You are on page 1of 1

pagal ladki Amawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai, Jab dard ki pyaali raaton mein

gum ansoon ke sang hote hain, Jab Jab Jab Jab Tab Aur Jab Jab Jab Jab Jab Jab Jab Jab Jab Tab Aur Jab Jab Jab Kya Jab Jab Jab Jab Jab Tab Aur pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain, ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain, baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain, unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain, ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai, us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai. pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain, gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain. baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai, suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai, jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai, college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai, beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai, lakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai, apna manchaha har kaam koi lachari lagta hai, ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai, us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai. kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai, darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai, badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo, likhte ho lalla dinbhar, kuchh sapnon ka bhi samman karo, baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain, baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain, saari pahne ek ladki ka ek photo laya jaata hai, bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai, saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai, ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai, us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin, Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin, Woh pagli ladki mere liye nau din bhooki rahti hai, Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai, Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon, Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon, Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba, Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba, Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai, Aur us pagli ladki ke bhin marna bhi bhari lagta hai ~ Dr Kumar Viswas

You might also like