You are on page 1of 10

| | Om gan ganpataye namah | |

Socha na tha ?!

Sc. 1/1/day/ext/chawl
(Chawl establish karte hue Aakash dudh ki thaili hath me liye Tai se chhipte hue
bhagta hai)
cut to…
Sc. 1/2/day/int/room
(Room me camera poster se pan hote hue newspaper par tikta hai jis par likha
hai “Yuva Filmo Mein Aane Se Pehle Apna Chehra Aaine Me Dekhen : Mahesh
Bhatt” Aditya apna chehra mirror me magnifying glass se dekh raha hota hai.
He is ready to go out side. Itne mein Aakash ki entry hoti hai..[hath me dudh ki
thaili])

Aditya – (Dharam style me, Aakash ka gala pakad kar) kutte kamine main
tera dudh pee jaunga.
Aakash – (gala chhudate hue, do kadam aage badata he)
Aditya - (uske kandhe par hath rakhate hue, he is singing) abhi na jao chhod
kar ki dudh abhi piya nahi (Aakash piche ghumta he) ye dudh…..
ye dudh hame de de thakur
Aakash - (with little anger, sanjeev kr. Style me) Aditya dudh baad me lena
pehle laat le (use ek laat marta hai) (Aditya gir jata hai)
Sale teri wajah se mujhe zillat ki zindagi jina par rahi hai.
Aditya - Abe maine kya kiya hai?
Aakash - Kya kiya? ….. niche wo Tai kiraye ke liye fun failaye khadi hai.
Sala isliye mujhe pipe se chadkar aana para. Raja sahab kuch kaam
karo kaam
Aditya - Kaam hi to dhoondhne ja raha hoon yaar. Aaj 2-baje Contiloe
studio me tere bhai ka screen-test hai. Lekin usse pehle mujhe
Yashraj Films ke office jana hai, Casting-director se 11 baje ka
appointment hai.
Aaksh - To abhi tak yahan kyon para hai? (Aditya dekhte hue) jaldi ja
warna apne 225we appointment me 138we bar late ho jayega.
Aditya - I am going man. (dharma style me) Yash Raj films main aa raha
hoon.
Aakash- abe pehle joote to pehan.
cut to…
Sc. 1/3/day/ext/chawl stairs
(Aditya neeche utar raha hai tabhi use padosan dikhai deti hai. She is at the
door) and he starts singing…
Aditya – Ghar se nikalte hi…. Kuch duur chalte hi….
(padosan apna darwaja band kar deti hai)
cut to…
(Mumbai ki daud-bhag ka stock shot…. Building ka shot)
Sc. 2/1/day/int/yash films
(cd gilbert and ad roy aapas me baatchit kar rahe hai..)
CD – All characters are finalized roy… hero se lekar villain tak, sabhi ke
dates bhi mil chuke hain. A3 ke remake me maine casting par khas
dhyan diya hai.
AD - Keep one thing in mind, A3 ka chhota se chhota character bhi
powerful hona chahiye
CD - Oh! No, Roy ek problem hai.
AD - (Striking the table) woi hum sochta tha ki tumhara kaaj bina
problem ke kaise finish ho gaya.
CD - Are Roy, Ab kya bataoon yaar, chhakke ke role ke liye koi sahi
actor mila hi nahi.
AD - What r u saying man? Kuch bhi karo par kal tak sab final ho jana
chahiye.
(itne me Gilbert ka landline phone bajata hai)
CD - ya, (ruk kar) who? Ok, let him come.
(Aditya ki entry) knock on the door
Aditya - may I come in sir.
CD - yes come in young man.
Aditya - Sir, I am Aditya saxena, sir aapse phone Par baat hui thi….
CD - yes tell me what do u want?
Aditya - Sir, main national acting school ka pass-out hoon, aapki nayee film
Amar Akbar Anthony me acting ke liye…
(yaha se ham AD ka visualization bhi dikha sakte he)
CD - (cross karte hue) well young man, tum apna portfolio yahi chhod
do, Agar koi role hoga to we will call you.
Aditya - Sir, agar aap kahe to main aapko apni acting ka ek namoona
dikhaun?
CD - no no your portfolio is enough
Aditya - Plz sir, main kaafi achhi acting karta hoon, bas ek bar aap chance
dijiye
CD - no, there is no need of such things, u can go now.
(Aditya chala jata hai)
AD- Gilbert, ye ladka chhakke ke liye kaisa rohega?
CD - this guy? But he wants to be a hero.
AD - itna bada banner me first break ke liye to koi kuch bhi kor sakta
hai, eee chhokka kya chiz he? Tum usko kol bula lo.
cut to…
(Mumbai ki bhag-daud ka stock shot…. Building ka shot, board laga hua hai)
Sc. 3/1/day/int/studio
(Corridor mein 6 – 7 log screen test ke liye baithe hain, peon kaan khuja raha
hai…. Aditya ke dialogue ke last line chal rahi hai)
Aditya – (Acting karte hue) tum nahi jee sakti maa. Sorry sorry sir, tum nahi
mar sakti maa.

Selector - Cut, ok next


cut to…
Sc. 3/2/day/int/studio corridor
(bahar nikalte hue Aditya tention me hai kyonki usse galti ho gayee hai, selector
mobile par baat karte hue bahar aata hai)
Selector - Ya, Desai speaking
(achanak Aditya ka dhyan uski taraf jata hai aur wah uski baat khatm hone ka
intezaar karne lagta hai, peon uski harkato ko ghure ja raha hai)
(after some time)
Aditya - Excuse me sir
Selector - yes
Aditya - sir main isse aur behtar perform kar sakta hoon
Selector - Don’t worry mr……….?
Aditya - Aditya saxena
Selector - ya Aditya, tumne achha perform kiya hai, lets see ab to kuchh hi
der me pata chal jayega
Aditya - sir, Deshpande sir ne kaha tha ki aap meri madad zaroor karenge
Selector - Deshpande?
Aditya - Sir wo jo National acting school ke professor hain
Selector - Are haan-2 deshpande ji, Achha to wo tum ho, tumne pehle kyon
nahi bataya, tum baitho main kuchh karta hoon
cut to…
Sc. 3/3/day/int/studio
(wo chala jata hai, itne me Aditya ka phone bajata hai)
Aditya - hello (pause) ya Aditya here
(split screen)
CD - this is gilbert from Yash raj films
(khushi ke mare Aditya jor se bolne lagata hai aur peon use bahar jane ka ishara
karta hai)
Aditya - yes sir, good after noon sir
CD - there is a role for u in remake of A3, so kal 10’oclock tum office
aa jana.
Aditya - ok sir, I will be there , thank u sir
(phone cut karte hi wo apne sapno me kho jaata hai aur apne aapko Amar Akbar
Anthony ke roop mein visualize karta hai)
Peon - (Aditya ko jhakjhorte hue) O hero tumko andar bula rahe hain
(Studio ke andar jata hai …..aditya ke tewar badal gaye hain)
Selector - congrates! Mr. Aditya Saxena, aapko hero ke dost ka role offer kiya
ja raha hai
Aditya - (akad kar) I am very sorry to say sir, ab main ye role nahi kar sakta
(tino selector ek dusre ko dekhne lagte hain)
Selector - abhi to tum iss role ko pane ke liye gidgida rahe the ab kya ho
gaya?
Aditya - Aditya saxena aise chhot- mote role karne ke liye paida nahi hua
Selector2 - what? fir kaise role karne ke liye paida hua hai?
Aditya - Lead role
Selector 1- Lead role kya tumhara baap dega
Aditya - Baap nahi, Yash raj films dega. Ok mere pass jyada waqt nahi hai
so good bye to all of u
(waha se chala jata he)
cut to ….
Sc. 4/1/evening/int/room
(chawl me shaam ki halchal…. Room ke andar Aakash movie dekh raha hai,
Aditya aakar t.v. band kar deta hai)
Aakash - Abe sale t.v. kyon band kar diya?
Aditya – (khushi se announcement karte hue) abe tu kya ye sadi gali movie
dekh raha hai, kyonki ladies and gentleman it is time to watch your
superstar Aditya.. .
Aakash - Abe o sukhe hue handpump, kuch batayega bhi ya yoon hi uchhal
kud machata rahega?
Aditya - Aakash aaj is handpump ka sukhapan dur ho gaya hai, (nachte
hue) mujhe Amar Akbar Anthony ke remake me role mil gaya hai.
Aakash - Kya baat kar raha hai (excitement me) achha kauna se role ka offer
hai? Amar ka, Akbar ka ya Anthony ka?
Aditya - (serious hote hue) are ye to maine puchha hi nahi…. No probs…
kal subah 10 baje sab pata chal jayega
(apne joote utarte hue bolta hai)
kal tu bhi chalna mere sath, after all its my first chance
cut to ….
Sc. 5/1/morning/ext/milk shop
(Aditya dudh ki dukan par khada hai aur dukan wala ladka use thaili deta hai
itne me dukan ka malik kehta hai)
mohan - are Aditya bhaiyaa bade dino ke bad dikhyee diye aur ye do litre
doodh kiske liye?
Aditya - Apne liye hi he bhaiyaa, ab hamare din badalne wale hain
Mohan - ou kaise? Konho lottery-wottery lag gayee he ka?
Aditya - Lottery hi samjho, film me hero ka role jo mil gaya hai isliye socha
thoda body shody bana loon (biceps dikhate hue)
Mohan - eee to bahut khusi ki baat he. Adi bhaiya wo hamara kuch….
Aditya - (bich me tokte hue) kuch kya tumhara sara hisab kal barabar kar
dunga
Mohan - are bhaiya paise ke pichhe kaun pada hai
Hum to yah kah rahe hain ki hame bhi acting ka bhut chada hai
Hero bankar hame bhul mat jana
(Adi dodh ki thaili lekar chala jata hai. Raaste me Tai mil jaati hai.)
Tai - (Bhim singh ko bolti hai) uss ladke ko pakdo
(pahalwan use pakadta hai. Aditya achraz se dekhta hai)
Tai - Chalo ek to aaya pakad me.
Aditya - Are Tai kya karti ho, main koi bhag thodi raha tha
Tai - Tum dono naaspito ka koi barosa nahi, tera wo dost Aakash, roz
pichhe se nikal jata hai.
Aditya - Ab pichhe se nikalne ke din gaye Tai. Tumhara Adi ab hero banne
wala hai
Tai - (chikoti katate hue) hero ban ya villain, Tai ko apna teen mahine ka
kiraya chahiye.
Aditya - main bhi yahi kahane wala tha, signing amount milte hi sab ke
hisab barabar kar dunga.
Tai - oye Bhimsingh, sham tak in kamino ka paisa nahi aaya to chawl se
inka tikat katawa dena
cut to….
Sc. 6/1/morning/int/room
(Aditya bathroom se nikal raha hai. Aakash baal sanwar raha hai)
Aakash - oye superstar! Jaldi taiyar ho ja warna tera signing amount koi aur
le jayega
Aditya - Time kya hua hai?
Aakash - nau baj gaye hain aur apka dus baje ka appointment hai
Aditya - What nau baj gaye! (jaldi jaldi kam karne lagata hai frame speed
fast)
(Frames speed normal hoti hai, Aaditya bed par se finally watch uthata hai. aur
kamare se bahar nikalta hai. Aakash lock lagata hai, iss beech Aditya padosan
ko dekhkar style marta hai)
Aditya - Sala main to sahab ban gaya
(Aakash usse khinchta hai)
Aakash - Abe sahab ke bachche jaldi chal
(utarte hue Aditya padosan ka darwaja band kar deta he)
cut to….
Sc. 7/1/morning/int/yashraj films - reception
(sidiyon se chadte hue Aditya aur Akash aate hain. Wo thoda late ho gaye hain)
Aditya - (reception par) excuse me
Recp. - Mr. Aditya?
Aditya - yes
Recp. - you can go inside. Mr. Gilbert is waiting for you.
cut to…
Sc. 7/2/morning/int/yashraj films - office
Aditya - May I come in sir?
C.D. - oh yes Aditya, plz come in
Aditya - Good morning sir (wo reply dete hain) sir he is my friend Aakash
C.D.- oh pleased to meet you. (A.D. ki or ishara karte hue) Aditya ye
hamari movie ke Asst. Director hain Mr. Roy. Ye tumhe tumhara
role samjhayenge
(uske kandhe par hath rakh kar use alag le jata hue)
A.D. - Aditya hum jo role tumhe de raha hai wo chhota zaroor hai kintu
bahut important hai.
Aditya - zaahir si baat hai sir, jis film mein teen – teen hero ho usme role to
chhota hoga hi. Lekin mujhe koi problem nahi hai sir.
A.D. - Yes, you r right, kintu yeh role kuchh alag type ka hai. Original
movie me to yah character kewal gaane me hi hai, kintu hamara
movie me tumhara dialogue hai aur acting ka scope bhi bohut hai.
C.D. - I think its a great opportunity for you
Aditya - but sir mujhe kiska kirdar nibhana hai?
AD + CD - chhakke ka (background me do taliyaan bajti hain)
Aditya - chakke ka? Ye aap kya kah rahe hain sir. Aditya saxena kya
chhakke ka role karega. main yaha hero banne aaya hoon chhakka
nahi.
(frames fast ho jati he A.D. aur C.D. dono Aditya ko samjhate hain. Aakash
ko ishara karte hain Aditya ko samjhane ke liye. Aakash, Aditya ko kone
me le jata hai)
Aakash - They are right Adi. Bhagte bhoot ki langoti hi bhali
Aditya - Lekin yaar Aakash langot aadmi ki ho to bhi thik. Ek chhakke ki?
cut to…
Sc. 8/1/day/int/make up room
There is a call from crew :- Artiste ko bulao

Camera is moving towards the make-up room jaha Aditya ko chhakke ke role ke
liye taiyaar kiya jata hai aur background mein gaana chal raha hai…

Socha nahi tha …………….

The end.

You might also like