You are on page 1of 1

Jeevan Ek Kala

Jeevan ek kala hai,


Jisko samjhi woh aage chala hai,
Jisko na samjhi usko yahi salah hai
Ki jeevan ek kala hai.

Woh adhure dekhe hue khwaab hai,


Jinke abhitak mile nahi koi jawab hai,
Apni apni khwaishe lekar har koi kah raha hai
Ki jeevan aadha mehtab hai.

Kahi beshumar pyaar hai,


Toh kahi jhagade hazaar hai,
Apni apni aas lekar har koi lah raha hai
Ki jeevan toh pura bekar hai.

Yeh woh geet hai,


Jisme lagna baki abhi sangeet hai,
Apni apni dhun lekar har koi kah raha hai
Ki jeevan toh haarjeet hai.

Kahi pr rang se rangai hai,


Toh kahi berang si chhayi hai,
Apne apne chitra lekar har koi kah raha hai
Ki jeevan toh na samjhi hui gahrai hai.

Yeh shabd hai nishabd hai,


Adhura rah gaya woh panna hai,
Apni apni kalam lekar har koi kah raha hai
Ki jeevan toh aadha nagma hai.

Ant mein yahi kahunga


Ki Jeevan ek kala hai,
Jisko samjhi woh aage chala hai,
Jisko na samjhi usko yahi salah hai
Ki jeevan ek kala hai.
-Rushikesh Suryakant Telange
rushtelange98@gmail.com

You might also like