You are on page 1of 1

Mujhe aaj bhi yaad hai jab me is shahar me naya aaya tha, Acting ka sapna lekar dimag me,

bachpan
se khub movies dekhta araha hu Amitabh Bachchan, naseeruddin shah, ki. Socha me is sapno ki
sheher me ek acha sa movie star banunga, waise starting me bahut problem hui kyoki pata nahi kyo
mere se sad and depressing roles nahi hote the drama me kyoki aindagi shuru se hi bahut smooth
gayi hai, isliye koi role nahi deta tha, fir meko nayi kiran theatre ke ek director ne apne drama me
role diya, saptarishi naam tha us drama ka, baki drama me acha toh perform nahi kar paya, lekin ha
ek ladki se waha mulakat hui meri, Sushmita naam tha uska, kya Khushboo hai uske baalon ki, waise
hamari mulakat ka silsila aage bahdta raha, me jin bhi drama me perform karta who saare dekhne
aati, sabse aage, beech ki seats par beth ti, and standing ovation deti thi chahe kitna bhi ganda
perform kiya ho mene, me bhi bahut khush tha, zindagi me nayi rounak agayi thi, fir socha is rishte
ko aage badhane ki, toh uske liye mene white roses liye, thodhe dost udhar lekar ek ring kharidi,
mast formal dress pehn kar usko taj hotel lekar gaya, dinner ke liye, us din date thi 28 november,
2008, us din me waha se akela lauta, ab pata hai mereko dikkat nahi aati sad roles karne me

You might also like