You are on page 1of 7

i'lm-ul-a'adad aor aap kee shakhSiyat.

jab bhee kesee ghar meN bachche kee wiladat hotee hai. to maN baap choTe baRe sabhee yeh
sochte haiN keh kiya nam rakha jae'e.
kehne ko sabhee yeh kehte haiN keh naam meN kiya rakha hai. khuch bhee rakha ja sakta hai.
lekin Haqiqat yah hai.naam meN baRa khuch rakha hai.naam nah Sirf insaan kee shanakht hota
hai. balkeh is ka acar bhi us kee zindagee par baRa door ras hota hai.
nam kee ahmiyat;
nam kee ahmiyat isee bat se waZeH ho jatee hai. keh isee se dosre aap ko pukarte
haiN.chunancheh is ka acar insaan kee zindagee par paRta hai.bazurgooN se manqool hai. keh
jab aek aadbee ko kisee aek hi naam se pukara jae'e. to us meN us naam kee Sifaat peda ho
jateeN haiN.
isee liye islaam meN bure namooN se pukarne ko sakht mana' kiya geya hai.rasool-eakram(SAW) ne bhi ba'Z SaHabah ke nam tabdeel farma diye the.jesa keh Sadeeq-e-akbar ka
naam a'bdulka'bah tha.aor HaZrat u'mar kee aek beTee ka naam a'aSiyah tha ( ya'nee gunehgaar)
jis ko badal kar Huzoor-e-pak (SAW) ne jamilah kar diya.
SaHeH bukhree meN rawayat hai keh aek SaHabee Galeba" ma'mar
zehree ibn-e-maseeb ne apne walid se kee.keh un ke walid nabee-e-pak kee khidmat meN Hazir
hoe'e aap (SAW) ne un ka naam pucha. inhooN ne kaha keh Hazan ya'nee pathreelee zameen.
aap ne kaha keh to sehel rakh le. unhooN ne naam ko nah badla. aor kaha keh mere maN bap ne
rakha hai.ebn-e-maseeb ka beyan hai. keh us ke ba'd hamare khandan meN sakhtee barqaraar
rahee.....yeh nam hee ka acar tha. jo unhooN ne nah badla.
naam mufrad bhee ho sakte haiN aor murakkab bhi.a'lm-ul-a'adad baRa purana e'lm hai.tafSeel
meN nah jate huwe.a'rZ^ hai. keh e'lm-ul-a'adad meN Haraf kee apnee qimat hai. usee se a'adad
nikale jate haiN. jise mandarjah-e-zel jadool se waZeH kiya ja sakta hai.

jadool-e-Haroof-e-abjad
Haraf=qimat ya t^aqat
alif aor aa = 1
bee aor pee=2

jeem aor chee=3


dal aor Dal=4
he(hathi wali)=5
z aor zh=7
baRee he (H)= 8
t^(toeeN)=9
y (choTee ye)=10
k(kaaf)aor g(gaaf)=20
L(laam)=30
m(meem)=40
n(noon)=50
s(seen)=60
a'(een)=70
f(fe)=80
S(Swad)=90
q(qaaf)=100
r(re) aor R(Re)=200
sh(sheen)=300
t(te)aorT(Te)=400

c(ce)=500
kh(khe)=600
Z(Ze)=700
Z^(Z^e)=800
z^(z^uoeN)=900
Gh(Ghaen)=1000

nam ka a'adad ma'loom karna;


upar diye gae jadool kee madad se kisee bhi nam ka HaSil a'adad ma'loom kiya ja sakta hai.
masala" farZ^ kijiye kise ka naam sajad ina'am hai. sam se pehle ham us ke Haroof ke ta'adad ka
majmoa'ah ma'loom kareeN ge.
ya'nee sajad ke panch Haroof. ya'nee; seen, alif, geem,dal. isee t^arH ina'am ke;
alif,noon,een,alif, meem.
ab in Haroof ko ikaee meN tabdeel kareeN ge. jese keh.
seen=60
alif=1
geem=3
dal=4
aor ina'am ke a'adad huwe.
alif=1
noon=50
een=70
alif=1
meem=40

ya'nee; 60+1+3+4+1+50+70+1+40=230

pas Huroof-e-abjad ke mut^abiq is naam ke a'adad haiN.230. ab in ko akaee meN tabdeel kar
deN.
ya'nee; 230=2+3+0=5 pas is nam ka a'adad (5) huwa.
waZ^eH rahe ke kul a'adad 9 haiN.ya'nee koi bhi naam ho us ka a'adad 1 se lekar 9 ke darmiyan
hi hoi hoga.
note; isharat
mad jese alif mad aa. hamzah aor ise t^arH choTa alif masala" elahee ke upar wala alif ya
reHmaan ke upar wala alif jo choTa alif kehlata hai. ko a'adad shumaar naheN kiya jae'e ga.
namooN aor a'adad ke Hawalah se in kee Sifat ka maZmoon age aae'e ga.masala" sajid nam ke
Hamil fard ki kiya aoSaaf haiN.isee t^araH degar namooN ke barah meN agle maZ^moon meN
zikr karooN ga.
e'lawah azeeN namooN aor a'adad ka alag alag bhi agle SafaHat meN zikr aae'e ga.masala" alif
se shuroo hone wale ilfaz aor isee t^araH be se shuroo hone wale ilfaz^ waGhaerah.
Last Edit: May 05, 2007, 08:37:36 AM by Ghubar Nowsherawi

aap ka a.adad kaon saa hai?

Yeh aek seedh~a sada sa sawaal hamare aap sab ke liYe be Had ahmiYat rakh~ta hai. Ya'nee Yeh
ma'loom karna keh aek se le kar nao tak ke aa'daad meN se aap ka kaon sa a'dad hai?
is a'dad ka ta'iYun aap kee tareekh-e-pedaae,ish se hota hai. a'dad ke janne ke liye kae,ee
t^areeqe haiN lekin sab se aasan t^areeqah Yeh hai keh aap jis taareekh ko peda huwe haiN us
tareekh se aap ka a'dad ma'loom kiYa jata hai. aor Yeh t^areeqar sab se aasaan hai. GharZ^ upar
jo pehle bataYa geya th~a us se bh~ee aasaan hai.
is tareeqe meN naam ke Huroof kee ta'daad nikaalne kee koee Z^arurat pesh naheeN aatee.
Sirf Yeh kijiYe keh apnee tareekh-e-pedae,ish ke a'dad ko jama' karke us kee akaee bana leeN.
macala" maiN 14 julaee ko peda huwa th~a to 1+4=5 pas mera a'dad 5 huwa.
is t^areeqe ke mut^abiq koee shakhlS kisee bh~ee saal hor maheenah kee(1,10,19,28) ko peda
huwa hai us ka a'dad aek (1) hai.
agar woh nambar pehle se akaee men hai to phir wohee akaee us fard ka a'dad hai. macala"
1,2,3,4,5,6,7,8,9, Ya'nee koee shakhS agar in tareekhooN meN peda huwa hai to wahee tareekh
us ka ka a'dad bh~ee ho gee. kiYooNkeh Yeh a'daad pehle se hee akaee men haiN.
isee t^araH koee shakhS agar (2,11,20,29) kee tareekhoon men peda huwa hai to us ka a'dad (2)
ho ga. digar jadool mundarjah-e-zel hai.

(tareekh-e-pedae,ich)---(a'dad)
(3,12,21,30,)=(3)
(4,13,22,31,)=(4)
(5,14,23,)=(5)
(6,15,24,)=(6)
(7,16,25,)=(7)
(8,17,27,)=(

(9,18,27)=(9)

(1)aek nambar ke Hamil afraad kee Sifaat;


tamaam aa'daad men aek ka namber bunYadee shumaar kiya jata hai.
aek namber ke zer-e-acar afraad a'aalee himmat,taraqqee karne wale, iYjaad-o-ikhtira' karne
wale, aor kam-o-peesh Z^iddee hote haiN. magar jis kaam men haath~ Dalte haiN khatam kar
keh hee dam lete haiN.
aek namber ke zeer-e-acar afraad takhleeqee kamooN ke liYe nihaYat mozooN hote haiN. in kee
fit^rat meN aek khaaS qisam kee upaej hotee hai Yeh loog koee bh~ee kam Ya peshah ikhteYaar
kareeN us men hameshah kamYaab rehte haiN.
aek mamber ke Hamil afraad lagee bandh~ee rahooN par chalne aor lakeer ke faqeer banne ke
bajaeYe naee raheeN talaash karte haiN, infraddiyat pasandee in meN intehaaee darjah par hotee
hai.aor yeh har jagah aor har bat meN awwal aana aor sab se numaai,yaaN rene kee koshish karte
haiN.in ka kaam khuwah kisee bh~ee noiyat ka ho woh har kaam meN sarwaree aor sardaaree
kee khuwahish karte haiN.
dusrooN kee Hukumat aor mateHtee in ko gawarah naheeN hotee.woh apne naz^arriYaat aor
kheyalaat par sakhtee se a'amal pera hote haiN keh dusrooN ko un se haT dh~armee kee shikaYat
rehtee hai.
aek ka a'dad rakh~ne wale afraad HoSlah mand,buland himmat, aor uol-ul-a'zm hote haiN apnee
rah meN kisee qisam kee mazaHemat Ya apne laam meN kisee t^araH kee rukawaT bardaasht
naheeN kar sakte.in ke dil meN hameshah yeh khuwahish rehtee hehtee hai keh woh jahaan
kaam kareeN,inheen aa'la darjah aor martabah waqaar haSil ho.
aese loog apne khandaan men sab se alag aor sab se numaaYaaN hote haiN.
(2)do namber ke Hamil afraad kee Sifaat:

do namber ke afraad fit^rata" shareef, takhaiYul parast, fanoon-e-lat^ifaj ke dildadah aor rumaan
pasand hote haiN.
woh Z^arurat se zeyadah Zassaas hote haiN.is had se baRh~ee huee HassasiYat ke bae,c aas paas
ke maHool se bohot jald mutacir ho jate haiN.

Yeh afraad takhleeqee kamooM mozooN hote haiN.aor in men mojad banne kee SalaHiyat hotee
hai.lekin woh akcar-o-beshtar apne kheYalaat ko a'amalee jamahpehnane kee istet^aat naheen
rakh~te.is liYe in ko ko beshtar waqt a'amal ke bajae takhiYul men guzarna paRta hai.in men
kisee had tak khud aa'tamadee ka fuqdaan bh~ee hota hai. isee liye woh koee bh~ee kaam
shuroo' kar keh use beech meN ch~oor dene ke a'adee hote hain.
Yeh afraad be cheen t^abiYat ke malik hote haiN.in ko i'lmee damaGhee aor tehqeeqee kamoon
se khaas dilchaspee hotee hai.aor woh apne aor dusre ke barah men uoonchee ummeedeeN
rakh~te haiN. agar woh napasandidah maHool men ho to jald mutacir ho kar chirchire ho jate
hain.
Yeh afraad nek, muttaqee, ameen,aor diyanat daar hote hain.dusroon par nuktah cheenee
bardaasht naheen karte.Yeh jis ke saath~ nekee karte hain bilu'moom woh in kee qadr naheeN
karta. magar ba eeN hamah woh dusroon ke Gham men khud ko gh~ulee rakh~te haiN. aor Yeh
Gham in ko sukoon ka saaNs naheeN lene deta.
(maZ^moon jaaree hai)

You might also like