You are on page 1of 6

Hijar Mein Kioun Rulate Ho Kahan Hote Ho? Lot Kar Kioun Nahin Aate Ho Kahan Hote Ho?

Mujh Se Bichre Ho To Mehbob-E-Nazar Ho Kis K? Aaj Kal Kis Ko Manate Ho Kahan Hote Ho? Shab Ki Tanhai Me Aksar Ye Khayal Aata Hai Apne Dukh Kis Ko Sunate Ho Kahan Hote Ho? Sard Raton Me Tumhen Kese Bhula Skta Hon? Aag Si Dil Me Lagate Ho Kahan Hote Ho? Sheher Ke Log Bhi Aksar Ye Sawal Karte Hain Ab Bohat Kam Nazar Aate Ho..!KAHAN HOTE HO? ===================================== Labon ki sersarahat se. badan k choor hony tak. Main tujh ko is tarah chahoon. K meri saans ruk jaye. Khataon par khata ain hon. Na ho kuch baat kehne ko. Main tujh main yoon sama jaoun. K meri saans ruk jaye. Na himmat tujh main ho baqi. Na himmat mujh main ho baqi. Magar itna qareeb aaoun. K meri saans ruk Jaye. Tere honton pe jab rakhoon. Main apny hont kuch aise. Ya teri pyaas bujh jaye. ye meri sans ruk jai ================================ Muhabbat rog hoti hai kaha bhi tha rula ker khud bhi roti hai kaha bhi tha kinaarey k qareeb lay jaa ker ye kashti ko daboti hai kaha bhi tha isay tum dil ki dharti ka pata mat dou ye is mein dard boti hai kaha bhi tha muhabbat mein khushi k baad gham ki rut bohat nazdeek hoti hai kaha bhi tha luta ker dil ko roney sey bhi kya haasil bohat naa'yaab moti hai kaha bhi tha azal sey is ki fitrat hai zamaaney ko jaga ker khud ye soti hai kaha bhi tha ye ser sey paa'on tak bus raakh ker dey gi bohat bey dard hoti hai kaha bhi tha ===============================

Nafrat ki dhoop mein barsaat se pehle, Halaat na thay esay teri mulaqaat se pehle, Har kisi ko hamdard samjh lete thay, Hum bhi kitnay sada thay mohabbaton ke tajurbaat se pehle, Ye barish ye hawa ye dhanak ye mausam, Kis kis se mohabbat thi teri zaat se pehle, Bikhre tou bas ese toot ke bikhre, Log dete thay misaal hamari hadsaat se pehle, Tu ye na samajh tujhse ulfat gaye dinon ki baat hai, Hum aaj bhi sochte hain tghay apni zaat se pehle ======================================= Usne kaha tum mein pehli si baat nahi, Mein ne kaha zindagi mein tera sath nahi, Usne kaha kya ab bhi kisi ki ankhon mein doob jatay ho? Mene kaha ab kisi ki ankhon mein voh baat nahi, Usne kaha kyun itna toot kar chaha mujhay? Mene kaha insaan hoon pathar zaat nahi, Usne kaha kya mein be wafa hun, Mene kaha ab mjhe wafa ki talash nahi, Usne kaha bhool ja mujhay, Mene kaha tum haqiqat ho koi khuwab nahi! ===================================== Mohabbaton ki ye wardaten koi sune ga to kya kahe ga Ye bahki bahki hamari baten koi sune ga to kya kahe ga Raqabaton ki qayamaton se khandaren tabdeel ho rahi hain Hamari chahat ki kaynaten koi sune ga to kya kahe ga Tumhare Khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne Ye ankahi si tumhare baten koi sune ga to kya kahe ga Hami hain mazloom hum hi hian zalim hami hain maqtool hami hain qatil hami hain mohre hami hain baesaten koi sune ga to kya kahe ga tere tasawur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon me Beghair dhole ki ye baraten koi sune ga to kya kahe ga ========================================= ,;*"*-.-*"*;, Paida Raah-e-Khalus Mein,Dushwarian Na Kr, Chahat Nhi To Hm Se Ada Karian Na kr, Lafzon Se Khelne Ki Zarurt Nhi Tujhe, Sada Dilo K Sath Ye Fankarian Na kr, Jin Se Nhi Lgao Unhai Munh B Na Lga, Be Wja Hr Dukan Se Khridarian Na Kr, Tu Shak-e-Gul Ha Koe Amr Bail To Nhi, Wabasta Har Shajar Se Wafadarian Na Kr, Taza Ha Dil Py Daagh Agar Phli Maat ka, Phir Dosri Shikast Ki Tayyarian Na Kr!!! =================================== Aghraz K GeHry PardOn Sy, Alfaz K JhOty LafzOn Sy,

Her ShakHs MoHabbat Karta Hai. Hala K MoHabbat Kuch Bhi NaHi, Kab Kon Kis Ka Hota Hai? Sab JhOty RisHty Natay Hain, Sab DiL RakHny Ki Bhatian Hain, Sab AsLi Roop Chupaty Hain, Ehsas Sy KhaLi Log YaHan, LafzOn K Teer Chalaty Hain, Ek Baar NigaHon Main Akar, Phir Sari Umer Rulaty Hain, YeH ishq-O-MuHabbat, MeHr-O-Wafa, Sab Rasmi Rasmi Bhaty Hain, Her ShakHs KhUdi Ki MasTi Main, Bas Apni Khatir Jeeta Hai. . . bas apni khatir.,,,,:( ============================================ Woh apni sari nafratein mujh pe lutata raha Mera dil sada jis ko mohabbatein sikhata raha Us ki aadat ka zara yeh pehlu to dekho Mujhse kiye waday woh kisi aur se nibhata raha Kuch khabar nahe woh shaks kia chahta tha K talluq tor ker bhe mujh ko aamata raha Tootay huwe talluq mei bhe kitni mazbooti hai WASI Mei jitna bhulata raha woh utna he yaad aata raha ============================================== zindagi ko na bana lain woh saza mere baad hosla dena unhain mere Khudaa mere baad haath uThate hue un ke na koi dekhegaa kis ke aane kii karainge vo duaa mere baad kaun ghuooNghaT ko uThaayegaa sitamgar keh kar aur phir kis se karainge vo haya mere baad phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi royegii siskiyaaN le le ke vafaa mere baad Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad ==================================-=== Waqat ki gardish-e-ayam mein beh jney do ZINDGI jesi guzarti hai guzar jane do

Mere dil ne kabhi phoolon ki tamanna ki thi, Aaj kanton hi ko daman se lipat jane do, Roshni jag mein hai aur dil mein andhera mere In andheron se buhat door nikal jane do Dosto ne pucha kahan hain US k qasam Wade.? Main ne kaha choro usay nai duniya basane do, Wo chand tha wo chand hai Usey chamkne do falak pe, Main khaak tha main khaak hon mujhe khaak mein mil jane do ============================================ Kya andhero'n ke dukh,kya ujalo'n ke dukh Jab hara de'n muqadar ki chalo'n ke dukh Jin ki aankhe'n nahi, wo na roye'n kabi Jaan jaye'n agar aankh walo'n ke dukh Meri manzil kaha'n hamsafar ha kidhar Maar dale'n gay ab in sawaal'n ke dukh

Tum milay ho tmhari mohabbat nahi Hjr se barrh gaye ha'n,wisaalo'n ke dukh Do ghari ke liye paas baitho agar Bhool jaye'n gay ham, kitnay saalo'n ke dukh Meri socho'n ke jaltay huway dast say Cheen le aa ke apnay khayaalo'n ke dukh,,,,,, ====================================

===================================== Kisi se pyar karta hon hamesha haar jata hon main jitni baar karta hon hamesha haar jata hon, Kabhi shaam se pehle kisi jana ki ankhon main ye ankhen chaar karta hon hamesha haar jata hon, Kabhi kisi mehfil main wafa ki guftagu per jab takrar karta hon hamesha haar jata hon, Nigahon main tu dosron se bazi jeet jata hon tu jab izhaar karta hon hamesha haar jata hon, k shaied is dafa koi muje apna bana le ga hamesha pyar karta hon hamesha haar jata hon. ================================================

moaziz ban ke mehfil main adakari nahi karta main chehre pe kabhi jhoti ana tari nahi karta mere dushman mere dastoor se waqif nahi shayad jise main dost keh doon us se ghadari nahi karta yahan behtar hai apni zaat ka hamdard ho jana zamana gham to de sakta hai ghamkhari nahi karta

mujhe mouqa shanasi ka hunar aya nahi ab tak jahan matlab nikalta ho samjhdari nahi karta............. ===================================

Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmanay Do, Mujhe Khamosh Rehnay Do, Suna Hai Ishq Sacha Ho, Toh Khamoshi Laho Ban Kar Ragon Mein Nach Uthti Hai, Zara Uski Ragon Mein Khamoshi Ko Jhoom Janay Do, Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmanay Do, Usay Main Kyun Bataon Maine Usko Kitna Chaha Hai, Bataya Jhut Jata Hai, K Sachi Baat Khushbu Toh Khud Mehsus Hoti Hai, Meri Baatein, Meri Sochein, Usay Jan Janay Do, Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmanay Do......!!! ===================================== mujhey samndar bohat kashish karta tha...taa hadh e nigaah pheyla hua samandar...jis k wajood ka thehraou aur gehrayi issey pur israr aur mashoor kun banatey hain....aur iska tilatum aur iski lehron ka bar bar saahil sey milna bicharna iski wehshat ko zaahir karta hey.... sabhi daastaan go bhi apni dastaaNon main isey do tarah sey hi byan kartey rahey... ya to iska pur israr thehroau ya iski wehshat zadah lehron ka saahil sey milna bicharna... janey kyun koyi bhi nigaah samnadar ko iss hadh sey aagey na paa saki... main samandar ko likhney beythi to main ney aik raaz jana aur isey aik kaghaz par likh kar samandar ki nazar kar dia.... main ney likha... "samandar kuch nahi sivaye do boond k...: aik boond wo jo kisi k khushk labon ki piyas mita kar amar ho jaye... aur aik wo jo seep main dhal kar mouti ban jaye.... warna mehz zyaaN k siva kuch bhi nahi...." Zindagee bhi mujhey bohat kashish karti thi...main ney zindagee ko parhna shuroo kia to main ney jana...zindagee bhi hashar khaiz tilatum,millan,judayee....aur sakoot sey ibarat hey bilkul samandar ki tarah.... main ney aaj phir chand hurf likhey...aur "zindagee" k hawaley kar rahi hoon... main ney likha hey.... "zindagee bhi bas do boond ka samandar thehri...: aik wo jo RAB k liye kisi k aansoo poonch kar guzari jaye... aur aik wo jo RAB k khouf sey apney aansoo poonchtey guzari jaye.... warna mehaz zyaaN k siva kuch bhi nahi...."

====================================== Abhi kuch dair pehle raat ne Palkain jhukaai hain Meri muthi main ab tak raat ki palkon se tootay kuch sitaray hain Dukhon k ist'aray hain Main inko dekhti hoon to meri aankhon main dhairon khwab Taabeeron k dukh main koi chehra sochtay hain or wo chehra shanasa shanasa se kai chehron main tabdeel hotay hain Phir in chehron se, Yaadon k kai manzar ubhartay hain Nazar main raqs kartay hain wo chehray, jo meri tanhaaiyon k ashk paaray hain mujhe har haal main khud se bhi pyaray hain Sabhi chehray tumharay hain........ ==================================== WAFA KI LAAJ MAIN AIK DOSRAY KO MANA LAYNA HE ACHA HAI.. AANA KI JHUNG MAIN AKSAR JUDAI JEET JATI HAI.. ==================================== ~*~Na karun yaad tumhain to ulajh jata hun saanson se,~*~ ~*~Samaj nhi aati Zindagi saanso se hai ya teri yaad se ~*~ ...

You might also like