You are on page 1of 4

Home |

“ Narazgi Ka Sabab To Puch Liya Karo Duniya Lakh Ho Yad To Kar Liya Karo Mat
Rakho Beshak Har Pal Ki Khabar Zinda Hai Ya Mar Gye Itna To Puch Liya Karo
.... ”
(Posted on : 12-02-2011 Characters : 154)

“ ek din tujhse rooth kar dekhna hai


tere manane ka andaaz kaisa hai
abhi to saath chale hain kuchh din
kab tak saath chaloge ye dekhna hai ”
(Posted on : 06-05-2010 Characters : 140)

“ Aap door gaye, intzaar kiya,


Aap paas aaye, feel kiya..
Aap rooth gaye, raazi kiya,
Aap yaad aaye, miss kiya..
Jab miss kiya, sms kiya..
Ek baat batao! Sab to humne kiya, aapne kya kiya???? :-|

(Posted on : 20-03-2010 Characters : 200)

“ Nikalta chand sabko pasand hota hai,


Doobta suraj kaun dekhta hai..
Toot-ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai,
Kyuki use tootne ka dard maaloom hota hai.. :-) ”
(Posted on : 18-03-2010 Characters : 170)

“ Itna kuch khoya k hamein paana na aaya,


Pyaar kiya to jatana na aaya,
Aa gaye tum iss dil me pehli nazar me,
Kasoor hamara tha jo aapke dil me samana na aaya..

(Posted on : 06-01-2010 Characters : 164)

“ Meri khushi lelo, Mera chain-o-aman lelo,


Ab kuch nahi bacha mere paas tumhe dene k liye,
Ho sake to ye do gaz zameen aur ye kafan bhi le lo..

(Posted on : 08-10-2009 Characters : 146)

“ Aankhon ko ashq ka pata na chalta,


Dil ko dard ka ehsaas na hota,
Kitna haseen hota zindgi ka safar,
Agar milkar kabhi bichhadna na hota.. ”
(Posted on : 23-09-2009 Characters : 141)

“ Sapne ki tarah aakar chale gaye,


Gamon ki neend sulakar chale gaye.
Kis bhool ki saza di humko,
Pehle hansaya,
Fir rulakar chale gaye!!


(Posted on : 02-09-2009 Characters : 143)

“ Door rehkar aapko miss kiya hamne,


Aapke liye God se wish kiya hamne.
Chupke se aapki yaad chali aayi,
To aapko pyari si nindiya wish kiya hamne.. GUDNITE :-)”
(Posted on : 11-08-2009 Characters : 161)

“ Dooriyan hi nazdik lati hain,


Duriyan hi ek duje ki yaad dilati hain.
Door hokar bhi koi kareeb hai kitna,
Dooriyan hi is baat ka ehsaas dilati hain.. ”
(Posted on : 11-08-2009 Characters : 153)

“ Khaamosh raat k pehlu me sitaare na hote,


In rookhi aankhon me rangeen nazaare na hote!
Hum bhi na karte yaad aapko,
Agar aap itne pyaare na hote! ”
(Posted on : 17-06-2009 Characters : 149)

“ Yaadein aati hain Yaadein jati hain,


Kabhi khushiyan kabhi gam laati hain.
Shikwa na karo zindgi se,
Aaj jo zindgi hai,
Wahi kal yaadein kehlati hain!! ”
(Posted on : 11-06-2009 Characters : 155)

“ Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,


Muskura rahe the hum par aankhon me nami si thi.
Saath hamare jahan tha saara,
Par na jaane kyun tumhari kami si thi..

(Posted on : 24-04-2009 Characters : 166)

“ Hichkiyan dila kar ye kaisi uljhan badha rahe ho? Aankhen band hain fir bhi
nazar aa rahe ho! Bas itna batado, k mujhe yaad kar rahe ho, ya apni yaad dila
rahe ho?

(Posted on : 17-04-2009 Characters : 165)

“ HASIN PALO KO PHIR SE AABAD KAR RAHE THE


YAADO SE AAPKI HI BAAT KAR RAHE THE
DIL KO BADA SUKUN MILA JAANKAR
KE AAP BHI SHAAYAD HAME HI YAAD KAR RAHE THE ”
(Posted on : 04-01-2009 Characters : 155)

“ ye bin bulayi yaadein bohat tarpati hai


na chahte hoye bhi dil mein bas jati hai
khuda kare aap ko humari itni hi yaad aaye
ke din raat bas humara hi khayal aaye ”
(Posted on : 08-08-2008 Characters : 164)

“ har Pal Ne Kaha 1 Pal Se


pal Bhar Ke Liye Aap Mere Samne Aa Jao
pal Bhar Ka Sath Kuch Aisa Ho
ki Har Pal Tum Hi Yaad Aao ”
(Posted on : 06-08-2008 Characters : 123)

“ Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,


Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tumhe paa na sake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota. ”
(Posted on : 09-07-2008 Characters : 161)

“ Har phool ki ajab kahani hai,


Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahin koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi unke paas hai. ”
(Posted on : 09-07-2008 Characters : 166)

“ Teri judai bhi humse pyaar karti hai,


Teri yaadein bahut beqarar karti hai,
Wo din jo tere mere sath guzre the,
Talash unko nazar bar bar karti hai. ”
(Posted on : 08-07-2008 Characters : 151)

You might also like