You are on page 1of 44

ِِِِِ‫الر ِحيْم‬ ِِ ‫الرحْ ٰم‬

َّ ِ‫ن‬ َّ ِ‫اّلل‬
ِِٰ ِ‫س ِِم‬
ْ ِ‫ب‬

Index

Durood Shareef 3

Naya Fashion Aur Pardah 5

Naye Fashion Ki Kharabiya'n 6

Musalman Ke Uzr 13

IsLaami Shakal 22

IsLaami Libaas 23

Aurato'n Ka Pardah 25

IsLami Pardah Aur Tariqa-E-Zindagi 35

Ladkiyo'n Ki Ta'aleem 38

2
Durood Shareef

Hazrat Anas RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Kaha Ke,


Rasule Kareem ‫ﷺ‬Ne Farmaya Ke, Jo Shakhs Mujh par Ek Baar
Durood Bhejega Khuda-E-Ta'Aala Uspar Das Martabah
Rahmat Naazil Farmayega. Aur Uske Das Gunaho'n Ko Muaf
Farmayega Aur Das Darje Buland Farmayega.
(Nisayi)

Hazrat Ibne Masood RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Kaha


Huzoor ‫ﷺ‬Ne Farmaya Ke, Qayamat Ke Din Logo'n Me'n Sab
Se Zyada Mere Qareeb Wo Shakhs Hoga Jisne Sabse Zyada
Mujh Par Durood Bheja Hai.
(Tirmazi)

3
Durood-E-Ganje Aashiqa'n
ِ‫صلیِہللاِعلیِالنبیِاالمیِوِ ٰالہِِصلیِہللاِعليہِوِسلمِِصلوتہِِوِسالماِعليک‬
.‫ياِرسولِہللا‬

Jo Shakhs Huzoor Aqdas ‫ﷺ‬Se Sacchi Mohabbat Rakhe,


Tamam Jahaan Se Zyada Huzoor Ki Azmat Dil Me'n Jamaye,
Huzoor Ki Shaan Ghataane Waale Se Bezaar Aur Unse Door
Rahe. Wo Agar Is Durood Shareef Ko Ba'd Namaze JumuAh
Madinah Tayyabah Ki Taraf Muh Karke Dast Basta Khade
Hokar 100 Baar Padhe To Uske Liye Be-Shumar Faide Hain Jin
Me'n Se Ba'z Yaha'n Darj Kiye Jate Hain:

1) Is Durood Shareef Ke Padhne Waale Par Khuda-E-Ta'Aala


3000 Rahmate'n Naazil Farmayega.
2) Uspar 2000 Apna Salam Bhejega.
3) 5000 Nekiya'n Uske Naama-E-Aamaal Me'n Likhega.
4) Uske Maal Me'n Taraqqi Dega.
5) Uski Aulad Aur Aulaad Ki Aulaad Me'n Barkat Rakhega.
6) Dushmano'n Par Ghalbah Dega.
7) Kisi Din Khwab Me'n Sarkar Aqdas ‫ﷺ‬Ki Ziyarat Se
Musharraf Hoga.
8) Eemaan Par Khatimah Hoga.
9) Qayamat Me'n Huzoor ‫ﷺ‬Ki Shafa'at Wajib Hogi.

4
10) Allah Ta'Aala Usse Aisa Raazi Hoga Ke Kabhi Naraz Naa
Hoga.

Naya Fashion Aur Pardah

Murawajjah Rasme'n

Naye Ta'leem Yaafta Logo'n Ne Musalmano'n Ki Maujudah


Pasti Aur Unki Bimariyo'n Ka ILaaj Ye Socha Ke Musalman
Maghribi Tehzeeb Me'n Apne Aap Ko Fana Kar Daale'n Is
Tarah Ke Mard To Daadhiya'n Munda De'n Munche'n Lambi
Kare'n Nikar (Jhanghya) Coat Patloon, Hat Istamal Kare'n.
Namaz Ko Khair Baad Keh De'n Aur Apne Ko Aisa Zaahir
Kare'n Ke Ye Kisi Angrez Ke Farzand Hain Aur Aurato'n Ko
Gharo'n Se Bahar Nikaale'n Pardah Tod De'n, Apni Biwiyo'n
Ko Sath Le Kar Bazaro'n, Company, Baagho'n Aur Tafreeh
Gaaho'n Me'n Ghoomte Phire'n. Raat Ko Begum Ko Le Kar
Cinema Jaye'n Balke College Aur Scholo'n Me'n Ladke
Ladkiya'n Ek Sath Beth Kar Ta'leem Haasil Kare'n. Balke Mard-
O-Aurate'n Mil Kar Tennis Hockey Khele'n.
Ye Bhoot Un Aqalmando'n Par Aisa Sawar Huwa Hai Ke Jawan
Ko Samjha Jata Hai Uske Ye Dushman Hain, Usko Mulla'n Ya
Masjid Ka Lota Purani Type Ka Budha Keh Kar Mazaaq Uda
Kar Rakh Dete Hain. Akhbaro'n Aur Risalo'n Me'n Barabar
Pardah Ke Khilaaf Mazameen Chap Rahe Hain. QurAani
Aayato'n Aur Ahadise Sharifah Ko Kheench Taan Kar Pardah
Ke Khilaaf Chaspa'n Kiya Ja Raha Hai To Ab Tak Naa Samjha
Ke In Harkato'n Se Muslim Qaum Taraqqi Kyun Kar Sakegi Aur

5
Jin Sahebo'n Ne Apne Gharo'n Me'n Paris London Ka Namuna
Paida Kiya Hai Unhone'n Ab Tak Kitne Mulk Jeete Aur
Unhone'n Musalmano'n Ko Apni Zaat Se Kya Faida Pohchaye.
Ham Is Baab Ki Do Fasle'n Karte Hain. Pehli Fasl Me'n Naye
Fashion Ki Kbarabiya'n Aur Dusri Me'n Parde Ke Faide Aur Be-
Pardagi Ke Naqli Aur Aqli Nuqsanaat Bayan Karenge.

Haq Ta'Aala Apne Fadl-O-Karam Se Qubool Farmaye Aur


Musalmano'n Ko Amal Ki Taufeeq De.... Aameen

ِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِ Pehli Fasl


Naye Fashion Ki Kharabiya'n

QurAan Kareem Farmate Hai:

‫الس ۡل ِم َکآٰفَّة‬
ِ ‫يٰٓاَيُّ َها الَّذ ِۡينَ ا َمنُوا ۡاد ُخلُ ۡوا فِى‬
[Surah Al-Baqarah:208]

Aye Eemaan Waalo! Islam Me'n Pure Pure Daakhil Ho Jao.

Insaan Ko Qudrat Ne Do Qism Ke Aaza Diye Hain. Ek Zaahiri


Dusre Chupe Huwe. Zaahiri Azu To Surat Chehra, Aankh,
Naak, Kaan Waghairah Hain Aur Chupe Huwe Azu Dil,
Dimaagh, Jigar Waghairah. Musalman Kaamil Eemaan Waala

6
Jab Hosakta Hai Ke Surat Me'n Bhi Musalman Ho Aur Dil Se
Bhi Yaani IsLaam Ka Uspar Aisa Rang Chadhe Ke Surat Aur
Seerat Dono'n Ko Rang De. Dil Me'n Allah Ta'Aala Aur
RasoolAllah ‫ﷺ‬Ki Itaa'at Ka Jazbah Mauje'n Maar Raha Ho, Is
Me'n Eemaan Ki Shama'a Jal Rahi Ho Aur Surat Aisi Ho Jo
Allah Ke Mahboob ‫ﷺ‬Ko Pasand Thi Yaani Musalman Jaisi.
Agar Dil Me'n Eemaan Hai Magar Surat Bhagwaan Daas Jaisi,
To Samajh Lo Ke IsLaam Me'n Pure Pure Daakhil Naa Huwe.
Seerat Bhi Acchi Bana'o Aur Surat Bhi.

Ghaur Se Suno! Hazrat Mughirah Ibne Sheebah Jo Ke Sahabi-


E-RasoolAllah Hain Ek Baar Unki Munche'n Kuch Badh Gayi
Thi'n. Huzoor Alaihissalam Ne Farmaya Ke Aye Mughirah!
Tumhari Munche'n Badh Gaye'n Kaat Lo. Unho'n Ne Khayaal
Kiya Ke Ghar Jakar Qainchi Se Kaat Dunga. Magar Sarkari
Farmaan Huwa Ke Hamari Miswaak Lo Uspar Badhe Huwe
Baal Rakh Kar Cchuri Se Kaat Do Yaani Itni Bhi Mohlat Naa Di
Ke Ghar Jakar Qainchi Se Kaate'n. Nahi Yaha'n Hi Kaat Do.
Jisse Ma'loom Huwa Ke Badi Munche'n Huzoor Alaihissalam
Ko Naa-Pasand Thi'n. Duniya Me'n Hazaro'n Paighambar
Tashreef Laaye Magar Kisi Nabi Ne Naa Daadhi Mundwayi
Aur Naa Munche'n Rakhaye'n.
Lihaza Daadhi Fitrat Yaani Sunnate Ambiya Alaihimussalam
Hai. Hadeese Paak Me'n Hai, Dhaadiya'n Aur Munche'n Past
Karo Aur Mushrikeen Ki Mukhalifat Karo. Iske Aelawa Bahot
Si Naqli Dalile'n Di Ja Sakti Hain.

Magar Hamare Naye Ta'aleem Yaafta Log Naqli Dala'il Ke


Muqable Aqli Baato'n Ko Zyada Maante Hain. Goya Gulaab Ke

7
Phool Ke Muqable Me'n Gende Ke Phool Unko Zyada Pyare
Hain.

Isliye Aqli Baate'n Bhi Arz Karta Hu'n. Suno! IsLaami Lashkar
Aur Islami Libaas Me'n Itne Faide Hain:

1___ Government Ne Hazaro'n Mahkame Bana Diye Hain.


Railway, Daak_Khana, Police, Fooj Aur Kachehri Waghairah
Aur Har Mahkame Ke Liye Wardi Alehdah Alehdah Muqarrar
Kar Di Ke Agar Laakho'n Aadmiyo'n Me'n Kisi Mahkamah Ka
Aadmi Khada Hoto Saaf Pehchaan Me'n Aajate Hai. Agar Koyi
Sarkari Nokar Apni Duty Ke Waqt Apni Wardi Me'n Na Hoto
Uspar Jurmana Hota Hai, Agar Baar Baar Kehne Par Naa
Maane To Barkhaast Kar Diya Jata Hai.

Isi Tarah Ham Bhi Mahkama-E-IsLaam Aur Saltanat-E-


Mustafawi Aur Hukumate ILaahiyah Ke Nokar Hain Hamare
Liye Alehdah Shakl Muqarrar Kardi Ke Agar Laakho'n
Kaafiro'n Ke Bich Me'n Khade Hon To Pechaan Liye Jaye'n Ke
Mustafa Alaihissalam Ka Ghulam Wo Khada Hai. Agar Hamne
Apni Wardi Cchod Di To Ham Bhi Saza Ke Mustahiq Honge.

2___ Qudrat Ne Insaan Ki Zaahiri Surat Aur Dil Me'n Aisa


Rishta Rakha Hai Ke Har Ek Ka Dusre Par Asar Padta Hai Agar
Aapka Dil Ghamgeen Hai To Chehra Par Udasi Chaa Jati Hai
Aur Dekhne Waala Keh Deta Hai Ke Khair To Hai Chehra Kyu'n
Udaas Hai. Dil Me'n Khushi Hai To Chehra Surkh-O-Suped
Hojata Hai. Ma'loom Huwa Ke Dil Ka Asar Chehra Par Hota

8
Hai. Isi Tarah Agar Kisi Ko Diq Ki Bimari Hai To Hakeem Kehte
Hain Ke Isko Acchi Hawa Me'n Rakho, Acche Aur Saaf Kapde
Pehnao, Usko Falaa'n Dawa Se Ghusl Do.
Kahiye Bimari To Dil Me'n Hai. Ye Zahiri Jism Ka ILaaj Kyun Ho
Raha Hai?
Isliye Ke Agar Zaahir Accha Hoga To Andar Bhi Accha
Hojayega. Tandrust Aadmi Ko Chahiye Ke Rozana Ghusl Kare,
Saaf Kapde Pehne, Saaf Ghar Me'n Rahe, To Tandrust
Rahega. Isi Tarah Ghiza Ka Bhi Asar Dil Par Padta Hai.

Suwwar Khaana Shari'at Ne Isliye Haraam Farma Diya Ke Isse


Be-Ghairati Paida Hoti Hai Kyunke Suwwar Be-Ghairat Janwar
Hai Aur Suwwar Khaane Waali Qaume'n Bhi Be-Ghairat Hoti
Hai. Jiska Tajruba Ho Raha Hai Agar Cheete Ya Sher Ki Charbi
Khayi Jaye To Dil Me'n Sakhti Aur Bar-Bariyat Paida Hoti Hai.
Cheete Aur Sher Ki Khaal Par Bethna Isliye Mana Hai Ke Isse
Ghuroor Paida Hota Hai. Gharz Manna Padega Ke Ghiza Aur
Libaas Ka Asar Dil Par Hota Hai To Agar Kaafiro'n Ki Tarah
Libaas Pehna Gaya Ya Kuffar Jaisi Surat Banayi Gayi To
Yaqinan Dil Me'n Kaafiro'n Se Mohabbat Aur Musalmano'n Se
Nafrat Paida Hojayegi Gharz Ke Ye Bimari Aakhir Me'n Muhlik
Saabit Hogi.

Isliye Hadise Paak Me'n Aaya Hai:


"‫"من تشبه بقوم فهو منهم‬
Jo Kisi Dusri Qaum Se Musha'bahat Paida Kare Wo Un Me'n
Se Hai.

9
3___ Hindustan Me'n Aksar Hindu-O-Muslim Fasaad Hota
Rehta Hai Aur Bahot Jaga Sunne Me'n Aaya Ke Fasaad Ki
Haalat Me'n Ba'z Musalman Musalmano'n Ke Hatho'n Maare
Gaye Kyunke Pehchane Naa Gaye Ke Ye Musalman Hain Ya
Hindu. Chunanche Tisre Saal Jo Bareily Shareef Aur Pili Bheet
Me'n Hindu-O-Muslim Fasaad Huwa Us Jaga Khabre'n Aaye'n
Ke Bahot Se Musalmano'n Ko Khud Musalmano'n Ne Hindu
Samajh Kar Fana Kar Diya. Ye Is Naye Fashion Ki Barkate'n
Hain. Mere Wali-E-Nemat Murshide Barhaq Hazrat Sadrul
Afaazil Maulana Mohammed Na'eemuddeen Sahab Qiblah
Ne Farmaya Ke Ek Dafa Ham Rail Me'n Safar Kar Rahe The Ke
Ek Station Se Ek Sahab Sawar Huwe Jo Ba-Zahir Hindu
Ma'loom Hote The. Gaadi Me'n Jaga Tang Thi Ek Lalaji Se
Unka Jaga Lene Ke Liye Jhagda Hogaya. Lalaji Ke Sath Zyada
The. Isliye Lalaji Ne Un Hazrat Ko Khoob Peeta. Musalman
Musafir Bich Bachao Me'n Zyada Naa Pade Kyunke Samajhte
The Ke Hindu Aapas Me'n Lad Rahe Hain Hamara Zyada Zor
Dena Khilaafe Maslehat Hai Bechare Shaamat Ke Maare Pit
Kut Kar Ek Taraf Khade Hogaye Jab Agle Station Par Utre To
Unhone'n Kaha AssalamuAlaikum! Tab Ma'loom Huwa Ke Ye
Hazrat Musalman Hain. Tab Hamne Afsoos Kiya Aur Unse Arz
Kiya Ke Hazrat Aap Ke Fashion Ne Aapko Us Waqt Pitwaya.

Me'n Jab Kabhi Bazaar Waghairah Me'n Jata Hu'n To Sochta


Hu'n Ke Salam Kise Karu'n Ma'loom Nahi Ke Hindu Kon Hai
Aur Musalman Kon? Bahot Dafa Kisi Ko Kaha
AssalamuAlaikum Unhone'n Farmaya Bandagi Sahab, Ham
Sharmindah Hogaye. Mera Irada Ye Hota Tha Hai Ke Jaha'n
Tak Hosake Musalman Ki Dukaan Se Cheez Kharidu'n Magar

10
Dukandaar Ki Shakal Aisi Hoti Hai Ke Pehchan Nahi Hoti Ke Ye
Kon Hain Agar Dukaan Par Koyi Board Laga Hai Jiske Naam Se
Ma'loom Hogaya Ke Ye Musalman Ki Dukaan Hai To Khair
Warna Bahot Dushwari Hoti Hai. Gharz Ke Musalmano'n Ko
Chahiye Ke Shakl Aur Libaas Me'n Kuffaar Se Alehdah Rahe'n.

4___ Kisi Ko Nahi Ma'loom Ke Uski Maut Kaha'n Hogi. Agar


Ham Pardes Me'n Margaye Jaha'n Hamara Jaan Pehchan
Waala Koyi Naa Hoto Sakht Mushkil Darpesh Hogi. Log
Pareshaan Honge Ke Inko Dafn Kare'n Ya Aag Me'n Jala De'n
Kyunke Surat Se Pehchan Naa Padegi Chunanche Chand Saal
Peshtar Ali Gadh Ke Ek Sahab Ka Rail Me'n Intaqal Hogaya.
Khabar Hone Par Raat Me'n Naa'sh Utaar Li Gayi. Magar Ab
Ye Fikr Huwi Ke Ye Hai Kon? Hindu Ya Musalman. Isko Supurd
Khaak Kare'n Ya Aag Me'n Daale'n. Aakhir Unka Khatnah
Dekha Gaya. Tab Pata Laga Ke Ye Musalman Hain.

Khulasa Ye Hai Ke Kuffaar Jaisi Shakl Aur Unka Libaas Zindagi


Me'n Khatar-Naak Hai Aur Marne Ke Ba'd Bhi.

5___ Zameen Me'n Jab Beej Boya Jata Hai To Awwalan Sidhi
Si Shaakh Hi Nikalti Hai Phir Aakar Har Taraf Phelti Hai Phir Us
Me'n Phal Nikalte Hain Agar Koyi Shakhs Uski Chau Taraf Ki
Shakho'n Aur Patto'n Ko Kaat Daale To Phal Nahi Kha Sakte.
Isi Tarah Kalma Ek Beej Hai, Jo Musalman Ke Dil Me'n Boya
Gaya Hai Phir Surat Aur Hath Paao'n, Aankh, Naak Ki Taraf Us
Darakht Ki Shaakhe'n Chale'n Ke Is Kalma Ne Musalman Ki
Aankh Ko Ghair Surto'n Se Alehdah Kar Diya. Hath Ko Haraam

11
Cheez Ke Cchune Se Rok Diya. Surat Par Eemaani Aasaar
Paida Kar Diye. Kaan Ko Ghibat Sunne Aur Zaban Ko Jhoot
Bolne, Gheebat Karne Se Roka. Jo Shakhs Dil Se Musalman To
Ho Magar Kaafiro'n Jaisi Surat Banaye Apne Hath Paao'n,
Zaban, Aankh, Naak, Kaan Ko Haraam Kaamo'n Se Na Roke,
Wo Usi Shakhs Ki Tarah Hoga Jo Aam Ka Beej Bo De Aur Uski
Tamam Shaakhe'n Waghairah Kaat Daale Jis Tarah Wo
Bewaqoof Phal Se Mehroom Rahega, Isi Tarah Ye Musalmaan
IsLaam Ke Phalo'n Se Mehroom Rahega.

6___ Pakka Rang Wo Hota Hai Jo Kisi Paani Ya Dhobi Se Na


Cchute Aur Kaccha Rang Wo Jo Cchoot Jaye.
To Aye Musalmano! Tum Allah Ke Rang Me'n Range Huwe
Ho.

‫ص ۡبغَة‬ َ ‫اّلل ۚ َو َم ۡن ا َ ۡح‬


ِ ٰ َ‫س ُن ِمن‬
ِ ‫اّلل‬ ِ ٰ َ‫ص ۡبغَة‬
ِ
Ham Ne Allah Ki Raini (Rangayi) Li Aur Allah Se Behtar Kis Ki
Raini(Rangayi)?
[Surah Al-Baqarah:138, Kanzul Eemaan]

Agar Tum Kuffaar Ko Dekh Kar Apne Rang Ko Kho Bethe To


Jaan Lo Ke Tumhara Rang Kaccha Tha. Agar Pakka Hota To
Auro'n Ko Rang Aate.

12
Musalman Ke Uzr

Ham Musalmano'n Ke Wo Uzr Bhi Pesh Kar De'n Jo Ke Wo


Bayan Karte Hain Aur Jisse Apni Majburiyo'n Ka Izhaar Karte
Hain.

1) Khuda Dil Dekhta Hai. Shakl Ko Nahi Dekhta. Dil Saaf


Hona Chahiye. Hadees Shareef Me'n Hai:
‫انِہللاِالِينظرِالیِصورکمِبلِنظرِالیِقلوبکم‬
Ye Uzr Padhe Likhe Musalman Karte Hain.
Jawab Accha Sahab! Agar Zahir Ka Koyi Aetabar Nahi, Dil Ka
Aetabar Hai To Aap Mere Ghar Khaana Khao Ya Sharbat Piyo
Aur Me'n Nihayat Umdah Baadam Ka Sharbat Ya Umda
Biryani Khilao'n Pilao'n Magar Glass Ya Rakabi Me'n Uppar Ki
Taraf Khoob Acchi Gandagi Paleed Laga Du'n. Aap Us Bartan
Me'n Khaloge? Hargiz Nahi. Kyun Janab! Bartan Ka Kya
Aetabar? Uske Andar Ki Cheez To Acchi Hai. Jab Tum Bure
Bartan Me'n Acchi Ghiza Nahi Khaate Peete, To Rab Ta'Aala
Tumhari Buri Surto'n Ke Sath Acche Aamaal Kyunker Qubool
Farmayega.

Agar QurAan Shareef Padho To Lutf Jab Hai


Ke Muh Me'n QurAan Shareef Ho Aur Surat Par Uska Amal
Ho. Agar Tumhare Muh Me'n QurAan Hai Aur Surat QurAan
Shareef Ke Khilaaf To Goya Apne Amal Se Tum Khud Jhute
Ho. Badshah Ke Aane Ke Liye Ghar Aur Ghar Ka Daewazah
Dono'n Saaf Karo Kyunke Badshah Darwaze Se Aayega Aur

13
Ghar Me'n Bethega. Isi Tarah QurAan Shareef Ke Liye Dil Aur
Surat Dono'n Sambhalo. Hadees Ke Maani Ye Hain Ke Allah
Ta'Aala Sirf Tumhari Surto'n Ko Nahi Dekhta Balke Surato'n
Ke Sath Dil Ko Bhi Dekhta Hai. Agar Iska Wo Matlab Hota Jo
Tum Samajhte Hoto Phir Sar Par Chouti, Kaan Me'n Jiniyo Aur
Paao'n Me'n Dhoti Baandh Kar Namaz Padhna Jaaiz Hona
Chahiye Tha. Halanke Fuqaha Farmate Hain Ke Chouti
Rakhna, Zunnar Baandhna Kufr Hai.

2) Islami Shakal Se Hamari Izzat Nahi Hoti Jab Ham Angrezi


Libaas Me'n Hote Hain To Hamari Izzat Hoti Hai Kyunke Wo
Taraqqi Yaaftah Qaum Ka Libaas Hai.
Jawab Aadmi Ki Izzat Libaas Se Nahi Balke Libaas Ki Izzat
Aadmi Se Hai Agar Tumhare Andar Koyi Johar Hai Ya Agar
Tum Izzat Aur Taraqqi Waali Qaum Ke Fard Ho, To Tumhari
Har Tarah Izzat Hogi Koyi Bhi Libaas Pehno.
Agar In Chizo'n Se Khaali Ho, Koyi Libaas Pehno Izzat Nahi
Hogi. Abhi Kuch Din Pehle Gandhi Aur Dusre Saathi Gol Maiz
Conference Me'n Shareek Hone Ke Liye London Gaye. Jab
Khaas Parliament Ke Daftar Pohche To Mister Ghandi Usi
Chauti Aur Usi Langoti Me'n The Jo Unka Apna Qaumi Libaas
Hai. Subhas Chandra Bose Ne Ek Bar London Ka Safar Kiya To
Apni Gaay Aur Apni Dhotiya, Latiya Apne Sath Le Gaye.
Kahiye! Kya Is Libaas Se Unki Izzat Ghat Gayi.

Aaj Musalmano'n Ke Siwa Tamam Qaume'n Sikh Hindu Balke


Kaathiya_Waad Me'n Behre Aur Khuja Hamesha Apne Qaumi

14
Libaas Me'n Rehte Hain. Sikh Ke Muh Par Daadhi, Sar Par
Baal, Hath Me'n Lohe Ka Kada Har Jaga Rehta Hai.

Kyun Sahab! Kya Wo Duniya Me'n Zaleel Hain. Sach Hai Ke Jo


Unki Us Libaas Me'n Izzat Hai. Wo Tumhare Boot Suit Me'n
Nahi.
Dosto! Agar Izzat Chahte Hoto Sacche Musalman Bano Aur
Apni Muslim Qaum Ko Taraqqi Do.

3) Aakhir Daadhi Me'n Faidah Kya Hai? Ke Molwi Iske Itne


Piche Pade Hain.
Jawab Daadhi Aur Tamam Islami Libaas Ki khubiya'n Ham
Bayan Kar Chuke Hain. Ab Bhi Arz Karte Hain Ke IsLam Ke Har
Kaam Me'n Sadha Hikmate'n Hain. Suno! Miswaak Sunnat Hai
Is Me'n Faide Hain. Daanto'n Ko Mazboot Karti Hain,
Aankho'n Ki Roshni Badhati Hai, Zuban Me'n Quwwat Paida
Karti Hai, Daanto'n Ko Saaf Rakhti Hai, Jankani Ko Aasan Karti
Hai, Balgham Ko Kaatti Hai, Pit Door Karti Hai, Sar Ki Rago'n
Ko Mazboot Karti Hai, Maut Ke Waqt Kalma Yaad Dilati Hai.
Gharz Ke Iske Faide 36 Hain. Dekho Shaami Aur Tib Ki
Kitabe'n.

Is Tarah Khatnah Ke 150 Bimariyo'n Ke Liye Faidah Mand Hai.


Baah Ko Qawi Karta Hai, Insan Ki Quwwate Mardi Ko Badhata
Hai, Us Jagah Mail Waghairah Jama Nahi Hone Deta, Aulaad
Qawi Paida Karta Hai, Khatnah Waale Ki Aurat Kisi Taraf
Raghbat Nahi Karti, Ba'z Bimariyo'n Me'n Doctor Hindu'o'n Ke
Baccho'n Ka Bhi Khatanah Kara Dete Hain.

15
Nakhun Me'n Ek Zehrila Maadah Hota Hai Agar Nakhun
Khaane Ya Paani Me'n Dubuye Jaye'n To Wo Khaana Bimari
Paida Karta Hai Isi liye Angrez Waghairah Cchuri Kaante Se
Khana Khaate Hain Kyunke Isa'iyo'n Ke Yaha'n Nakhun Bahot
Kam Katwate Hain Aur purane Zamane Ke Log Wo Paani Nahi
Peete The Jis Me'n Nakhun Doob Jaye'n Magar Islam Ne Iska
Ye Intazaam Farmaya Ke Nakhun Katwane Ka Hukm Diya Aur
Cchuri Kaante Ki Musibat Se Bachaya.

Isi Tarah Muncho'n Ke Baalo'n Me'n Zehrila Maadah Maujood


Hai Agar Munche'n Badi Badi Hon Aur Paani Peete Waqt
Paani Me'n Doob Jaye'n To Paani Sihat Ke Liye Nuqsan_Dah
Hoga. Isliye Ab Maujudah Fashion Ke Log Munche'n
Mundwane Lage. Iska IsLaam Ne Ye Intazam Farmaya Ke
Munche'n Kaatne Ka Hukm De Diya Kyunke Munche'n
Mundane Se Naamardi Paida Hoti Hai.

Daadhi Ke Bhi Bahot Faide Hain. Sab Se Pehla Faidah To Ye


Hai Daadhi Mard Ke Chehre Ki Zeenat Hai Aur Muh Ka Noor
Jaise Aurat Ke Liye Sar Ke Baal Ya Insan Ke Liye Aankho'n Ke
Palak Aur Bhawe'n Zeenat Hain, Isi Tarah Mard Ke Liye
Daadhi.
Agar Aurat Apne Sar Ke Baal Munda De To Buri Ma'loom Hogi
Ya Koyi Aadmi Apni Bhawe'n Aur Palke'n Saaf Kara De Wo
Bura Ma'aloom Hoga. Isi Tarah Mard Daadhi Mundane Se
Bura Ma'loom Hota Hai. Dusra Faidah Ye Hai Ke Daadhi Mard
Ko Bahot Se Gunaho'n Se Rokti Hai Kyunke Daadhi Se Mard

16
Par Buzrugi Aajati Hi Usko Bure Kaam Karte Huwe Ye Ghairat
Hoti Hai Ke Agar Koyi Dekh Lega To Kahega Ke Aisi Daadhi
Aur Tere Aise Kaam, Daadhi Ki Bhi Tujhko Laaj Na Aayi. Is
Khayal Se Wo Bahot Si Cchicchori Baate'n Aur Khullam Khulla
Bure Kaam Se Bacha Jata Hai.
Ye Aazma'ish Hai Ke Namaz Aur Daadhi Bi-Fadlihi Ta'Aala
Buraiyo'n Se Rokti Hai. Tisre Ye Ke Daadhi Ke Baalo'n Se
Quwwate Mardi Badhti Hai. Ek Hakeem Sahab Ke Paas Ek
Naa-Mard Aaya Jisne Shikayat Ki Ke Me'n Apni Kamzori Ka
Bahot ILaaj Kiya Kuch Faidah Naa Huwa. Unhone'n Farmaya
Ke Daadhi Rakh Le Ye Iska Aakhir Aur Tire Behdaf Nuskha Hai.
Phir Farmane Lage Ke Qudrat Ne Insan Ke Ba'z Azu'o'n Ka Ba'z
Se Rishta Rakha Hai Uppar Ke Daant Aur Daadho'n Ka
Aankho'n Se Ta'alluq Hai Ke Agar Aankho'n Me'n Garmi Hoto
Talwo'n Ki Maalish Ki Jati Hai. Agar Nind Na Aaye To Paao'n
Ke Talwo'n Me'n Ghee Ki Maalish Nind Laati Hai. Isi Tarah
Daadhi Ka Ta'alluq Khaas Mard Ki Quwwato'n Aur Mani Se
Hai Isi Wajah Se Aurat Ko Daadhi Nahi Hoti Aur Naa-Baligh
Baccha Jis Me'n Mani Ka Maadah Nahi Hota Aur Hijda(Naa-
Mard) Yaani Zanana Ke Daadhi Nahi Hoti Balke Agar Kisi Mard
Ke Daadhi Ho Aur Uske Faute Nikaal Diye Jaye To Daadhi
Khud Ba-Khud Jhad Jayegi Jisse Ma'aloom Hota Hai Ke Aam
Logo'n Me'n Mash'hoor Hai Ke Molwiyo'n Ke Aulaad Zyada
Hote Hai Aur Molwi Ki Biwi Aawara Nahi Hoti. Iski Wajah
Daadhi Hi Hai Aur Naaf Ke Niche Ke Baal Quwwate Mardi Ke
Liye Nuqsaan Dah Hain Isi Liye Shari'at Ne Unke Saaf Karne Ka
Hukm Diya Hai. Gharz Ke Sunnat Ke Har Kaam Me'n
Hikmate'n Hain.

17
4) Aaj Dunya Me'n Har Jagah Daadhi Mundo'n Ki Hi
Badshahat Hai. Maal, Daulat, Hukumat Unki Hai Jisse
Ma'loom Hota Hai Ke Ye Barkat Wali Cheez Hai (Musalman
Ye Mazaaq Me'n Kehte Hain).
Jawab Agar Daadhi Mundane Se Badshahat Mil Jati Hai
Hukumat Daulat Izzat Hath Aati Hai To Janabe Waala! Aapko
Daadhi Mundate, Hat Lagate, Coat Patloon Pahente Huwe
Arsa Guzar Gaya. Aapko To Hukumat Kya Koyi Cheez Bhi Nahi
Mili, Phir Tamam Bhangi, Chamaad, Chohde Aur Har Qaum
Ye Kaam Karti Hai, Wo Kyun Badshah Nahi Ban Gayi? Dosto!
Izzat, Hukumat, Daulat Tumko Jo Bhi Milega Wo Huzoor ‫ﷺ‬Ki
Ghulami Se Milega.

‫وانتم االعلون ان کنتم مومنين‬


Aaj Ghairo'n Ko Isliye Tumhara Haakim Kar Diya Gaya Ke Tum
Me'n Hukumat Ki Ahliyat Naa Rahi, Warna Ye Tamam Izzate'n
Tumhare Hi Liye Thi'n. Yaad Rakho Ke Saari Qaume'n Aage
Badh Kar Taraqqi Karengi Magar Tum.........
13500 Baras Peeche Hut Kar Sultan Aurang Zeb Shahjaan
Waghairah Isi Tarah Arab Ajam Ke Taqriban Islami Badshah
Daadhi Waale Hi Guzre.

Latifah:
Ek Musalman Ham Se Kehne Laga Ke IsLam Ne Hamko
Taraqqi Se Roka. Me'n Ne Kaha, Wo Kaise? Farmane Lage Ke
Isne Sood To Haram Kar Diya Aur Zakaat Farz Kar Di. Phir Ye
Shear Padha,

18
Kyunker Ho In Usulo'n Me'n Iflaas Se Najaat
Yaa'n Sood To Haram Hai Aur Farz Hai Zakaat!

Aaj Dusri Qaume'n Sood Ki Wajah Se Taraqqi Kar Rahi Hain.


Agar Ham Bhi Sood Ka Lain Dain Kare'n To Ham Bhi Taraqqi
Kar Sakte Hain. Ham Ne Arz Kiya Ke Aaj Dunya Me'n Jo Bhi
Musibate Hai Wo Sood Hi Ki Waja Se Hai Bade Bade
Bewpariya'n Ka Ek Dam Jo Diwaliyah Hojata Hai Wo Ya To
Satte (Juye) Ki Waja Se Ya Handi Ke Lain Dain (Sood Karobar)
Se. Agar Aadmi Apni Ponji Ke Mutabiq Kaam Kare Aur
Mehnat, Mushaqqat Aur Diyanat_Daari Se Tijarat Kare To
Uski Tijarat Thoos Aur In Shaa Allah Laazawaal Hogi Aur
Zakaat Ki Waja Se Saari Qaum Ki Maali Haalat Acchi Rahegi.
Ba-Shart Ye Ke Zakaat Ko Saheeh Maani Me'n Kharch Kiya
Jaye.

Zakaat Nikalne Se Apna Maal Mahfooz Hojata Hai Jaise


Government Ka Haq Ada Karne Se Maal Mahfooz Hota Hai
Zakaati Maal Barbad Nahi Hota Balke Badhta Hai. Angoor Aur
Ber Ke Darakht Ki Shaakhe'n Kaatne Se Zyada Phal Aata Hai Isi
Tarah Zakaat Dene Se Maal Zyada Hota Hai. Qudrat Ne Har
Cheez Se Zakaat Li Hai. Aapke Jism Par Bimariya'n Aati Hai Ye
Tandrusti Ki Zakaat Hai. Nakhun Aur Baal Katwaye Jate Hain
Ye Azu Ki Zakaat. To Chahiye Ke Maal Ki Bhi Zakaat Ho.

Musalmano'n Ke Zawaal Ki Wajah Se Unki Bekari, Tijarat Se


Nafrat Aur Aawargi Hai Aur Ye To Tajrubah Hai Ke Musalman
Ke Liye Sood Phalta Nahi Aakhir Kaar Tabahi Laata Hai.

19
Dusri Qaum Sood Se Badh Sakti Hai Magar Musalman In Shaa
Allah Sood Lene Se Na Badhega Balke Zakaat Dene Se.

Paaikhana Ka Keeda Paaikhana Kha Kar Zindagi Guzarta Hai


Magar Bulbul Ki Ghiza Phool Hai.

Musalmano! Tum Bulbul Ho Phool Yaani Halaal Kamayi Haasil


Karke Khao. Haram Par Naa Lalchao. Halaal Me'n Barkat Hai,
Haram Me'n Be-Barkati. Dekho Ek Bakri Saal Me'n Ek Ya Do
Bacche Hi Deti Hai Aur Hazaarha Bakriya'n Har Rooz Zabah
Hojati Hain Aur Kuttiya Saal Me'n Cheh(6) Saat(7) Bacche Deti
Hai Aur Koyi Kutta Zabah Nahi Hota Magar Phir Bhi Bakriyo'n
Ke Jahund Ke Jahund Aur Rewad Dekhne Me'n Aate Hain Aur
Kutto'n Ka Rewad Aaj Tak Nazar Na Pada Kyun? Isliye Ke Bakri
Halaal Hai Aur Kutta Haram, Lihaza Bakri Barkat Hai.

5) Daadhi Moonch, Kapda Hamari Chize'n Hain. Jis Tarah


Chahe'n Istamal Kare'n Molwi Log Uspar Kyun Pabandiya'n
Lagate Hain Ghar Ki Kheti Hai Jis Waqt Chaho Aur Jis Tarah
Chaho Kaato Aur Istamal Karo.
Jawab Ye Ghalat Khayal Hai Ke Ye Chize'n Hamari Apni Hain.
Nahi Har Cheez Rab Ta'Aala Ki Hai. Hamko Chand Roza
Istamal Ke Liye Di Gayi Hai Phir Cheez Maalik Ki Hi Hogi.

Kisi Ne Kisi Se Charkha Maanga To Jo Soot Kaat Liya Wo Apna


Aur Phir Charkha Charkhe Waale Ka. Aamaal Soot Hain Aur Ye
Jism Charkha.

20
Kaar_Khaane Se Kisi Ko Ek Machine Mili. Magar Wo Aadmi Is
Machine Ke Kul Purzo'n Ko Chalane Se Be-Khabar Hai To
Machine Ke Sath Ek Kitaab Bhi Milti Hai Jis Me'n Har Purze Ke
Istamal Ka Tariqa Likha Hota Hai Aur Company Ki Taraf Se
Kuch Aadmi Bhi Machine Sikhane Waale Muqarrar Hote Hain
Ke Be-ILm Log Is Kitaab Ko Dekhe'n Aur Is Ustaad Se Machine
Chalna Sikhe'n. Agar Yu'n Hi Koyi Ghalat Salat Machine
Chalana Shuru Karde To Bahot Jald Machine Tod Dalega Aur
Mumkin Hai Ke Machine Se Khud Bhi Chot Kha Jaye. Isi Tarah
Hamara Jism Machine Hai Hath Paao'n Waghairah Uske Purze
Hain.
Ye Machine Hamko Qudrat Ke Kaar_Khane Se Mili Hai. Iska
Istamal Sikhane Ke Liye Kaar_Khaana Ke Maalik Ne Ek Kitaab
Banayi, Jis Ka Naam QurAan Majeed Aur Is Machine Ka Kaam
Sikhane Ke Liye Ek Ustado'n Ka Ustaad Dunya Bhar Ka
MuAllim Bheja Jiska Naame Paak Hai *ohammadur
RasoolAllah .‫ﷺ‬Is Ustadul Kul Ne Hamko Machine Chala Kar
Dikha Di
Aur QurAane Majeed Ne Pukar Diya Ke

َ ‫اّلل اُ ۡس َوة َح‬


‫سنَة‬ ُ ‫لَقَ ۡد َكانَ لَ ُك ۡم ِف ۡى َر‬
ِ ٰ ‫س ۡو ِل‬
Beshak Tumhe'n RasoolAllah Ki Perwi Behtar Hai.
[Surah Al-Ahzab:21]

Aye Ghafilo! Aye Machine Waalo'n Agar Machine Saheeh


Tariqa Se Chalana Chahte Ho To RasoolAllah ‫ﷺ‬Ke Tariqe Par
Chalao. Jaise Jism Par Jaan Hukumat Karti Hai Ke Har Azu Uski

21
Marzi Se Harkat Karta Hai Is Tarah Is Jaan Par Is Sultaane
Konain ‫ﷺ‬Ko Haakim Banao Ke Jo Harkat Ho Un Hi Ki Raza Se
Ho, Isi Ka Naam Taswwuf Hai Aur Yahi Haqiqat, Ma'rifat Aur
Tariqat Ka Maghz Hai. Hazrat Sadrul Afazil Ne Khoob
Farmaya:

Khol Do Sinah Mera Fateh Makka Aakar


Ka'aba-E-Dil Se Sanam Kheench Ke Kardo Bahar

Aap Aajaiye Qaalib Me'n Mere Jaan Ban Kar


Salatanat Kijiye Is Jism Me'n Sultaan Banakar

IsLaami Shakal:
Islami Shakal Ye Hai Ke Sar Ke Baal Ya To Sab Rakhaiye Ya Sab
Katwa De Ya Sab Mundaye Kuch Baal Rakhna Kuch Katwana
Mana Hain Jaise Ke Angrezi Baal Me'n Hota Hai. Aise Hi Kuch
Baal Rakhna Aur Kuch Mundana Mana Hai Jaise Ke Ba'z Log
Bich Sar Par Paan Rakhwate Hain Ya Ba'z Log Sar Ke Agle
Hisse Par Chaje Rakhwate Hain Ya Ba'z Jaahil Musalman Kisi
Buzrug Ke Naam Ki Baccho'n Ke Saro'n Par Hindu'o'n Ki Tarah
Choti Rakhte Hain Ye Sab Mana Hai Aur Jiske Kul Baal Rakhe
Hon Wo Ya To Kaan Ki Lau Tak Ya Kandho'n Tak Rakhe Yaani
Taa-Bagosh Ya Taa-Badosh Ke Ye Sunnat Hai Aur Zyada
Lambe Baal Rakhna Aur Us Me'n Choti, Maang Aurato'n Ki
Tarah Karna Manaa Hai.

22
Moonch Is Qadar Kaatna Zaruri Hai Ke Uppar Ke Hont Ki Dori
Khul Jaye Bilkul Na Katwana Ya Bilkul Munda Dena Mana Hai
Aur Daadhi Ek Mutthi Rakhna Zaruri Hai Yaani Thodi Ke Niche
Jo Baal Hain Unko Apni Mutthi Me'n Pakde Jo Mutthi Se Aage
Nikle Hon Wo Katwa De Yaani Mutthi Se Kam Karna Bhi Mana
Aur Mutthi Se Zyada Lambi Rakhna Bhi Manaa Hai.

Ab Rahi Aas Paas Ki Daadhi Yaani Jabdo'n Par Ke Baal Wo Jis


Qadar Gol Daaire Me'n Aajaye'n Wo Naa Katwaye Aur Jo
Daaire Se Nikal Jaye'n Wo Katwa De Yaani Jabke Thodi Ke
Niche Ke Baal Ek Mutthi Hon Aur Uske Daaire Me'n Jis Qadar
Baal Aajaye'n Uska Katwana Bhi Manaa Hai.

Naak Ke Baal Katwana Aur Baghal Ke Baal Ukhedna Sunnat


Hai Agar Baghal Ke Baal Bhi Ustare Se Monde Jaye'n To Bhi
Harj Nahi. Naaf Ke Niche Ke Baal Mondna Sunnat Hai. Qaichi
Se Kaatna Nahusat Ka Sabab Hai. Hatho'n Paao'n Ke Nakhun
Katwana Bhi Sunnat Hai. Behtar Ye Hai Ke Saare Kaam Har
Hafta Me'n Ek Bar Zaroor Kare Agar Har Hafta Naa Kar Sake
To 40 Din Se Zyada Der Naa Lagaye. Mard Ko Apne Hath
Paao'n Me'n Mahendi Lagana Zeenat Ke Liye Manaa Hai.

IsLaami Libaas:
Islami Libaas Ye Hai Ke Mard Ko Naaf Se Ghutne Tak Ka Jism
Dhakna Farz Hai. Agar Namaz Me'n Khula Raha To Namaz
Naa Hogi Aur Namaz Ke Siwa Bhi Agarche Akele Me'n Hi
Bilawaja Khole To Gunahgar Hoga. Iske Siwa Baaqi Libaas
Me'n Behtar Ye Hai Ke Pagdi Sar Par Baandhe Aur Puri

23
Aasteen Ko Qamees Ya Kurta Pehne Aur Tukhno'n Se Uncha
Tehband Ya Pajama Pehne. In Kapdo'n Ke Siwa chicken
waistcoat Jo Kuch Bhi Pehne Wo Kafiro'n Ke Libaas Ki Tarah
Naa Ho Pagdi Ke Niche Topi Hona Chahiye Aur Agar Topi Naa
Hoto Bhi Sar Ki Khopdi Dhakle. Agar Khopdi Khuli Rahi Aur
Aas Paas Pagdi Lapeti Rahi To Sakht Bura Hai Aur Agar Faqat
Topi Audhe To Aisi Topi Se Bache Jo Kuffar Ya Faasiqo'n Ki
Khaas Topi Hai Jaise Gandhi Cap, Hat, Hinduwani Gol Topi.

Ek Qaa'idah Yaad Rakho Wo Ye Ke Jo Libaas Kafiro'n Ki Qaumi


Nishani Ho Uska Istamaal Musalmano'n Ko Haraam Hai. Jaise
Hat Aur Hinduwani Dhoti Waghairah. Aur Jo Libaas Ke
Kafiro'n Ki Mazhabi Pehchan Ban Chuka Hai Uska Istamaal
Kufr Hai Jaise Ke Hinduwani Choti Aur Zunnar Aur Isayi Qaum
Ka Salebi Nishan Waghairah Yaani Jis Libaas Ko Dekh Kar Log
Jane'n Ke Ye Hindu Ya Isayi Ka Libaas Hai Is Libaas Se
Musalmano'n Ko Bachna Zaruri Hai.

24
Dusri Fasl
Aurato'n Ka Pardah

Aurato'n Ke Liye Pardah Bahot Zaruri Cheez Hai Aur


Be_Pardagi Bahot Hi Nuqsaan Dah.

Aye Muslim Qaum! Agar Tu Apni Deeni Aur Dunyawi Taraqqi


Chahti Hai To Aurato'n Ko Islami Hukm Ke Mutabiq Parde
Me'n Rakho. Ham Iske Muta'alliq Ek Mukhtasar Si Guftagu
Karke Parde Ke Aqli Aur Naqli Dala'il Aur Be_Pardah Ke
Nuqsan Bayan Karte Hain.

Qudrat Ne Apni Makhlooq Ko Alehdah Alehdah Kaamo'n Ke


Liye Banaya Hai Aur Jis Kaam Ke Liye Banaya Hai Uske
Mutabiq Uska Mizaaj Banaya. Har Cheez Se Qudrati Kaam
Lena Chahiye Jo Khilafe Fitrat Kaam Lega Wo Kharabi Me'n
Padega. Iski Senkdo'n Misale'n Hain. Topi Sar Par Rakhne Aur
Juta Paao'n Me'n Pahenne Ke Liye Hai Jo Juta Sar_Par
Baandhe Aur Topi Paao'n Me'n Laga Le Wo Diwana Hai. Glass
Paani Peene Aur Guldaan Thukne Ke Liye Hai, Jo Koyi Guldaan
Me'n Paani Piye Aur Glass Me'n Thuke Wo Pura Pagal Hai. Bel
Ki Jaga Ghoda Aur Ghoda Ki Jaga Bel Kaam Nahi De Sakta. Isi
Tarah Insan Ke Do Giroh Kiye Gaye Hain. Ek Aurat Dusri Mard.
Aurat Ko Ghar Me'n Reh Kar Andruni Zindagi Sambhalne Ke
Liye Banaya Gaya Hai Aur Mard Ko Bahar Phir Kar Khane Aur
Bahar Ki Zaruriyat Ko Pura Karne Ke Liye Banaya.

25
Misl Mash'hoor Hai Ke 50 Aurato'n Ki Kamayi Me'n Wo
Barkat Nahi Jo Ek Mard Ki Kamayi Me'n Hai Aur 50 Mardo'n
Se Ghar Me'n Ronaq Nahi Jo Ek Aurat Se Hai Isi Liye Shauhar
Ke Zimmah Biwi Ka Saara Kharch Rakha Hai Aur Biwi Ke
Zimmah Shauhar Ka Kharcha Nahi, Kyunke Aurat Kamane Ke
Liye Bani Hi Nahi. Isliye Aurato'n Ko Wo Chize'n De'n Jisse
Usko Majburan Ghar Me'n Bethna Pade Aur Mardo'n Ko Isse
Aazad Rakha. Jaise Bacche Janna, Haiz-O-Nifaas Aana,
Baccho'n Ko Doodh Pilana Waghairah. Isliye Bachpan Se Hi
Ladko'n Ko Bhaag Daur, Uchal Kood Ke Khel Pasand Hain.
Jaise Kabadi, Kasrat, Danda Lagana Waghairah Aur Ladkiyo'n
Ko Qudrati Taur Par Wo Khel Pasand Hain Jin Me'n Bhaagna
Daurna Naa Ho Balke Ek Jaga Betha Rehna Pade Jaise Gudiya
Se Khel, Seena Parona, Choti Choti Rotiya Pakana.

Aapne Kisi Choti Bacchi Ko Kabadi Khelte, Danda Lagate Naa


Dekha Hoga. Isse Ma'aloom Hota Hai Ke Qudrat Ne Ladko'n
Ko Bahar Ke Liye Aur Ladkiyo'n Ko Ghar Ke Andar Ke Liye
Paida Kiya Hai. Ab Jo Shakhs Aurato'n Ko Bahar Nikaale Ya
Mardo'n Ko Andar Rehne Ka Mashwarah De Wo Aisa Hi
Diwana Hai Jaisa Jo Topi Paao'n Me'n Aur Juta Sar_Par
Rakhe.Jab Aapne Itna Samajh Liya Ke Mard Aur Aurat Ek Hi
Kaam Ke Liye Naa Bane Balke Alehdah Alehdah Kaamo'n Ke
Liye To Ab Jo Koyi In Dono'n Fariqo'n Ko Ek Kaam Supurd
Karna Chahe Wo Qudrat Ka Muqabla Karta Hai. Isko Kabhi Bhi
Kamiyabi Naa Hogi.
Goya Yu'n Samajho Ke Aurat Aur Mard Zindagi Ki Gaadi Ke Do
Pahiyye Hain Andruni Aur Gharelu Dono'n Ek Aurat Aur Mard
Bahar Ke Liye Agar Aapne Aurat Aur Mard Dono'n Ko Bahar

26
Nikaal Diya To Goya Aapne Zindagi Ki Gaadi Ka Ek Pahiyya
Nikaal Diya To Yaqinan Gaadi Naa Chal Sakegi.

Ab Ham Aqli Aur Naqli Dala'il Pardah Ke Muta'alliq Arz Karte


Hain.

Naqli Dala'il:
1___ Sab Musalman Jante Hain Ke Nabi Kareem ‫ﷺ‬Ki Biwiya'n
Musalmano'n Ki Maaye'n Hain, Aisi Maaye'n Ke Tamam
Jahaan Ki Maaye'n Unke Qadam-E-Paak Par Qurban. Agar Wo
Biwiya'n Musalmano'n Se Pardah Naa Karti'n To Zahiran Koyi
Harj Nahi Ma'loom Hota Tha Kyunke Aulaad Se Pardah Kaisa
Magar QurAane Kareem Ne Un Paak Biwiyo'n Se Khitab Karke
Farmaya:

‫ـر ۡجنَ تَبَ ُّر َج ۡال َجا ِه ِليَّ ِة ۡاالُ ۡولى‬


َّ َ‫َوقَ ۡرنَ فِ ۡى بُيُ ۡوتِ ُك َّن َو َال تَب‬
[Surah Al-Ahzaab:33]

Yaani Aye Nabi Ki Biwiyo! Tum Apne Gharo'n Me'n Thehri


Raha Karo, Aur Be-Pardah Naa Raho Jaise Agli Jahiliyat Ki Be-
Pardagi. Is Me'n To Un Biwiyo'n Se Kalaam Tha.

Ab Musalmano'n Se Hukm Ho Raha Hai:


ؕ‫سا َ ۡلت ُ ُم ۡوه َُّن َمت َاعا فَ ۡسـَٔـــلُ ۡوه َُّن ِم ۡن َّو َرآٰ ِء ِح َجاب‬
َ ‫َواِذَا‬
[Surah Al-Ahzaab:53]

27
Yaani Aye Musalmano! Jab Tum Nabi Ki Biwiyo'n Se Koyi
Istamal Ki Cheez Mango To Parde Ke Bahar Se Mango.

Dekho Biwiyo'n Ko Udhar Gharo'n Me'n Rok Diya Aur


Musalmano'n Ko Bahar Se Koyi Cheez Mangne Ka Ye Tariqah
Sikhaya.

2__ Mishkaat Baab-un-Nazar ILal_Makhtuba Me'n Hai Ke Ek


Din RasoolAllah ‫ﷺ‬Apni Do Biwiyo'n Hazrat Umme Salmah
Aur Maimunah RadiyAllahu Ta'Aala Anhuma Ke Paas Tashreef
Farma The Ke Achanak Hazrat Abdullah Ibne Maktoom
RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Jo Ke Naabina The Aagaye. Huzoor
‫ﷺ‬Ne Un Dono'n Biwiyo'n Se Farmaya Ke
‫ احتجبامنه‬Unse Pardah Karo. Unhone'n Arz Kiya
Ya RasoolAllah ! ‫ ﷺ‬Ye To Naabina Hain, Huzoor ‫ﷺ‬Ne
Farmaya Tum To Naabina Nahi Ho.

Isse Ma'aloom Huwa Ke Sirf Ye Hi Zaruri Nahi Ke Mard Aurat


Ko Naa Dekhe Balke Ye Bhi Zaruri Hai Ke Ajnabi Aurat Ghair
Mard Ko Naa Dekhe. Dekho Yaha'n Naabina Hain Magar
Pardah Ka Hukm Diya Gaya.

3___ Ek Ladayi Me'n Huzoor Anwar ‫ﷺ‬Tashreef Le Ja Rahe


Hain. Aage Aage Hazrat Aanjashah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu
Kuch Geet Gaate Huwe Ja Rahe Hain. Lashkar Ke Sath Kuch
Baa-Pardah Aurate'n Bhi Hain. Hazrat Aanjashah Bahot Khush
Aawaz The.

28
Huzoor ‫ﷺ‬Ne Irshad Farmaya Aye Aanjashah! Apna Geet
Band Karo Kyunke Mere Sath Kacchi Shishiya'n Hain.
(Mishkaat Baab-ul-Bayan Wash'shar)
Is Me'n Aurato'n Ke Dilo'n Ko Kacchi Shishiya'n Farmaya. Jisse
Ma'aloom Huwa Ke Pardah Me'n Reh Kar Bhi Aurat Mard Ka
Aur Mard Aurat Ka Gaana Naa Sune'n.

4__Huzoor ‫ﷺ‬Ke Zamanah Me'n Aurato'n Ko Bhi Hukm Tha


Ke Namaze Eid Aur Dusri Namazo'n Me'n Haazir Huwa Kare'n
Isi Tarah Wa'z Ke Jalso'n Me'n Shirkat Kiya Kare'n Kyunke
Islam Bilkul Naya Naya Dunya Me'n Aaya Tha. Agar Huzoor Ke
Wa'az Aurate'n Naa Sunte'n To Shari'at Ke Hukm Apne Liye
Kaise Ma'loom Karte'n Magar Phir Bhi Unke Nikalne Me'n
Pabandiya'n Laga Di Gayi Thi'n Ke Khushbu Laga Kar Naa
Nikle'n, Beech Raasta Kisi Ghair Se Baat Naa Kare'n, Fajar Ki
Namaz Is Qadar Andhere Me'n Padhi Jati Thi Ke Aurate'n
Padh Kar Nikal Jaye'n Aur Koyi Pehchan Naa Sake. Aurate'n
Mardo'n Se Bikul Piche Khadi Hoti Thi'n.

Lekin Hazrat Umar RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Apne


Khilafat Ke Zamanah Me'n Inko Masjido'n Me'n Aane Aur
Eid_Gah Jaane Se Bhi Rok Diya.
Aurato'n Ne Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta'Aala
Anha Se Shikayat Ki Ke Hamko Hazrat Umar RadiyAllahu
Ta'Aala Anhu Ne Nek Kaamo'n Se Rok Diya.
Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ne Farmaya Ke Agar
Huzoor Alaihissalam Bhi Is Zamanah Ko Dekhte To Aurato'n
Ko Masjido'n Se Rok Dete. Dekho Shaami Waghairah. Un

29
Ahadees Me'n Ghaur Karo Ke Wo Zamanah Nihayat Khair-O-
Barkat Ka, Ye Zamanah Shar-O-Fasaad Ka. Us Waqt Aam
Mard Parhezgaar, Ab Nihayat Aazad Aur Fussaaq-O-Fujjar. Us
Waqt Aam Aurate'n Paak Daaman,Haya Waali Aur Sharmili,
Ab Aurate'n Be-Ghairat, Aazad Aur Be-Sharm. Jab Aam
Aurate'n Be-Ghairat, Aazad Aur Be-Sharm. Jab Is Waqt
Aurato'n Se Pardah Karaya Gaya To Kya Ye Waqt Us Waqt Se
Accha Hai? Ham Ne Mukhtasar Tariqah Se QurAan-O-Hadees
Ki Roshni Me'n Pardah Ki Zaruriyat Bayan Ki.

5___ Ab Fiqh Ki Bhi Sair Karte Chaliye. Fuqaha Farmate Hain


Ke Aurat Ke Sar Se Nikle Huwe Baal Aur Paao'n Ke Kate Huwe
Nakhun Bhi Ghair Mard Naa Dekhe.
(Shaami, Baab Al-Satar)
Aurat Par JumuAh Ki Namaz Farz Nahi. Eid, Baqra_Eid Ki
Namaz Wajib Nahi, Kyun? Isliye Ke Ye Namaze'n Jama'at Se
Masjido'n Me'n Hi Hoti Hain Aur Aurato'n Ko Bila Zarurat
Shara'ee Ghar Se Nikalne Ki Ijazat Nahi. Aurat Par Hajj Ke Liye
Safar Karna Us Waqt Farz Nahi Jab Tak Ke Uske Sath Apna
Mahram Naa Ho Yaani Baap, Beta Ya Shauhar Waghairah.
Aurat Ka Muh Ghair Mard Naa Dekhe.

Hazrat FatimatuzZahra RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ne Wasiyat


Farmayi Thi Ke Mujhe Raat Me'n Dafan Kiya Jaye, Kyun? Isliye
Ke Agar Din Me'n Dafan Kiya Gaya To Kam As Kam Dafan
Karne Waalo'n Ko Mere Jism Ka Andazah Hojayega Ye Bhi
Manzoor Nahi. Gharz Ke Pardah Ki Wajah Se Shari'at Ne
Bahot Se Hukm Aurato'n Se Utha Liye.

30
Ghaur To Karo Ke Jab Aurato'n Ko Masjid Me'n Jaane Ki Ijazat
Nahi, Qabrastan Jaane Ki Ijazat Nahi, Eid_Gaah Me'n Jaakar
Eid Padhne Ki Ijazat Nahi To Bazaro'n Collego'n Aur Company
Baagho'n Me'n Sair Ke Liye Jaane Ki Ijazat Kyunker Hogi. Kya
Bazar College Aur Company Baagh Masjido'n Aur Makka
Shareef Se Badh Kar Hain?

Note Zaruri:
Jin Ahadees Me'n Aurato'n Ko Bahar Nikalna Aata Hai Wo Ya
To Pardah Farz Hone Se Pehle Tha Ya Kisi Zarurat Ki Wajah Se
Pardah Ke Sath Tha. Un Ahadees Ko Baghair Soche Samjhe
Bojhe Be-Pardagi Ke Liye Aad Banana Mahez NaaDaani Hai.
Isi Tarah Us Zamanah Me'n Aurato'n Ka Jihado'n Me'n Shirkat
Karna Is Wajah Se Tha Ke Us Waqt Mardo'n Ki Ta'daad Thodi
Thi. Ab Bhi Agar Kisi Jagah Musalman Mard Thode Hon Aur
Kuffar Zyada Aur Jihaad Farz Ain Hojaye To Aurate'n Jihaad
Me'n Zaroor Jaye'n. Un Jihado'n Ko Is Zamanah Ki Be-Hayayi
Aad Naa Bana'o. Ab Jihaad Ke Bahana Se Aurato'n Ko
Mardo'n Ke Saamne Nanga Period Karaya Jata Hai. Ba'z Dafa
Mujahideen Ne Zaruratan Ghode Ke Peshab Piye, Darakhto'n
Ke Patte Khaye, Kya Ab Bila Zarurat Ye Kaam Karaye Jayenge.
Allah Wo Waqt Naa Laaye Jab Jihaad Me'n Aurato'n Ki
Zarurat Pade Yaha'n Tak To Naqli Dala'il Se Ham Ne Pardah Ki
Zarurat Saabit Kardi. Ab Aqli Dalile'n Bhi Suniye.

31
Aqli Dala'il:
1___ Aurat Ghar Ki Daulat Hai Aur Daulat Chupa Kar Ghar
Me'n Rakha Jata Hai Har Ek Ko Dikhane Se Khatrah Hai Ke
Chori Karle. Isi Tarah Aurat Ko Chupana Aur Ghairo'n Ko Naa
Dikhana Zaruri Hai.

2___ Aurat Ghar Me'n Aisi Hai Jaise Chaman Me'n Phool Aur
Phool Chaman Me'n Hi Hara Bhara Rehta Hai Agar Tod Kar
Bahar Laya Gaya To Murjha Jayega. Isi Tarah Aurat Ka
Chaman Uska Ghar Aur Uske Baal Bacche Hain Usko Bila Waja
Bahar Naa Laao Warna Murjha Jayegi.

3___ Aurat Ka Dil Nihayat Nazuk Hai, Bahot Jald Har Tarah Ka
Asar Qubool Kar Leta Hai Isliye Isko Kacchi Shishiya'n Farmaya
Gaya. Hamare Yaha'n Bhi Aurat Ko Sinf Nazuk Kehte Hain Aur
Nazuk Chizo'n Ko Pattharo'n Se Door Rakhte Hain Ke Toot
Naa Jaye'n Ghairo'n Ki Nigaahe'n Is Ke Liye Mazboot Patthar
Hai Isliye Usko Ghairo'n Se Bachao.

4___ Aurat Apne Shauhar Aur Apne Baap Dada Balke Saare
Khandan Ki Izzat Aur Aabru Hai Uski Misaal Sufaid Kapde Ki Si
Hai Sufaid Pade Par Ma'muli Saa Daagh Dhabba Door Se
Chamakta Hai Aur Ghairo'n Ki Nigaahe'n Uske Liye Ek Bad-
Numa Daagh Hai. Isliye Usko In Dhabbo'n Se Door Rakho.

32
5___ Aurat Ki Sabse Badi Ta'areef Ye Hai Ke Uski Nigah Apne
Shauhar Ke Siwa Kisi Par Naa Ho. Isliye QurAan Kareem Ne
Huro'n Ki Ta'areef Me'n Farmaya. ‫قصرت الطرف‬
Agar Uski Nigah Me'n Chand Mard Aagaye To Yun Samjho Ke
Aurat Apne Johar Kho Chuki Phir Uska Dil Apne Ghar Baar
Me'n Naa Lagega Jisse Ye Ghar Aakhir Tabah Ho Jayega.

Aetrazaat: Ba'z Log Parde Ke Mas'alah Par Do Aetraaz Karte


Hain. Awwal Ye Ke Aurato'n Ka Gharo'n Me'n Qaid Rakhna
Unpar Zulm Hai Jab Ham Bahar Ki Hawa Khate Hain To UnKo
Is Nemat Se Kyun Mehroom Rakha Jaye. Dusre Ye Ke Aurat
Ko Parde Me'n Rakhne Ki Wajah Se Usko Tibdiq Hojati Hai
Isliye Zaruri Hai Ke Unko Bahar Nikala Jaye .

Awwal Sawal Ka Jawab To Ye Hai Ke Ghar Aurat Ke Liye Qaid


Khaana Nahi Balke Uska Chaman Hai. Ghar Ke Karobar Aur
Apne Baal Baccho'n Ko Dekh Kar Wo Aisi Khush Rehti Hai
Jaise Chaman Me'n Bulbul. Ghar Me'n Rakhna Uspar Zulm
Nahi Balke Izzat-O-Ismat Ki Hifazat Hai. Usko Qudrat Ne Isliye
Banaya Hai.
Bakri Isliye Hai Ke Raat Ko Ghar Me'n Rakhi Jaye Aur Sher
Cheeta Aur Muhafiz kutta Isliye Hai Ke Unko Azaad Phiraya
Jaye Agar Bakri Ko Aazaad Kiya To Uski Jaan Khatre Me'n Hai
Usko Shikari Janwar Phaad Daalenge.

Dusre Aetaraaz Ka Jawab Me'n Kya Du'n. Khud Tajruba De


Raha Hai Wo Ye Ke Aurat Ke Liye Pardah Tibdiq Ka Sabab
Nahi. Hamari Purani Buzrug Aurate'n Ghar Ke Darwaze Se Bhi

33
Be-Khabar Thi'n Magar Wo Janti Bhi Naa Thi'n Ke Diq Kise
Kehte Hain Aur Aajkal Be-Pardagi Me'n Awwal Number Do
Sobah Hain Ek Kathiyar_Waad, Dusra Panjab. Magar Allah
Ta'Aala Ki Shaan Hai Ke In hi Dono'n Sobo'n Me'n Diq Zyada
Hai. U.p Me'n Aam Taur Par Sharifo'n Ki Baho Betiya'n Pardah
Nasheen Hain Allah Ta'Aala Ke Fadl Se Un Me'n Diq Bahot
Kam Hai Balke Agar Kaha Jaye Ke Diq Hai Hi Nahi To Bhi Be-
Jaa Naa Hoga. Janab Agar Pardah Se Diq Paida Hoti Hai To
Mardo'n Ko Diq Kyun Hoti Hai.

Dosto! Diq Ki Wajah Kuch Aur Hai. Yaad Rakho! Tandrusti Ke


Do Bade Usool Hain. Unki Pabandi Karo, In Shaa Allah
Tandrust Rahoge. Awwal Ye Bhi Ke Bhuke Hokar Khao Aur Pet
Bhar Kar Naa Khao Balke Roti Se Bhuke Utho Aur Dusre Ye Ke
Thak Kar So'o. Pehle Aurate'n Chaai Ko Janti Bhi Naa Thi'n
Ghar Me'n Mehnat Mushaqqat Ke Kaam Karti Thi'n. Chakki
Peesna, Ghalla Saaf Karna, Khoob Pasina Aata Tha. Bhook
Khul Kar Lagti Thi Aur Raat Ko Chaar Paayi Par Khoob
Behoosh Ki Nind Aati Thi Isliye Tandrust Rehti Thi. Aaj Ham
Dekhte Hain Ke Pardah Waali Aurate'n Hashshaash
Bashshaash Ma'loom Hoti Hain. Unke Chehre Taro Taaza
Hote Hain Magar Aawarah Aur Be-Pardah Aurate'n Aisi
Ma'loom Hoti Hain Jaise Ke Is Phool Ko Lu Lag Gayi Hai.
Dosto! Ye Sab Bahana Hain. Zaruri Hai Ke Makaan Khule
Hawadaar, Saaf Hon Apne Makano'n Ke Sihan Bade Bade Aur
Khule Huwe Hawa Daar Rakho Aur Aurato'n Baccho'n Ko
Chaai Aur Dusri Khushk Chizo'n Se Bachao Aur Doodh, Ghee
Waghairah Ka Istamal Rakho. Aurato'n Ko Aaram Talab Naa
Bana'o.

34
IsLami Pardah Aur Tariqa-E-Zindagi

Aurat Ka Jism Sar Se Paao'n Tak Satar Hai Jiska Chupana


Zaruri Hai Siwa-E-Chehra Aur Kalyiyo'n Tak Hatho'n Aur
Thakhno'n Se Niche Tak Paao'n Ke, Ke Unka Cchupana Namaz
Me'n Farz Nahi Baaqi Agar Khula Hoga To Namaz Naa Hogi.
Lihaza Uska Libaas Aisa Hona Chahiye Jo Sar Se Paao'n Tak
Usko Dhaka Rakhe Aur Is Qadar Bareek Kapda Naa Pehne
Jisse Sar Ke Baal Ya Paao'n Ki Pindliya'n Ya Pet Uppar Se
Nanga Ma'loom Ho. Ghar Me'n Akeli Shauhar Ya Ma'n Baap
Ke Samne Hoto Dupatta Utar Sakti Hai Lekin Agar Damaad Ya
Dusra Qarabat_Daar Hoto Sar Baa-Qaa'idah Dhaka Huwa
Hona Zaruri Hai Aur Shauhar Ke Siwa Jo Bhi Ghar Me'n Aaye
Wo Aawaz Se Khabar Karke Aaye. Ajnabi Aurat Ke Siwaye
Chand Surto'n Ke Dekhna Mana Hai.
(1) Tabeeb Marizah Ke Marz Ki Jagah Ko.
(2) Jis Aurat Ke Sath Nikah Karna Hai Use Cchup Kar Dekh
Sakta Hai.
(3) Gawah Jo Aurat Ke Muta'alliq Gawahi Dena Chahiye.
(4) Qaazi Jo Aurat Ke Muta'alliq Koyi Hukm Dena Chahiye Wo
Bhi Ba-Qadr Zarurat Dekh Sakta Hai Aawarah Aurato'n Se Bhi
Shareef Aurate'n Pardah Kare'n.
(Durre Mukhtar)

Aurat Ko Apne Ghar Se Nikalna Bhi Mana Hai Siwaye Chand


Mauqa Ke....

35
1) Qaabilah Yaani Daayi Pesha Karne Waali Aurat Ghar Se
Nikal Sakti Hai.
2) Shahidah Gawahi Dene Ke Liye Aurat Qaazi Ke Darbar Me'n
Ja Sakti Hai.
3) Ghasilah Jo Aurat Murdah Ko Ghusl Deti Hai Wo Bhi Is
Zarurat Se Nikal Sakti Hai.
4) Kaasebah Jis Aurat Ka Koyi Kamayi Karne Waala Naa Ho
Wo Rozi Haasil Karne Ke Liye Ghar Se Nikal Sakti Hai.
5) Zaa'irah, Waledain Aur Khaas Ahle Qarabat Se Milne Ke
Liye Bhi Ghar Se Nikal Sakti Hai Waghairah Agar Iski Puri
Tehqeeq Karna Hoto AalaHazrat Qudda Sirrahu Ki Kitaab
Marujun Naja Likharujun Nisa Ka Mutale'ah Karo.

Ham Ne Jo Kaha Ke In Mauqo'n Me'n Aurat Ghar Se Nikal


Sakti Hai Uske Maane Ye Hain Ke Pardah Se Is Tarah Naa
Nikle Jaise Aaj Kal Riwaj Hai Ke Ya To Be-Burqa Bahar Phirti
Hain Ya Agar Burqa Hai To Muh Khula Huwa Aur Burqa Bhi
Nihayat Khush Numa Aur Chamakdar Ke Dusre Mardo'n Ki
Uspar Khwah Makhwah Nazar Pade, Ye Jaaiz Nahi. Ye
Ahkaam The Ghar Se Bahar Nikalne Ke!

Ab Raha Safar Karna Uske Muta'alliq Ye Zaroor Yaad Rakho


Ke Aurat Ko Akeli Ya Kisi Ajnabi Mard Ke Sath Safar Karna
Haram Hai. Zaruri Hai Ke Uske Sath Koyi Mehram Ho.
Aajkal Jo Riwaj Ho Gaya Hai Ke Ghar Ko Khat Likh Diya Ke
Ham Ne Apni Biwi Ko Falaa'n Gaadi Par Sawaar Kar Diya Hai
Tum Station Par Aakar Utaar Lena Ye Naa-Jaaiz Bhi Hai Aur

36
Khatar Naak Bhi. Dewar Aur Behnawi Waghairah Se Bade
Bade Gharo'n Me'n Bhi Pardah Nahi Balke Ba'z To Kehti Hain
Unse Pardah Karne Ki Zarurat Hi Nahi Ye Mahez Ghalat Hai
Hadise Paak Me'n Irshad Huwa Ke
‫ الحمرا الموت‬Dewar To Aur Bhi Zyada Maut Hai Ba'z Jagah Unse
Hansi Aur Mazaak Tak Kiya Jata Hai. Khayal Rakho Ke Jis Aurat
Se Kabhi Bhi Nikah Hosake Usse Pardah Zaruri Hai Ke Wo
Ajnabi Hai Aur Jisse Kabhi Bhi Nikah Jaaiz Naa Ho Jaise
Damaad, Razayi Beta, Baap, Bhai, Khusr Waghairah Unse
Pardah Zaruri Nahi. Agar In Logo'n Se Baa-Qaa'idah Pardah
Naa Hosake To Kam Az Kam Ghunghat Se Rehna Aur Unke
Samne Haya Aur Sharm Se Rehna Zaruri Hai. Aisa Bareek
Libaas Naa Pehnu Jisse Nangi Ma'loom Ho Aur Aisa Libaas
Naa Pehne Jo Pindliyo'n Se Bilkul Chimat Jata Ho Aur Jisse
Badan Ka Andazah Hota Ho. Haan Agar Us Ghar Me'n Siwaye
Shauhar Waghairah Ke Koyi Ajnabi Naa Aata Hoto Koyi
Mazayeqah Nahi Magar Aise Ghar Aaj Kal Mushkil Se
Milenge.

Dr. Iqbal Ne Khoob Likha Hai:


Chu Zahra Baash Az Makhlooq Ru Posh
Ke Dar Aaghoosh Shabbire Baa Bani

Yaani Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ki Tarah Allah


Waali Pardah_Daar Bano Taake Apni Gaud Me'n Imame
Hussain RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Jaisi Aulaad Dekho.

37
Ladkiyo'n Ki Ta'aleem

Apni Ladki Ko Wo ILm-O-Hunar Zaroor Sikha Do, Jiski Usko


Jawan Hokar Zarurat Padegi Lihaza Sab Se Pehle Ladki Ko
Paaki Paleed Haiz-O-Nifaas Ke Shara'ee Mas'ale, Rozah,
Namaz, Zakaat Waghairah Ke Mas'ale Padha Do Yaani
QurAan Shareef Aur Diniyaat Ke Risale Padha Do. Phir Kuch
Aisi Akhlaaqi Kitabe'n Jis Me'n Shauhar Ke Huqooq Bajalane,
Baccho'n Ke Paalne, Saas Nanado'n Se Mail-O-Mohabbat
Rakhne Ke Tariqe Sikhaye Gaye Hon Wo Bhi Zaroor Padha Do.
Behtar Ye Hai Ke Unko Nabi Kareem Alaihissalam Ki Tareekh
Bhi Mutale'ah Karao. Jisse Dunya Me'n Rehne Sehne Ka
Dhang Aajaye Iske Ba'd Har Tarah Ka Khaana Pakana Baqadr
Zarurat Sina Parona Aur Dusri Zanana Dastkari Aur Suyi Ka
Hunar Zaroor Sikhao Kyunke Suyi Wo Cheez Hai Jiski Zarurat
Marne Ke Ba'd Bhi Padti Hai Yaani Murdah Sila Huwa Kafan
Pahen Kar Qabr Me'n Jata Hai. Suyi Aurato'n Ka Khaas Hunar
Hai Ke Agar (Khuda Naa Kare) Kabhi Aurat Par Koyi Musibat
Pad Jaye Ya Bewa Hojaye Aur Kisi Majburi Ki Wajah Se Dusra
Nikah Naa Kar Sake To Ghar Me'n Aabru Se Beth Kar Apni
Dastakariyo'n Se Pet Paal Sake. Aaj Kal Khaana Pakane Aur
Sine Parone Ki Bahot Si Kitabe'n Cchap Chuki Hain.
Chunanche Dehli Ka Bawarchi Khaana, Khwan Nemat, Khwan
Yaghma, Khaana Pakane Ke Hunar Ke Liye Zaroor Padha Do,
Balke Unse Har Tarah Ka Khaana Pakwalo.

Aur Dosto! Teen Chizo'n Se Apni Ladkiyo'n Aur Biwiyo'n Ko


Bahot Bachao. Ek Novel, Dusre College Aur Scholo'n Ki
Ta'aleem, Tisre Thetor Aur Cinema. Ye Teen Chize'n Ladkiyo'n

38
Ke Liye Zehre Qatil Hain. Is Waqt Ladkiyo'n Me'n Jis Qadar
Shaukhi, Aazadi Aur Be-Ghairati Hai Wo Sab Inhi Teen Hi Ki
Wajah Se Hai Ham Ne Dekha Ke Ladkiyo'n Ke Liye To Pehle
Zananah School Khule Aur Un Me'n Pardah Aur Gaadiya'n
Bacchiyo'n Ko Laane Aur Le Jaane Ke Liye Rakhi Gaye'n
Agarche Un Me'n Kaana Pardah Tha. Magar Khair Kuch Aar
Aur Sharam Thi Phir Wo Gaadiya'n Band Huwe'n Aur Sirf Ek
Aurat Jisko Mama'n Kehte The Laane Aur Pohchane Ke Liye
Reh Gayi. Phir Wo Bhi Kahtam. Sirf Ye Raha Ke Jawan
Ladkiya'n Burqah Pahen Kar Aaye'n. Phir Ye Bhi Khatam
Huwa. Aazadna Taur Se Aane Jaane Lage'n. Phir Aqal Ke
Andho'n Ne Ladkiyo'n Aur Ladko'n Ko Ek Hi Jagah Ta'aleem
Shuru Kara Di Aur Sharda Act Jaari Karaya Jiske Maani Ye The
Ke 18 Saal Se Pehle Koyi Nikah Naa Kar Sake Phir Ladkiyo'n
Aur Ladko'n Ko Cinema Ke Ishqiyah Darame Dikhaye Behudah
Novelo'n Ki Rok Thaam Naa Ki Jiska Matlab Saaf Ye Huwa Ke
Unke Jazbat Ko Bhadka Gaya Aur Nikah Rok Kar Bhadke Huwe
Jazbat Ko Pura Hone Se Rok Diya Gaya Jiska Mansha Sirf Ye
Hai Ke Haraam Kaari Badhe Kyunke Bhadki Huwi Shehwat Jab
Halaal Rasta Naa Payegi To Haraam Ki Taraf Kharch Hogi Aur
Aisa Ho Raha Hai. Ab Is Waqt Ye Haaalt Hai Ke Jab Scholo'n,
Collego'n Ki Ladkiya'n Subah Shaam Zarq Barq Libaas Me'n
Rasto'n Me'n Aapas Me'n Mazaaq Dil Lagi Karti Huwi Zor Se
Baate'n Karti Huwi Itr Lagaye, Dupatta Sar Se Utare Huwe
Nikalti Hain To Ma'aloom Hota Hai Ke Shayad Hindustan
Me'n Paris Aagaya Aur Dard Mand Dil Rakhne Waale Khoon
Ke Aansu Rote Hain. Akbar ILa Abadi Ne Khoob Farmaya Hai:

39
Be-Pardah Mujh Ko Aaye'n Nazar Chand Bebiya'n
Akbar Zamee'n Me'n Ghairate Qaumi Se Gid Gaya !
Pucha Jo Unse Aapka Pardah Kidhar Gaya
Kehne Lage'n Ke Aql Par Mardo'n Ke Pad Gaya

Koshish Karo Ke Tumhari Ladkiya'n Haya_Daar Adab Waali


Bane'n, Taake Unki Aulaad Me'n Ye Ausaaf Paaye Jaye'n. Dr.
Iqbal Ne Kya Khoob Farmaya:

Be Adab Maa'n Baa Adab Aulaad Jan Sakti Nahi


Ma'dane Zar Ma'dane Faulaad Ban Sakti Nahi

Yaad Rakho Ke Is Zamanah Me'n In Scholo'n Collego'n Ne


Qaum Me'n Inqalaab Paida Kar Diya Hai. Aaj Tariqah Ye Hai
Ke Agar Kisi Qaum Ka Naqshah Badalna To Us Qaum Ke
Baccho'n Ko College Ki Ta'aleem Dilao, Bahot Jald Is Qism Ki
Haalat Badal Jayegi. Akbar Ne Khoob Kaha Hai:

Yu'n Qatl Se Baccho'n Ke Wo Badnaam Naa Hota


Afsoos Ke Firon Ko College Ki Naa Sojhi

Aur Dosto! Ba'z Scholo'n Aur Collego'n Ke Naam Me'n IsLaam


Ka Naam Bhi Laga Hota Hai Yaani Unka Naam Islamiyah
School, Islamiyah College Is Naam Se Dhoka Naa Khao
Islamiyah School, Islamiyah College Naam Rakhna Faqat
Muslim Qaum Se IsLaam Ke Naam Par Chandah Wasool

40
Karne Ke Liye Hai Warna Kaam Sab Collego'n Ka Qareeb
Qareeb Yaksa'n Hai. Ghazab To Dekho Ke Naam Islamiyah
School Aur Ta'ateel Hoti Hai Itwar Ke Din. IsLaam Me'n To
Bada Din JumuAh Ka Hai. Har Kaam Angrezi Me'n Waha'n Ke
Talba Ke Akhlaaq Aur Aadaat Angrezi. Phir Ye Islamiyah
School Kaha'n Raha. Ba'z Scholo'n Ke Naam Bajaye Islamiyah
School Momedon School Ya Momedon College Rakh Diye
Gaye.

Allah Ta'Aala Ne Ham Musalman Ka Naam Rakha Hai.


Muslimeen QurAan Farmata Hai:
َ‫س ٰمٮ ُك ُم ۡال ُم ۡس ِل ِم ۡين‬
َ ‫ه َُو‬
Allah Ta'Aala Ne Tumhara Naam Musalman Rakha.
[Surah Al-Hajj:78]
Magar Isaiyo'n Ki Taraf Se Hamara Naam Momedon Rakha
Gaya. Ham Logo'n Ko Wahi Naam Pasand Aaya Jo Ke Isaiyo'n
Ne Hamko Diya.

Gharz Ke In Scholo'n Se Apni Ladkiyo'n Ko Bachao Aur Apne


Ladko'n Ko Bhi Waha'n Ta'aleem Zaruratan Dilao. Magar
Unka Deen-O-Mazhab Sambhal Kar. Isi Tarah Ladkiyo'n Ko
Ghar Par Jo Mastaro'n Se Padhwate Hain Ya Isaiyo'n Aurato'n
Ya Lediyo'n Se Ta'aleem Dilawate Hain Wo Bhi Sakht Ghalat
Karte Hain. Bahot Jagah Dekha Gaya Ke Ladkiya'n Mastaro'n
Ke Sath Bhaag Gaye'n. Aur In Aawarah Ustaniyo'n Ke Zari'ah
Se Hazarha Fitne Phele. Mujhe Ye Ma'loom Nahi Hota Ke
Aakhir Ladkiyo'n Ko Is Qadar Aala Ta'aleem Ki Kya Zarurat Hai
Inko To Wo Chize'n Padhao Jisse Unko Kaam Karna Padta Hai

41
Unka Saara Kharcha To Shauharo'n Ke Zimmah Hoga Phir
Inko Is Qadar Ta'aleem Se Kya Faidah Hai?

Gharz Ke Apni Aulaad Ko Deen_Daar Aur Hunar Mand Banao


Ke Is Me'n Deen-O-Dunya Ki Bhalayi Hai Apni Ladkiyo'n Ko
Sirf Khatoone Jannat Fatima TuzZahra RadiyAllahu Ta'Aala
Anha Ke Naqshe Qadam Par Chalao. Unki Paak Zindagi Ka
Naqshah Wo Hai Jo Dr. Iqbal Ne Is Tarah Bayan Farmaya:

Aa'n Adab Par Darda-E- Sharm-O-Haya


Aasiya Gardaan -O- Lab QurAan Sara
Aatisheen-O-Nooriya'n Farma'n Barash
Gum Raza'ish Dar Raza shauhar Sha

Hath Me'n Chakki Aur Muh Me'n QurAan Dono'n Jahaan Unki
Farma_Bardar Aur Wo Khawind Ki Matee.

42
By: Gulshan-E-Fatimah
With The Blessings Of Huzoor TajushShariah
ِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِِMaddazillahu Noorani

Translitrated (Roman Urdu)


by:Faqeera -E- Qadriyah Kaneez Fatima Ridawiyah

Feel Free to Contact Us


razvishairnibareillvi@gmail.com

Follow Us On Social Sites:

Blogger :
gulshan-e-fatimah.blogspot.com

FaceBook Page :
https://www.facebook.com/KaneezeAalaHazrat/

Instagram : https://www.instagram.com/gulshanefatimah/

YouTube :
https://www.youtube.com/channel/UCf1izVusAfFInLNoTD6H
A5g

43
Book: Surah Noor Me'n Parde Ke Ahkaam
Be-Pardagi ki Burayi Se Bachne Ke Liye Aur Pardah ki Ahmiyat
Aur Uske AHkaam Janne Ke Liye Khawateen E Islam Is Book
Ko Download Kijiye.
Download Now

44

You might also like