You are on page 1of 1

Sar Jalain Gay Roshini Hogi Us Ujalay Mein Faislay Hongay Roshnai Bi Khoon Ki Hogi Aur Wo Faka-kush Qalam

Jis Mein Jitni Cheekhon Ki Dastanay Hein Un Ko Likhnay Ki Arzo Hogi Na Hi Lamha Qarar Ka Hoga Na Hi Rasta Farar Ka Hoga Wo Adalat Ghareeb Ki Hogi Jaan Atki Yazeed Ki Hogi

Aur Phir Aik Faqeer Ka Bacha Masnadon Par Bithaya Jay ga Aur Tarazo Kay Dono Palro Mein Surkh Lamhon Ko Tula Jay Ga Sabqa Hakmeen Hazir Hon Naam Aur Wald Bola Jay Ga Jo Yateemo Ki Tarf Uthay Thay Aisay Hathon Ko Tore Dalay Gay Aur Jis Nay Rondi Ghareeb Ki Asmad Uski Gardan Maror Dalay Gay Jis Nay Beechi Qalm Ki Taqat Jis nay Apna Zameer Baicha Hai Jo Dukanay Sajaye Beethay Hein Sach Say Daman Churaye Beethay Hein Jis Nay Baicha Azab Baicha Hai Muflison Ko Saraab Baicha Hai Deen Ko Behisab Baicha Hai Kuch Nay Roti Ka Khwab Baicha Hai Ab Kya Kahain Hum Qaum Nay Khud Kis Tarhan Bar Bar Baicha Hai Faiz o Iqbal Ka Paroosi Hon Ik Tarap Meray Khoon Mein Bhi Hai Ankh Mein Silsila Hai Khawabon Ka Ik Mehak Meray Chaar-so Bhi Hai Joompari Kay Naseeb Badlay Gay Phir Kahin Inqlaab Aye Ga Baith Rehnay Say Kuch Nahe Hoga Aik Din Inqlaab Aye Ga

You might also like