You are on page 1of 1

naad-e- Ali ka wird jo kertee chalee gayee umre rawan sukuoon say guzertee chalee gayee jis nay

dar-e-Hussain pey sar ko jhuka diya woh shakhsiyat jahan may ubhertee chalee gayeee maydan may taigh dasht may taigh-e-Ali na pooch ser say chalee badan may utertee chalee gayee fouj-e-udu pay daal kay aik ser seri nigaah ser ko uratee ser say guzertee chalee gayee deewana waar loug bhi martay chalay gaye taigh e Ali jidher say guzartee chali gaye duniya may zikr-e-Aal-e-Muhammad na mit saka duniya yeh arzoo liyay mertee chalee gayee maut aaarahi thee dekha jo lab per Ali ka naam mujh say milay bagher guzertee chalee gayee merhab hawa may uchla jo kha ker Ali kee zerb haton say taigh peyron say dhertee chalee gayee gohar lahad may pohncha jo ashk-e-aza liyay eik roshni lahad may utertee chalee gayee

You might also like