You are on page 1of 6

Ladies Sangeet Musical Melody Script:

Peechle kuch mahino se hamare jeejaji ki aur didi ki joh love story hamane dekhi hai. Us
hi ko present kar rahe hai aapke samne in the form of a musical melody.

1. Hai apna dil to awara:

Toh shuruat waha se kaha karte hai jab Jeejaji bahut busy hai apne business after
college and ab ghar walon ko aur nahi rok sakte. Shaadi ke liye haa karni hi padi.

Kuch aise log bhi hote hai jo unlike others jald se jald shaadi karna chahte hain. Aise
kisse kabhi kisi sadi mein hi dekhne ko milte hain. Jaise hamare ghar mein Karan aur
Kunal. Youngest to get married for the new generation of our family.

Aadmi kaam karta jaata hai aur umar badti jaati hai. Aur phir woh time aata hai jab
shaadi ke liye ha bharne ke alava hamare paas koi chara nahi bachta. Aur tab shoroo
hota hai silsila. Fully professional handsome photo kheechwane aur roz kisi na kisi ladki
ki tasveer dekh kar yeh sochne ka ke kash “us college wali ko hi pata liya hota” kaha
phas gaya ghar wallon ke chakkar mein. Yeh photo dekh kar kaise decide kar sakte hai.
Yeh toh andher nagari hai.

Darasal hota yeh hai ke, jab aap college mein hote tab ghar wale bolte , koi ladki wadki
ke chakkar mein mat pad jana. Aur jab shaadi ka samay aata tab yeh poochte hai ke
“Beta koi ladki dekhi hai ke nahi”

Khaire hamara time toh gaya. Hum toh bas aage aane wali peedhi ke liye ek seekh ban
sakte hai. Main toh yahi kahoonga Mudit aur kanishka abhi bhi time hai.

2. Chookar mere man ko:

Phir bahut sabra ke baad aata hai woh din jab aapko aapki dream girl miti hai ya phir yu
kaha jae. There is a lot of excitement in life. Ghanto ghanto office mein, ghar par aur
gadi mein baatein kartein jaana. Ek bilkul naya saathi aapke jeevan mein aa raha hai.
Aap thode se dare hue toh hai. Lekin us se zyada hai ek khushi.

Finally you are engaged and you are relieved. Daily ke office ghar, office ghar ke boring
aur hectic schedule se you are freed. Aur ab toh aapke paas license bhi hai kaam ko
thoda time side rakhne ka.

Yeh who feeling hai joh tab hoti hai jab aap:
1. 12th paas karke college mein jate hain.

2. Jab boss ki naukri chod kar aap apna khud ka kaam chalu karte hain.

3. Ya jab chuttiya manane aap ghar walon ke saath kisi hill station par jate hain.

3. Intehaan ho gayi intezaar ki:

Har marriage ka courtship ka time bahut memorable hota hai. Kynki ek yahi aisa time
hota hai jab ek “girlfriend” “boyfriend” wala spark hota hai. Aur is period ko enjoy karna
bahut zaroori.

Lekin jab jeejaji Bombay mein aur didi surat mein. Toh yeh kaise mumkin tha.
Mulakatein toh bas id ka chand jaisi ho gayi thi.

4. Chori chori jab nazerien mili:

Kehte hai “All is fair in love and war”.Jab birthdays aur sindhare par milne ke mauke
khatam ho gaye toh bar bar milne ke liye naye naye bahane izaad kiye jaane lage.

Kabhi “Pre-wedding photshoot”, toh kabhi “Ladies sangeet prepration”,

Kabhi “ shaadi ki shopping “, toh kabhi

Kabhi kabhi toh bina kisi bahane ke hi kaam chalana padta tha. Ghar se 8 baje nikale
office ke liye. Aur 12 baje aa gaye surat. Lunch aur ek romantic movie aur phir raat ko 8
baje ghar.

Bhala ho us sarkar ka jisne itna aacha Bombay to surat highway banaya , jisne na jane
kitni love stories ko anjaam diya hoga.

5. Dooba Dooba Rehta hoon:

Itni saari mulakaton ke baad ab jeejaji aur didi pyar mein poori tarah doob chuke hain.

Jeeju sent a boutqet on the anniversary of the engagement. Toh tab se ab tak lekar total
6 bouqets. And finally for the last one he sent one which said with flowers “I love u”

6. Abhi zinda hoon toh pee lene do


Har ghadi badal rahi hai roop zindagi

Saari umra hum mar mar ke ji liye

Aur phir aata hai who din jab aapko achanak se yeh realize hota hai ke shaadi mein sirf
10 din bache hai. Yani khushi ke sirf 10 din. Jiske baad life hamesha hamesha ke liye hi
badal jane wali hai.

Ab shaadi mein sirf 1 hafta bacha hai and you suddenly realize the gravity of the
situation. Yeh sab phone par baat karne aur phool bhejne ke chakkar mein yeh toh bhul
hi gaye ke 1 hafte baad sab kuch over. No freedom, no azaadi

7. Tum Mile

Tu hai aasmein mein , teri yeh zameen hai

Finally shaadi ka din aur Jeeja ji ko yeh realize hua ke who kitne bhagyashaali hai jo
unhe Nikita jaisi ladki mili. Bhagwan jab deta hai toh chappar phar ke deta hai. Unhe
yakin hi nahin ho raha hai apni kismet ke upar.

8. Kya Kehna

Finally iss happy ending ko aur happy banate hue, we are presenting a song from the
entire agrawal family to the nevatia family. I would request the entire agrawal family to
come on stage please.
Guitar Chords

Hai apna dil to awara:

1. https://www.youtube.com/watch?v=KvhnbCxQwn0

2. https://www.youtube.com/watch?v=RlZsCY4M7FE

3. https://www.youtube.com/watch?v=swCrgckYVYU

4. https://www.youtube.com/watch?v=R6qQwsPgo-U

5. https://www.youtube.com/watch?v=lPGicGOd9iM

6. https://www.youtube.com/watch?v=Qefz8ZUuT1Y

7. https://www.youtube.com/watch?v=UvSSkFJo5Qw
8. https://www.youtube.com/watch?v=NxSu_neuLwk

9. https://www.youtube.com/watch?v=49yt1nQb5OA

10. https://www.youtube.com/watch?v=Q2Ej9ZEu8uw

Chookar mere man ko:

https://www.youtube.com/watch?v=fhTZWoBIO4g

https://www.youtube.com/watch?v=jNXMTatR3KA

https://www.youtube.com/watch?v=0Z7c12z2geA

https://www.youtube.com/watch?v=boJkleZIH8M

https://www.youtube.com/watch?v=jqk6wsRFM-w

https://www.youtube.com/watch?v=jqt9VtDfTjI

https://www.youtube.com/watch?v=QJf99mT9bnI

Intehaan ho gayti intezaar ki:

https://www.youtube.com/watch?v=hnAhJXO6tK0

https://www.youtube.com/watch?v=rjEsRj7KmLY

https://www.youtube.com/watch?v=qMx2y5MMIoQ

https://www.youtube.com/watch?v=JSWCUIjskMU

https://www.youtube.com/watch?v=J93ZznNtOUk

Tum Mile:

https://www.youtube.com/watch?v=6Uvm5wOb4pA

https://www.youtube.com/watch?v=ou_-loya9nQ

https://www.youtube.com/watch?v=r95nEWhgXFo

https://www.youtube.com/watch?v=J7ldmzbvbME

https://www.youtube.com/watch?v=KbfAaPDDWBY

https://www.youtube.com/watch?v=gVvsFD6oQbw

https://www.youtube.com/watch?v=uOrQ7t8_gyk

https://www.youtube.com/watch?v=8fAn_K14yiA

Chori Chori Jab:


1. https://www.youtube.com/watch?v=zHPYmJPKKZA

2. https://www.youtube.com/watch?v=Nzk3inMtS6o

3. https://www.youtube.com/watch?v=ppL9AzXpkKU

Kapil Sharma

https://www.youtube.com/watch?v=0j_8bMVu9Ms

https://www.youtube.com/watch?v=1qeIP0-QM4Q

https://www.youtube.com/watch?v=33cbW-MSmpM

https://www.youtube.com/watch?v=0woD_dggYsg

https://www.youtube.com/watch?v=Ks-yxJBH4ec

https://www.youtube.com/watch?v=B4Wjk7uAFxY

Appendix

9. Bas itna sa khwab hai/Papa Kehte hai bada naam karega

Hamare Jeejaji bahut hi aggressive hai apne profession ko lekar. College se nikalte hi,
un hone thaan liya ke abhi 3-4 saal dat kar kaam karna hai.

College ke baad aur shaadi ke pehle ka time ladko ke liye bahut critical hota hai. Yahi
who 3-4 saal ka samay hai jab aadmi shaanti se 100% focussed hokar kaam par dhyan
de sakta hai.

Shaadi ke pehle aap apni sari zimeedariyon ko ek side rakh ke sirf aur sirf kaam par
focus kar sakte hai. Lekin shaadi ke baad “Nazar hati aur Durghatana Ghati”

You might also like