You are on page 1of 1

Wo shakhs jis se muje chahat milti thi,

Wo jis ki bahon mein muje rahat milti thi,


Wohi tha k jis ki khushi se muje farhat milti thi,
Ussi k jazbat mei dunya bhar ki sadaqat milti thi,
Us shakhs ko apne hathon se ganwa dia ha main ne,
K apni zindagi ko khud kanton se saja dia ha main ne

Wo shakhs jo tarasta tha k mera deedar ho jaye,


Kab chahta tha wo k meri ankh ashkbar ho jaye,
Tanha ho jaun or wajud e ishq lachaar ho jaye,
Ni chaha us ne k mera safr-e-zindagi bekar ho jaye,
Apne hi shikwon se usay bewafa bana dia main ne,
K apni zindagi ko khud kanton se saja dia ha main ne,

Jo mujh se bar kar meri soch se mo'tarif rehta ha,


Jis ka sarapa e ishq meri ankhon se munkashif rehta ha,
Khoon ban kar jo meri rogon mein mo'takif rehta ha,
Meri hi baton se ab mujh se munharif rehta ha,
Jis dil mei main hi tha ussi ko dukha dia main ne,
K apni zindagi ko khud kanton se saja dia ha main ne,

Jo har pal meri chahat k nashay mein madhosh rehta tha,


Mere hazar shikwon per bhi wo youhi khamosh rehta tha,
Mere har dukh mein wo sarapa-e-Aagosh rehta tha,
Mere arooj k liye har pal wo purjosh rehta tha,
Apni nigahon se khud ko hi gira dia main ne,
K apni zindagi ko khud kanton se saja dia ha main ne,

You might also like