Professional Documents
Culture Documents
Soch raha tha ya sir nonch Raha tha kuch pata nahin Chal Paa raha tha..
"Aakhir koi Idea kyun nahin Aa raha , Kahan se shuru Karun..???
Kya likhun , Dead line nazdeek Aa rahi hai,
Agar time pe koi story nahin de paya..
To naya set fir late ho jayega, aur uska khamiyaja sab ko uthana padega.."
" Kya hua .... Subah ke char Baj gaye hain Sona nahin hai ??"
" Kya Karun Dimaag ne to jaise kaam karna hi band kar Diya hai.., koi idea nahin Aa
raha, pahale bhi do teen bar .. Adhura set nikalana pada publisher ko kyunki main
story nahin bhej paya, Aisa raha to shayad .. Job se bhi nikal den..fir kya karenge
",
" Haan WO to hai, Aapko aur kucch Aata bhi to nahin.., fir Ghar kaise Chalega ...,
Aapko hi Dimag chalana padega..
Ab Batao woh ek cup coffee se kaam karega ya Mere Belan se ??"
Aur fir WO so gaya.. Par Aankhon mein neend ka namonishan naa tha.., Dimag mein bas
Dead line Daud rahi thi, warna career ka dead end tay hai..
Hmf hmf..
Woh AndhaDhundh bhag raha tha, uski Taange kaanp rahi thi, Saansen fool rahi thi..
Fir bhi woh Ruk nahin Sakta tha. Haan palat kar peeche Dekh leta tha ek pal ko, par
fir daudane lagta tha..
Usane fir peechhe Dekha... ,Door Door tak koi nazar nahin aa raha tha....,
Woh sihar utha, par fir bhi Apna Sara Dum bator Cheek ki Disha mein Daud pada...
Aur fir...
Kya hua...
Yun tukdon mein bol kar suspense na badhao.. Poori baat batao...
Batata hun, Tabhi Dhadak ki Aawaj se Darwaja Khula aur uska Chehra Dehshat se bhar
utha..
Cut it ...
Aapane Bahut hi Gajab ki Story likhi Anand Bhai , Aap ko to is story ke liye Alfred
Hitchcock puraskar milana Chahiye.
Oh yeh kya ho raha hai.. Dimag mein Jo Ideas run kar rahe hain, unka ..abhi ke liye
needed story se koi tallukaut hi nahin...
Itane Dinon baad Office Aaye ho , ab to Story Finish kar li Hogi , fir Artist ke
pas bhi Bhejani hai.. Arts Aur Frames taiyar karane ke liye.
Pahale bhi Aapke karan sets late aur Adhure ja Rahe hain..
Aisa raha to publication band karana Padega ya Aapki jagah Naye log Rakhane
padenge..