You are on page 1of 1

Agar bazm-e-insan mein aurat na hoti

Agar bazm-e-insan mein aurat na hoti khayalon ki rangeen jannat na hoti Sitaron kay dilkash fasanay na hotay baharon ki nazuk haqiqat na hoti Jabinon par noor-e-musarrat na khilta nigahon mein shan e murawwat na hoti Ghataon ki aamad ko sawan tarastay fizaon mein behki baghawat na hoti Faqiron ko irfan-e-hasti na milta ata zahidon ko ebadat na hoti Musafir sada manzilon pe bhataktay safinon ko sahil ki qurbat na hoti Har ek phool ka rang phika sa rehta nasim e baharan mein nikhat na hoti Khudaai ka insaf khamosh rehta suna hay kisi ki shafaat na hoti

You might also like