You are on page 1of 5

Poetry : Akhtar Husain Lucknawi

Reciter : Akhtar Husain Lucknawi

Qasida nr.1
Deen ka aghaaz hota hai Nabi ke naam par
Deen ki takmeel hoti hai Ali ke naam par

1.Thak gaye jab maangne waale Nabi ke naam par


Ek din kehne lage dedo Ali ke naam par

2.Shaam ki taarikyan mismaar karne ke liyen


Jaun ko laaye hain Sarwar raushni ke naam par

3.Aise waison ke kabhi bhi naam par milti naheen


Bheek milti hai to bas Maula Ali ke naam par

4.Ham Ali waalon ko yeh dunya mita sakti naheen


Maut bhi milti hai ham ko zindagi ke naam par

5.Jis ke andar kul sifaate Ambiya maujood the


Bas wohi sauya shabe hijrat Nabi ke naam par

Qasida nr.2
1.Ali hi sab ke hain maula bura lage to lage
Yeh faisla hai khuda ka bura lage to lage

2.Uthao bazm se apni Ali ke dushman ko


Nabi ka hai yeh tareeqa bura lage to lage

3.Chala yeh kehta huwa aftaab maghrib se


Kisi ko mera palatna bura lage to lage

4.Rasoole Paak ne tareekhe jange khaybar me


Ali ko mard kaha tha bura lage to lage

5.Ali Imam man asto manam ghulame Ali


Yehi hai mera wazeefa bura lage to lage

6.Woh jisne Fatema Zehra ki pasliyaan taurleen


Karonga uspa tabarra bura lage to lage

7.Ali ke haq ki jahan par bhi baat aayegi


Nahi karonga taqayya bura lage to lage

8.Dare Ali pa najaf tak ke sar jhukaaoge


Qubool hoga na sajda bura lage to lage

9.Faraazedaar pa Meesum ne kehdiya jaakar


Karonga zikr Ali ka bura lage to lage

10.Ali ke naqshe qadam jis jagha nazar aayen


Karenge bas waheen sajda bura lage to lage

11.Adooe Aal ke hamdard kuch buzurgon ko


Hamara sakht rawayya bura lage to lage

12.Woh jisne Fatema Zehra ka dar jalaaya tha


Mai uska phoonkonga putla bura lage to lage
13.Qasida jiska parlha hai Khuda ne Quraan me
Parlhenge uska qasida bura lage to lage

14.Kisi janab ko mehfil me chaahe majlis me


Lagega Haidery naara bura lage to lage

15.Sana ke sher sada gun gunaayega Akhtar


Kisi ko iska taraana bura lage to lage

Qasida nr.3
1. Zikre Aal hona hai aap kaun hote hain
Yeh Khuda ka waada hai aap kaun hote hain

2.Baade Mursale Aazam bas Ali hi Maula hain


Faisla Khuda ka hai aap kaun hote hain

3.Ham ko zikre khaybar se rokne jo aaye hain


Aap ka pata kya hai aap kaun hote hain

4.Unke naam khud Mursal likh gaye hain kaaghaz par


Baagh Sayyedah ka hai aap kaun hote hain

5.Mai Ali ke dushman par laanaten jo karta hon


Yeh mera wazeefa hai aap kaun hote hain

6.Mushkilon se bachte hain ham Ali Ali keh kar


Yeh Nabi ka naara hai aap kaun hote hain

7.Qamma ka karen matam ya lagaayen zanjeeren


Khoon yeh hamara hai aap kaun hote hain

8.Haq bayaan karna hai jaake bar sare mimbar


Yeh hamara shewa hai aap kaun hote hain

9.Kyun na paltoon yeh sooraj bola jalne waalon se


Haidari ishaara hai aap kaun hote hain

10.Dushmanaane Haider se dosti naheen karta


Yeh mera aqeeda hai aap kaun hote hain

11.Mustafa ke haathon se deen ka alam logo


Kal Ali ko milna hai aap kaun hote hain

12.Jo hai Maalike jannat ham ko dega woh jannat


Aap ka ijaara hai aap kaun hote hain

13.Mustafa Nabi Allah Murtuza Wali Allah


Yeh hamara kalma hai aap kaun hote hain

14.Mai duaaen karta hon waaste se Haider ke


Yeh mera waseela hai aap kaun hote hain

15.Murtuza ki aamad par misle khaanae Kaaba


Ham ko muskurana hai aap kaun hote hain

16.Aap ko to Mursal ne bazm se nikaala hai


Aap me raha kya hai aap kaun hote hain

Qasida nr.4
Ham Ali ke diwaane har ada ghadeeri hain
Ibteda ghadeeri hai intehaa ghadeeri hai

1.Ambiya Imamon ka silsela ghadeeri hai


Parlh lo ayaaye balligh khud Khuda ghadeeri hai

2.Aaj bhaagne wale raasta na paaenge


Maimana ghadeeri hai maisara ghadeeri hai

3.Naam leke Haider ka ham yeh jaan lete hain


Kaun hai saqeefayi kaun sa ghadeeri hai

4.Usko ko kya daraaengi mushkilen zamaane ki


Karbalayi dil jiska haunsla ghadeeri hai

5.Khud hi uske qadmon me barlh ke aayegi jannat


Barlh ke jisko Haider ne kehdiya ghadeeri hai

6.Kufr aur baatil ki bas saqeefa manzil hai


Haq pasand logon ka raasta ghadeeri hai

7.Dekh kar mujhe Akhtar dee sada yeh Rizwan ne


Khuld me chale aao raasta ghadeeri hai

Qasida nr.5
Uski dunya garl barl hai aur uski uqba garl barl hai
Jisne Ali ki raaha ko chorla uska rasta garl barl hai

1.Maidane khum meri manzil teri saqeefa hai manzil


Mera aqeeda sachcha hai aur tera aqeeda garl barl hai

2.Door rahe to behtar hoga ham hain achi nasl ke log


Maula ke har ek dushman se milna julna garl barl hai

3.Dekhna hai to jaakar dekho tareekhon me hai maujood


Jisne Fidak ka kaaghaz phaarla uska shajra garl barl hai

4.Shehr me basna ho to basaao apna thikaana aur kaheen


Isme munaafiq rehte hain yeh saara ilaaqa garl barl hai

5.Dushmane Haider teri ibaadat dekh ke Mursal keh denge


Isko apne paas hi rakho maal yeh saara garl barl hai

6.Makke Madine me ho chaahe chaahe Pakistan me


Dushman se mansoob zameen ka chappa chappa garl barl hai

7.Jisme Ali ka naam naheen aur jispa Ali ka zikr na ho


Aysi masjid garl barl hai aur aysa musalla garl barl hai

8.Usne zubaan kholee hai Maula teri azaadari ke khilaaf


Sar se lekar paaon talak jo saara khasaara garl barl hai

Qasida nr.6
Dam ba dam Ali kehna har qadam Ali kehna
Hai Nabi ki nazron me mohtaram Ali kehna

1.Inki badaulat deene khuda ki aaj jahaan me izzat hai


Mushkil me imdaad ko aana inke ghar ki aadat hai
Inke dushman se bezaari mere Nabi ki seerat hai
2.Madhe salaasa par jo apne sar ko jhukaae baithe hain
Maula tere dushman se jo haath milaae baithe hain
Ayson ki chutti karde ham aas lagaaye baithe hain

3.Mere khuda ne naam pa apne naam Ali rakha inka


Jannat inki Kausar inka Quraan aur Kaaba inka
Mulk to hai Allah ka lekin chalta hai sikka inka

4.Saare sahaaba ne mushkil me bas inko hi pukaara hai


Har payghambar ki mushkil ka wahid ek sahaara hai
Qaule Payambar yaad hai ham ko jo inka woh hamara hai

5.Inki zauja nabiyon se behtar jo Mursal ki dukhtar hai


Bete hain sardaare jannat jo Shabbir o Shabbar hain
Inse ulfat karne waale Meesum Salmaan Abu-Zar hain

6.Inka dushman dushmane Mursal dushmane Mursal kafir hai


Mai naheen kehta yeh to Akhtar qaule Nabi se zaahir hai
Inse mohabbat karne waala ilm-o-honar me maahir hai

Qasida nr.7
Har dua me Maula ka waasta zaroori hai
Naam leke Haider ka maangna zaroori hai

1.Dushmanaane Haider ko jo qareeb rakhte hain


Mera ayse logon se faasla zaroori hai

2.Ahlebayt ke haq ki baat jab bhi aayegi


Har ghadeer waale ka bolna zaroori hai

3.Jab Rasool Haider ko haathon par uthaaenge


Moo Ali ke dushman ka phoolna zaroori hai

4.Sayyeda ka darwaaza jo jalaane aaya tha


Uska kaaghazi putla phoonkna zaroori hai

5.Jispa dhaue jaate hain bughze Aal ke fatwe


Ayse har safeene ka doobna zaroori hai

6.Jo Ali ke dushman se dushmani naheen rakhta


Ayse shakhs par laanat bhejna zaroori hai

7.Laakh sher kehdeeje faayeda na pohnchega


Shayeri ki dunya me Karbala zaroori hai

Qasida nr.8
Nasl me jab najaasat huyi
Panjetan se adaawat huyi

1.Jab Ali ki wiladat huyi


Rab ke ghar ki tahaarat huyi

2.Dushmano par tabarra kiya


Ab mukammal ibaadat huyi

3.Dushmane Aal se ittehaad


Sayyeda se baghaawat huyi
4.Tha ghulame Ali is liye
Har jagha meri izzat huyi

5.Taaziya dekh kar aaye ham


Karbala ki ziaarat huyi

You might also like