You are on page 1of 2

Tuesday, December 23, 2014

SHOHAR KE HUQUQ BIWI KE ZIMME


🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲

∫SHOHAR KE HUQUQ ∫
∫BIWI KE ZIMME∫

🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲

① har jaiz kam me shohar ki farma bardari kare


② shohar ki mali hesiyat se zyada kharch ka mutalba na kare
③ shohar ko jis ka ghar me aana pasand na ho use shohar ki ijazat ke bager ghar me
aane na de
④ shohar ki ijazat ke bager shohar ka maal kisi ko na de
⑤ shohar ko jab biwi ki zarurat ho tab biwi shohar ki ijazat ke bager nafal namaz na
parhe or na nafal roza rakhe
⑥ shohar agar hambistari ke liye bulaae to shar'ee uzr ke bager inkar na kare
⑦ shohar ko gurbat ya badsurti ki waja se haqir na samjhe
⑧ Agar shohar me koi chiz shari'at ke khilaf dekhe to adab se mana kare
⑨ shohar ko naam le kar na pukare
(10) kisi ke samne shohar ki burai bayan na kare
①① shohar ke rishtedaro se ladai jhagda na kare
①② shohar ke walidain ki khidmat ko sa'adat samjhe
①③ shohar kiijazat ke bager ghar se na nikle
①④ aurat jab tak apne shohar ka haq ada na kare, apne rab ka haq ada karnewali
nahi kahi jaaegi.
①⑤ jis aurat ki maut is hal me aae ke us ka shohar us se razi ho wo aurat jannati he
①⑥ shohar ke liye banawsingar karna us ka haq he, aurat ko us par ajr milta he
①⑦ shohar par aona maal kharch karna sa'adat samjhe jese hz khadija rd ne huzur
Sallalahu Alayhi Wasallam par apna maal kharch kiya tha
①⑧ shohar ko pareshani ke waqt me tasalli de
①⑨ shohar ki khidmat muhabbat or khulus se karna apni sa'adat samjhe
⑳ shohar ko haram kamai se bachane ki fikr kare.
②① shohar ke saman or ghar ko safsuthra rakhne ki koshish kare
②② shohar ke aaram ka khayal kare
②③ shohar koi sawal kare to maqsad samajh kar soch kar jawab de
②④ shohar ki pukar ka foran jawab de, bila wajah der na kare
②⑤ shohar agar mashwara kare to khulus se ray pesh kare
②⑥ shohar agar kisi galati par gusse ho jaae to foran muafi mang kar us ke gusse ko
thanda kar de
②⑦ sab se aham haq jis ko ada na karne ki wajah se fasad peda hota he... shohar ke
samne ZABAAN DARAZI na kare

🔲 KUCHH FARMANE NABWI

❶ hz abu huraira rd se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad


farmaya ke agar mere liye kisi ko ye hukm dena jaaiz hota ke ek shakhs dusre ko sajda
kare to me aurat ko hukm deta ke wo apne shohar ko sajda kare.

❈ allah ke alawa kisi ko sajda karna jaiz nahi he is liye rasulullah Sallalahu Alayhi
Wasallam ne biwi ko ye hukm nahi diya blk ye sabaq diya ke biwi ko chahye ko apne
shohar ki tazim kare

® ßukhari hadis no 1159

❷ hz muaz ibne jabal rd se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne


irshad farmaya ke jab bhi koi biwi apne shohar ko taklif pohchati he to shohar ke liye
allah ne jannat me jo hurein rakhi hein wo dunya wali biwi se kehti hein : “ tu us ko taklif
mat pohch... allah tuje halak kare wo tere pass mehmaan he.. bahut jald tuj se juda ho
kar hamare pass aa jaega ”

® ₮irmizi hadis no 1174

❸ hz abu huraira rd se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne jab


shohar apni biwi ko bistar ki janib bulae or wo inkar kar de to subah tak farishte us aurat
par la'nat bhejte rehte hein.

® ßukhari hadis no 5193


🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲
🔲Join🔲
ULama e deoband
Group
Male and female
🔲+91-7037363325

Plz forward to all Muslim

You might also like