You are on page 1of 1

Dare nabi, peace and blessings of Allah be upon him, par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga

Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga Qilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kam hoga Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga Jo dil se hai mail-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga

You might also like