You are on page 1of 1

Rupeyo Ke Lalchi Dehej Ke Danav

Rupeyo ke lalchi, Danav ke shakkal mein, Kab tak nirih bap ke arma metawoge. Arey samaj ke darindo, Pisacho se kam nahi, Kab tak dehaj per, Dulhen jalwaoge. Dehej ek daan tha, Abhisap kar diya, Kab tak ye ghada paap ka ser per uthawoge. Or kanun ke sikanje se jo, Bach bhi gaye agar, To kuderat ki adalat se, kabhi ne bach payoge. Jago a nav jawano, Sankalp saath lo, Kab tak bhera bajar me khude ko bikawoge. Ne lenge ham dehej, Ye pran hai hamara, Kab tak hamari baat ko thokar lagawoge

You might also like