You are on page 1of 2

bekhudii kaa daher ab kahaa.

N
zi.ndagii ho basar ab kahaa.N ...(1)

raaz-e-shab is qadar chhaa gayaa


inkishaaf-e-sahar ab kahaa.N ...(2)

hai davaa Khuu-e-giryaa merii


dard-e-diidaa-e-tar ab kahaa.N ...(3)

aatish-e-ashk tham sii gayii


duud-e-soz-e-nazar ab kahaa.N ...(4)

raah be-simt, a.njaan sii


kho gaye raahabar ab kahaa.N? ...(5)

paaoge be-asar har sadaa


faasile muKhtasar ab kahaa.N ...(6)

Khwaahish-e-karz-e-dil jab nahii


shauq-e-suud-e-sifar ab kahaa.N ...(7)

zaaikaa khuu.N-e-bismil me.n thaa!


vo mazaa, chaaraagar, ab kahaa.N? ...(8)

kaarvaa.N Gharq-e-sehraa hue


hai saraab-e-behr ab kahaa.N ...(9)

jin khataao.n pe sar kaT gayaa


un gunaaho.n kaa Dar ab kahaa.N ...(10)

naajukii unke zaanuu.N kii, haae!


rakhhe.n khuu.Nbaar sar ab kahaa.N? ...(11)

(kyo.n hai be-daaGh daaman teraa?


rakhhe.n khuu.Nbaar sar ab kahaa.N? ...(11A))

aabalaa-paa 'alakh' miT gayaa


raah-e-purKhaar-e-tar ab kahaa.N ...(12)
====================================
bekhudii kaa daher ab kahaa.N
zi.ndagii ho basar ab kahaa.N ...(1)

hai davaa Khuu-e-giryaa merii


dard-e-diidaa-e-tar naa rahaa ...(3)

aatish-e-ashk tham sii gayii


duud-e-soz-e-nazar naa rahaa ...(4)

raah be-simt, a.njaan sii


aur koii raahabar naa rahaa ...(5)

paaoge be-asar har sadaa


faasilaa muKhtasar naa rahaa ...(6)

Khwaahish-e-karz-e-dil bhii nahii


shauq-e-suud-e-sifar naa rahaa ...(7)

zaaikaa khuu.N-e-bismil me.n thaa!


vo mazaa, chaaraagar, naa rahaa ...(8)
kaarvaa.N Gharq-e-sehraa hue
aur saraab-e-behr naa rahaa ...(9)

jin khataao.n pe sar kaT gayaa


un gunaaho.n kaa Dar naa rahaa ...(10)

'alakh'
xxx ghar naa rahaa ...(12)

You might also like