You are on page 1of 2

, .!! Lahro ko shaant dekhker yeg mat samazna, samander me rawaani nahi hai.

r me rawaani nahi hai. Jab bhi uthega to Tufaan banker , abhi uthne ki thaani nahi hai.
, - ... , ..... ;) : Is qader naaraaj na ho,tum to rasm e riwaaaj na ho. kuchh sharaarate bachaaker rakho abhi utne umr e daraaj naho.

. Raste badhege manzil ki taraf, karwa ye yo hi chalta rahega. Ubherna hai hume her makaan pe, suraj to yuhi dhalta rahega. Chiraag ho na ho hum dil jala ke rakhte hai. Hum aandhiyo me bhi tewar bala ke rakhte hai. Jub bahut dar tak sanatta raha muje ahesas tufan ka hua,tehere hui pani me ek kankar bhi hul chul macha deta hai,aur dur tak faila sanatta tufan ki agahi deta hai......Ajay you can write very meaningful status. Ye !! Yeh baat kuchh aur hai ki hum dub gaye hai. Lekin kinaaare per laga aaye hai tufaan ko. Kashti toofan se nikal sakti hai Shama bujh kar jal sakti hai Tum apney iradey se pechay mat hatna Qismat kisi bhi waqt badal sakti hai Waqt Ki Aandhi Main Toofan Badal Jatay Hain Zindagi Ki Rahoon Main Insaan Badal Jatay Hain Badaltay Nahin Pyaar Kabhi Pyaar Karnay Walay Insaan Badal Jatay Hain

Doob jati hain kashtiyan jb Aate hain tufan Yadein reh jati hain bichar jate hain insan Yaad Rakho to boht Qareeb pao ge Bhool jao gy to dhoondty reh jao gy.

Khatm-e-shor-e-tufan tha dur thi siyahi bhi dam ke dam men afasana thi meri tabahi bhi

Iltafat samajhun ya berukhi kahun is ko rah gai khalish ban kar usaki kamanigahi bhi Yad kar vo din jis din teri sakhtgiri par ashk bhar ke uthi thi meri begunahi bhi Shama bhi ujala bhi main hi apani mahafil ka main hi apani manzil ka rahabar bhi rahi bhi Gumbadon se palati hai apani hi sada "majrooh" masjidon men ki jake main ne dadakhvahi bhi Majrooh Sultanpuri Sine may jalan ankhon may tufan sa kyun hai Is shahar may har shakhs pareshan sa kyun hai Dil hai to dharakane ka bahana koi dhundhe Patthar ki tarah behis o bejan sa kyun hai Tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo Ta hadd e nazar ek bayaban sa kyun hai Ham ne to koi bat nikali nahi gam ki Vo zud e pasheman pasheman sa kyun hai Kya koi nai bat nazar ati hai ham may Aina hamay dekh ke hairan sa kyun hai

You might also like