You are on page 1of 1

Dil ruk sa gaya tha

Jab aandhi aayi thi..

Un Haste chehron par

Wo khabar matam sa layi thi

Meelon ka fasla tha abhi

Gale lagane ko

Pair jame hue the aur

Mann tadap saa gaya tha ghar jaane ko

Ruh kaanp gayi thi ye soch kr

Kaise dekhungi wo chehra lakdiyon ki sej pr

Jo aanchal deta tha chhaon

Wo ab jalta hua nazar ayega aag ki mej pr

Ghar me kadam rkhte hi

maa ka khayal aya

Jab cheekhen suni to

zehen se ye sawal aya

kuch kar jaane par

duayen kaun dega

maa ab ghar aane par wo god

aur chashni me dooba hua wo pyaar kaun dega

poori basti ikattha thi waha

par tere bina to main akeli hi tha maa

wo chamkta chehra murjhaya sa tha

dil ruka hua tha aur aalam maayusi ka chaya sa tha

tere maathe ko chommte hi rooh kaanp si gayi thi

aakhri waqt me bhi tere saath na hone ki kasak maa

mujhe aandar se kaat si gayi thi..

You might also like