You are on page 1of 2

Wo Kehti hai Suno Jana Muhbbat Moom Ka Ghar Hai Tabish Bad Gumani Ki Kahin Pighla Na De Ais ko Main

Kehta Hoon Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho Wahan Kch Or Ho Tu Ho Muhbbat Ho Nai Sakti Wo Kehti Hai Sada Aisay He Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi Gawara Ker Nai Sakti Main Kehta Hoon Muhbbat Kaya Hai Yeh Tum nay shikaya hai Mujay Tum Say Muhbat K Siwa Kch b Nai Ata Wo Kehti Hai Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna Mumkin Nai Hai Ab Main Kehta Hoon Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain Mager Sach Hai Muhbbat Main Judai Saath Chalti Hai Wo Kehti Hai Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien Bhula Do gaye Main Kehta hoon Kabhi Ais Baat per socha nai main nay ager ik pal ko b sochon tu saansien ruknay lagti hain wo kehti hai tumhien muj say muhbbat ais kader kio hoon Keh main ik aam si lerki tumhien kio khas lagti hon main kehta hoon kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho meri dewangi kio hoon yeh khud he jaan jao gi wo kehti hai mujay warftgi say dekhtay kio ho keh main khud ko buht keemti mehsoos kerti hoon main kehta hon Mata-e-jaan buht anmool hoti hai tumhien jab dekhta hoon zindgi

mehsoos kerta hoon wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay keh tumhien bata sakon keh dil main mere kitni muhbbat hai main kehta hoon muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai tumhari khamosi muj say tumhari baat kerti hai wo kehti hai batao na kis ko khonay ser darta ho batao kon hai wo jisay yeh musam bulatay hain Main kehta hoon yeh meri sheri hai aiena dil ka zara dekho batao kaya tumhien ais main nazar aya wo kehti hai Atif ji buht baatien banatay ho mager sach hai yeh baatien buht he shaad rakhti hain main kehta hoon yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain keh pal kch zindagani k tumhare saath kat jaien phir us k baad khamoshi ka dilkash raqs hota hai nagihaien bolti hai or lab khamosh rehtay hain

You might also like