You are on page 1of 1

1.

Allah nay matti (zameen) ko haftay wallay din bnaya, Sunday ko is main pahar paida kiay, peer
wallay din darakhat , mangal wallay din makroo cheezain, budh wallay din noor paida kia,
jumeraat ko janwar aur chopaye paida kiay aur sb say akhir main jummay wallay din hazrat
Adam (AS) ko paida keea. MUSLIM (2789) – mishkatulmasabeeh pg (3/376)
2. Jannat main sab say achee nemat? – jab jannat wallon say poocha jai ga tumhay aur kia chahaiy?
Wo kahain gay? Kia tu nay hamray chehray safaid nahi bnaye? Kia tu nay hamain janant main
dakhil nahi kia aur jahanum say bacha nahi liay? ----- phir Hijaab utha lia jaye ga to wo log Allah
kay chehray ka deedar karain gay, aur un ko allah nay job hi kuch ata keea ho ga un sab say
behtar ye nemat hay. (muslim – 298) --- mishkatulmasabeeh pg (3/347)
3. Jannat main 100 darjay hain… aur her 2 darjon main 100 saal kee musaffat hay (Tirmizi 2529) -
mishkatulmasabeeh pg (3/338)
4. Jannat may rehnay walon k ghar kholdar moti ke tarha hon ga 30 meel oonchay aur 60 meel
choray … bukhari 3243 , 4879
5. Ruay zameen per jo aj nafs mojood hay 100 saal guzarnay kay bd wo zinda nahi ho ga (muslim
219, 2530) --- mishkatulmasabeeh pg (3/287)
6. Hoz e kausar itna bara hay jitna manina aur yemen ka aik shehar Sana’ (‫ )صنعا‬ka fasla hay aur is
main pay piyalon ke tadad itnee hay jitnee asmaan per sitaray (bukhari 6580)
7. "Logo Apnay App per Reham Karo, keu k tum kisi Behray ya Ghair Mojood ko nahi pukartay
Balkay tum is Zaat ko pukartay ho jo bhot ziada sunnay walla bara dekhnay wala hay ....
Sahi Bukhari Hadees 6610
8. Kisi kay liay ye munasib nahi kay wo kahay main flan flan ayatain bhool gya, balkay ye kahay kay
main flan flan ayaton ko bhula diya gya .. Bukhari 5039
9. Nabi salla ho alihe wassalam ko Quran sun-na pasand tha… Bukhari hades 5049…
10. Quran ko us waqt tak parho jab tak dil laga rahay… bukhari 5060
11. Mafi mangnay ki dua… bukhari 6306
12. Jab allah nay apni makhlooq ko paida keea to apni kitab main isay likha, is nay apni zaat kay
mutaliq bhi likha, aur ye ab bhi arsh per likha hua mojood hay “ meri rehmat meray ghazab per
ghalib hay “
13.

You might also like