You are on page 1of 3

1.

Aaee sangeet ki ye raat laai sapno ki baarath sajaniya hai saajan ke saath rahe sada haatho main aise haath aai sangeet ki ye raat Aaiye swagath kerte hai hamaare nanhe kalakaroo se Jo school main kerte hai intejaar ki kub bajegi chuti ki belll taaliya bajaker swagat kijiye kyunki aapke saamne leker aaye hai ye All is well.

2. Khushiyo ki raat hogi ' jasna jara datt ke hoga Meri bahan ki shaadi ,andaaz jara hatt ke hoga| 3. Phir hone wale dulhe se AAiye aapko hum hamaari puri family se milate hai waise tho aap sabhi se mil chuke hai lekin ek modern introduction tho bantha hai. 4. Yahaan pe aap dostho ka dance kerva sakte hai ye kehker ki DEKHIYE DOSTHO KA DHAMAAL BAJAOOGE THALI THO DIKHEGA KAMAAL 5. BHAI BHABHI Subah dukaan jaana , shaam ko ghar aana|

Paisa kamana aur Khakra khana Khakra khane main jinko aata hai aanand jeevan main muskerate rahna jinko hai pasand aise hai hamare Ramesh bhai jinko dekhker Man main muskera rahi hai hamaari bhabi mand mand....

6. DOSTI Karj dosti ka ada keraga koun Dosth na ho tho dosthi karega koun E khuda in dostho ko salamath rakhna Warna dostho ki shaadi main dance karega koun| Ye kehker again ek dostho ka dance kerva sakte hai. 7. Ab saale ka parichay

Jaise ki aap sub jaante hai ki Waise tho saari khudai ek taraf aur joru ka bhai ek taraf

Cricket khelna mujhe hai pasand per papa kehte hai ki PADH PADH PADH T.V dekhna mujhe hai pasand Per Mummy kahti hai ki CUT CUT CUT Fighting kerna mughe hai pasand Per didi kahthi hai aa mujse LAD LAD LAD H ER EXAM KE BAAD ye khud kahtha ha Exam abhi khatam nahi huee hai mere dosth RE TEST abhi baaki hai 8. Wasi hamare ghar ki beti hai NO .1 School main bhi jo lathi thi NO.1 Sundertha main bhi jo lagthi hai NO.1 Kaam kaaj aur sanskaar main bhi jo NO.1 Khushkismath hai aap jo aapko mili hai Hamaare ghar ki beti NO.1

Yahaa ek aur dance dikha sakte hai.. 9. Thaliyo ke liye Wo hoth kya jisme laali nahi Wo upwan kya jisme maali nahi Wo sasuraal kya jisme saali nahi Aur wo mahfil kya jisme taali nahi

Bahaaro ki mahfil suhani rahegi lab pe khusi ki kahani rahegi chamakte rahege khushiyo ke ye sitare agar aapki taaliyo ki meharbaani rahegi.

You might also like