You are on page 1of 2

University life..full of tensions, full of fun..

episode 1
University life ka apna hi charm hota hai. Insan kuch seekhnay or aala taleem hasil karnay kay liye university jaata hai. Lekin agar aap mairi university life ka jaiza lain to aap ko shughal ziada, or parhai ka ansar qadray kam dikhai day ga. Kuch ham shughlia tabiyat k thay, kuch mashaALLAH dost aisay milay k sonay pay sohaga waali baat hui. Jab do(2) scholar baith jaen, wo hadd kartay hain or jahan do(2) maskharay baith jaen, wo behadd kartay hain. Hum choonkay behadd karnay walon main say thay, to hum hadd karnay walon se 2 haath aagay thay. Baat ye nahin hai k hum main zaheen nahen thay. Zahanat is qadr aam thi k taqreban sab hi jugton men P.Hd thay. Class fellow to 1 taraf, kisi teacher ko bhi nazar andaz nahen kartay thay or is hadd ko aboor karnay ka nateeja supply ki soorat main bator e salami paish kia jaata tha. University ka safar shuru main to shaitaan ki aant lagta tha.University ghar se itni door the k agar istaaran kaha jaey k koh qaaf main thi, to bay jaa na hoga. Government ki meherbaani the k university laanay or lay jaanay k lye buson ka intezam tha or mairay jaisay log university Shughallaganay chalay aatay thay warna, university main sirf chand aikBuqrat, suqrat k khanaan k log hi aatay or university ka mahol khasa khushk hota. Goya hum ne university ko Ronaq bakhshi. Apni university life ka tafseeli zikr main aanay walaywaqton men waqtan fa waqtan karta rhun ga. Jannay k liye mutawajja rahiye ga.

University life..full of tensions, full of fun.. episode 2


2 November, 2009, hamari university life ka pehla din. Dil main khof, tajassus or shoq ki mili juli kaifiaat. 8 bje university main classes start hoti theen or hamari university k private routes( jo k hili juli bason par mushatmil taqreban 11 ki tadad main thay), apnay faraiz saranjaam daitay huay hamari hadion ko kisi tagray haddi jor pehalwan ki tarah zarb lagatay, hamen waqt e muqarrara say pehlay department tak lay atay thay. Pehla din tha or hamen fooling ki tension bhi the. Cousins or doston nay, jo k pehlay say is Baab e Danish main zair e taleem thay, kaafi had tak hmen khabardaar kar dia tha or jaisa k angrezi ki kahawat hai fear is a great motivator k mutabiq hum bhi apna zehan tyar kar k aaey thay magar jo hamarey saath hui, aaiye mairi zubaani suniye. Department pohunchnay k baad jis pehlay larkay say main mila, jis se guftagu karnay k baad maloom hua k mausoof bhe meri tarah newly admitted hain, wo Samee Azhar tha. Lambay qadd or patli kamar waala wo larka, jo k iss shair pay Suna hai k un ki kamar hee nahen hai Wo naala najaaney kahan baandhtay hain poora utarta tha, meri tarah kaafi pareshan tha. Hum dono aapas main introduction kar rahay thay k aik senior ne hamaray naey chehron ko bhaanp lia or hamari taraf lapka. Us ne hmen bewaquf bananey ki koshish ki or apnay aap ko newly admitted student zahir kia or hamen apnay saath room men chalnay ki dawat di jis k lye us nay moaqqaf ye apnaya k agar hum yahan hi kharey rahay to seniors hamari fooling Karen gay. Mera cousin usi department main senior tha. Mainey usey fone karnay k bahaney senior se

jaan churwai. Or is jaan churwaney ko hum ne baad main Tulla karwaney ka naam dia. Senior same to apnay saath lay gaya or kuch dair main us ko wapis bhaij dia q k un ki class start ho gai or yoon samee filwaqt bach gaya.

You might also like