Urdu Poems

You might also like

You are on page 1of 2

Romatic:

 Uska haskar nazren jhukana, Saari shartein kubul ho jaise.. Kitni dilkash hai unki khamoshi, Saari baatein
fizool ho jaise.
 Wo jazbaat hi kya jo lafzon main bayan ho jaaye… Kuch rasmein to sirf nazron se nibhayi jaati hain…
 Chand ke shauk main tum chhat par mat chale jaane, Sheher main Eid ki taarikh badal jaayegi…
 Vahemo-Gumo se dur dur, Yakin ki hadd ke paas paas.. Dil ko ye bharam ho gaya, unko humse pyar hai….
 Na socha karo har baar ke hum bhool jayenge tum ko..Na tum itne Aam ho, na yeh mere bas ki baat hai….
 Unhe ye shikayat hai hum se, Ki hum har kisi ko dekh kar muskurate hain.. Na samajh hain wo kya jaane,
Hame to har chehre mein wahi nazar aate hain…
 Nigaho me haya ho, to dil ka parda hi kafi hai… Warna ishare to naqab me bhi hua kurte hai..
 Iss mein koshishon ka dakhal nahi hota…Muhabbat ittefaqi hadsa hai….
 Khuda karay kabhi manzil na milay mujhe.. Bohat mushkil say huya hai wo raazi saath chalnay ko …

Sad:

 Shouk se todo dil mera, muje kya parwah…Tumhi rahte ho is main , apna hi ghar ujadoge….
 Aadatan tumne kar diye vaade, Aadatan humne aitbar kiya..
 Main chup raha to, Aur galat famiyan badhi… Wo bhi suna usne, jo maine kaha nhi…
 Main ne hi sikhaya tha usey teer chalana.. Ab mere siwa uss ka koi nishana bhi nahi hai…
 Is jid par tera zulm gavara kiya hum ne… Dekhenge tujhe reham kahan tak nhi aata…
 Uss ne pucha zindagi kis ne barbaad ki, Humne ungli uthai aur apne dil pe rakh di…
 Mujhe malom hai ki wo mera kabhi bhi nahi ho sakta, Mujhe bas shauq hai us ki khatir zindagi barbad karne
ka..
 Rootha tha jis guroor se, woh bhi To yaad kar… Aankhoon main teri aaj, Yeh aansoo fazool hain….
 Juda hokar bhi j, tera saath nhi chodti.. Ji baat teri yaadon main hai, wo tujhme kahan…
 Wo jamane bhar me humari bevafai ki charcha karte hen, Par hum khush hain ki unki juban pe mera naam to
aaya.. Khat mila ki chhod rahe hen vo hume, Par hum khush hain ki ek paigam to aya
 Unki chahat me dil majbur ho gaya, Bewafai karna unka dastur ho gaya., Kasur unka nahi mera tha, maine
chaha hi itna ki unko gurur ho gaya..
 Jis ki khatir sari sarhadain tod di doston.. Aaj usi ne keh diya zara hadd mein raha karo…
 Tumhari Ek Nigah Se Qatal Hotay Hain Log Faraz…Ek Nazar Hm Ko Bhi Dekh Lo K Tm Bin Zindagy Achi
Nahi Lagti…
 Taras gaye h hum sunne ko kuch tere lab se… Pyar ka baat na sahi, shikayat hi kardo…
 Ajeeb Lagti Hai Sham Kbhi Kabhi, Zindgi Lagti Hai Bejan Kbhi Kabhi… Samaz Aaye To Hume Bhi Batana,
Kyu Karti Hai Yade Paresan Kbhi Kbhi…
 Us shaks ko to bichudne ka sleeka bhi nhi….jaate hue khud ko mere paas chod gya…
 Ki tujhse ab koi waasta to nahi hai mera, Lekin Tere hisse ka waqt aaj bhi Tanha hi guzarta hai…
 Dil bhi kisi k saath lagaya to ek baar, humne koi bhi gunaah dobara nahi kiya…
 Na Koi Fikar Hai, Na Koi Yaad Hai Baqi… Magar, Yeh Aakhri Misra Zara Sa Jhoot Lagta Hai..
 Agar wo humse puchle k tumhe kis baat ka hai gum,to kis baat ka hai gum agar wo humse puchle…
 Kamal ka shakhs tha jis ne meri zindagi tabha kar di ghalib.. Raaz ki baat to ye hai ke dil us se khafa ab bhi
nhi….
 Meri aankhon main needn ban ke reh jao ab to.. Tumhare intezar main kitni raaton se bewafai ki hai…
 Humain to kab se pata tha k tu bewafa hai..Tujhe chaha is liye k shaayad teri fitrat badal jaye..

Irony/Truth:

 Hum kahan jaayenge jazbaat ka sheesha lekar.. lafz pathar ka to har shaqs chala deta hai…
 Kya baat kare is duniya ki, Har shakhs ke apne afsaane hai… Jo samne hai use log bura kehte hai, Jisko
dekha nahi kabhi use sab khuda kehte hai….
 Hosakti hai mohabbat, Zindagi mein dobara bhi . . .Bas thoda hosla ho, Ek bar phir barbaad hone ka . . .
 Bina libas aaye they is jahan main.. bas ek kafan ki khatir itna safar karna pada…
 Har insaan dil ka bura nhi hota..har insaan bewafa nhi hota.. bujh jaata hai kabhi diya tel ki kami se.. har bar
kusoor hawa ka nhi hota….
 Kon kise yadon mein jagah deta hai, Ped bhi sukhe patte gira deta hai… Waakif hain hum duniya ke riwajo
se, Dil bhar jaye to har koi bhula deta hai……
 Kya dua karun mian mere apno ke liye ae khuda.. Bas yhi dua hai ki mere apne kabhi kisi dua ke mohtaz na
ho..
 Bewafai ki duniya h zara sambhal kar chalna dost. . . Yahan log barbaad karne k liye bhi mohabbat ka sahara
le lete hain…
 Likha hua naseeb ka milta hai waqt par…Bas aadmi main sabar ki aadat nahi rahi…
 Fakeer ki jholi me 1 sikka dala to ye jana ke… Mehngai ke is zamane me, Duaaye aaj bhi kitni sasti hain.
 Wo tasvir lakho me bik gai, Jis me roti k bagair ek bachcha udas tha….
 Umar bhar ghalib yhi bhul karta rha.. Dhul chehre par thi, aaina saaf karta rha….
 Naraj na hona, jo tujhe bhool bhi jaye koi yaha to log khuda ko bhi waqt ae jarurat yad karte h…
 Aaj mohhobbat ka bas, Itnaa fasaana hai.. Kaagaz ki kashti hai, baarish kaa jamaana hai…
 Ye wafa ki baten to un dino ki baatein hain Faraz, Jab log sacche or unke makaan kacche hua karte they..
 Maut Bhi Kam Khobsurat Toh Nahi Hoti Hogi,Jo Bhi Is Se Milta Hai Zindagi Chor Jata Hai..
 Kon data ha umar bhar ka sahara aay Faraz.. Log to janazay man bhi kandhay badaltay rahtay hein…
 Chadti thi us majar par chaadre beshumaar…. Aur bahar baitha ek fakeer sardi se mar gaya..
 Zindagi tujhse har ek baat pe sanjhauta Karun… Shoq jeene ka hai mujhko magar itna to nahin

Witty:

 Uski yaad ne hme nikmaa bna diya ghalib…warna aadmi hum bhi kaam k the…
 Chupke se maine ek gulab use bheja tha, Khushbu ne saare shehar ko tamasha bana diya…

Close to my heart:

 Chod di humne sharab, karke ishq tujhse… Tere aage iska nasha kuch halka sa lagta hai.
 Ae dil tu to bada gustakh nikla.. Har pal, paas mere hokar bhi.. Tu saath unke rehta hai…
 Unhe shikayat hai humse hum yad nhi karte.. Koi bataye unhe ki yad unko kiya jaata hai.. jink bhule ho kabhi..
 Unhe dikhti agar unki aankhen.. Unhe bhi samajh aa jaata.. Unke chehre se nazren hatana..utna bhi asaan
nhi..
 Kuch is tarah nadaani main unhone gunah kiya.. baithey baithey muskura diye… hume tabah kiya..
 Banke humsafar yun hi saath chalenge.. Zindagi lage choti itna pyar karenge.. Fasle na ho dilo main..chahe
dur rhe hum..Rab se ab to bas yhi dua karenge..
 Tu chand hota to likh paate tere husn par kavita .. par mumkin nhi har cheez ko shabdon main sametna…
 Forever will not be long enough with you…
 Kaatil tum nhi, ye jaante hain hum…. tumpe mar mite hain hum jo.. to gunah kiska..
 Tera ishq nhi dariya aag ka.. jise paar kare hum.. Ye to wo samundar hai jisme maza hai dubne ka..
 Ek time tha wo bhi.. jab aaye tum meri zindagi main… ek time ye bhi hai.. tum ban gye zindagi meri..
 Ho jaaye roz mulakat mushkil hai.. Lafzon main bayan kar paana har baat mushkil hai.. Chahat hai ki chu lu
tujhe hoton se abhi.. Puri ho har khwashish ye saugat mushkil hai..

You might also like