You are on page 1of 1

Alwida Alwida Alvida Hai,

Mah e Ramzan bas alwada hai.

Din teray aanay say motbar thay,


Noor mein dubay shaam o sehar they.
Teray janay say dil ro raha hai,
Mah e Ramzan bas alvida hai.

Sehri iftar qirat tarawi,


Aur azaan e namazein o tasbeeh.
Yeh saman noori tujh say mila hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Rehmatoon ka tu pegham laya,


barkatoon ka tu inaam laya.
Rutba aala o afzal tera hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Jaam rehmat kay tunay pilaye,


Gul muradoon kay tuney khilaye.
Tu juda hum say ab ho raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Humko baykal tu paye ga kab tak,


Gar rahe zinda aglay baras tak.
Phir milein gay jo huqmay khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Chal diya hai tu jo Rab ki janib,


Ahl e Imaan kay purnam hain Qalib.
Qalb e Ishrat bhi gham say bhara hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Humko bekal tu payega tab tak


Gar rahay zinda agle baras tak.
Phir milengay jo huqm e Khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

You might also like