You are on page 1of 2

On the Run...

Ruk nahi.

Chal nahi.

Bas daud.

Aankhon par patti baandhe,

Anjaan chaaron oar se,

Daud.

Koi gira ho,

koi thaka ho,

Koi mara ho,

Kal tu bhi koi ho sakta hai -

Bhool kar sab kuch,

Bas daud.

Aankhon par patti baandhe,

Anjaan chaaron oar se,

Daud.

Kya shuruaat thi,

Kya hoga ant mein?

Daudta hai kisi ke peeche,

Ya daudta hai apne aap se?

Daudta hai kuch paane ko,

Ya daudta hai kuch gawaane?

Pata nahi,

Ya jaanna zaroori nahi,

Ya fir iske liye waqt nahi?

Bhool kar sab kuch,

Bas daud.

Aankhon par patti baandhe,

Anjaan chaaron oar se,

Daud.

Daud. Daud. Daud.

You might also like