gia so kaat gia
Hum to usi sama mein jee rahay hein, sath teray aye anjaan
6)
Pehchan meri kya, ye janta hon mein to kya
Jab tujhse juda paya, ye pehchan meri apni to nahi
7)
Baishak hoor-e-janat k husan ki misaal aur to koi nahi
Meray mahboob jaisa humsafar bhi aur to koi nahi
8)
Naqab k pechay chala gia koi, jo humse benaqab tha
Bas mein teray hoga bohet kuch, per yaadein to teri hein hamaray paas

You might also like