You are on page 1of 1

Sir, THIS IS STRICTLY FOR TIME PASS PLEASE.

(TAKEN FROM INTERNET) This is what Bhagwan Shri Krishna wants to tell in GEETA SAAR Hey PARTH, Increment nahin mila, bura hua Salary cut ho raha hai, bura ho raha hai Retrenchment hoga, wo bhi bura hi hoga... Tum pichhla review na hone ka paschataap na karo Tum agle review na hone ki chinta na karo Recession chal raha hai... Tumhare pocket se kya gaya jo tum rote ho ? Tum company ke liye kya business laye the jo tumne kho diya ? Tumne aisa kaun sa product banaya tha jo fail ho gaya ? Tum koi experience le kar nahin aaye the... Jo experience liya company se liya... Jo project kiya company ke liye... Degree le kar aaye, experience lekar chale jaoge... Jo function aaj tumhara hai, Wo kal kisi aur ka tha... parson kisi aur ka hoga... Tum ise apna samajh kar kyon magan ho rahe ho Hey Paarth, Yahi khushi tumhare tension ka kaaran hai... Kyon wyarth tension lete ho, kis se wyarth darte ho Kaun tumhein nikaal sakta hai ? Policy change karna to company ka rule hai Jise tum policy change kehte ho, woh to Management ki trick hai... Ek pal mein tum Increment ke baare mein sochte ho Doosre hi pal mein tum stipend par aa jate ho... Review, increment etc. etc. sab mann se hataa do Vichar se mita do, phir company tumhari hai, tum company ke ho... Na yeh increment wagerah tumhare liye hain, na tum iske kabil ho, Parantu job secure hai, aisa socho phir tumhein tension kyon hoga ? Tum apne aap ko Company ko arpit kar do Yahi sabse bada Golden Rule hai... Jo is Golden Rule ko janta hai Wo review, incentive, recession, retrenchment aadi Bhramon se Sada sarvada muqt hai. Chal uuth, Kaam Kar, Promotion Ki Chinta mat kar Parth.. Karm hi Tera Bhagya hai.....

- Corporate Bhagawan Shri Krishnak s madanpuri '87

You might also like