You are on page 1of 1

Waada Raha

tiara sochna aur poocna nahi tha munasib


day kar sab jawaab khud ko tarpa loonga

chah, chahat say hotti nahi hay mashroot


saz-e-dil jo suna to dharkan chura loonga

ansunni ko ankahi he rehnay do hamdam


warna anwaan ko mazmoon bana loonga

khoon-o-ashk ki rawaani rahain jari-o-sari


gar tapka to piar ka paimana bana loonga

ho na jye kaheen iss amanat main khianat


iss khauf-o-dar say sab kuch lotaa doonga

paas ayia to phir wapsi na ho gee mumkin


tujay main apni soch ka hisa bana loonga

tairey fariaib hain sadaa say itnay dil pazir


rasm-e-dunia ko ehad-e-wafa bana loonga

kitab-e-dil to hay saheefa-e-piaar-o-wafaa


her waraq par mohr-e-sachai laga doonga

tujhay bholna to hay nahi mairey bas main


mumkin ye hay keh apna aap bula doonga

koi poochay to, sab kuch he bata doonga


gar na bola tab, to khud he ko jala loonga

Shahid Riaz
shahid.riaz@gmail.com

You might also like