You are on page 1of 4

Pyaar Kehte hain

Mein anjaan tha ,


Yha aane se phele ,
Maa – Baap , Yaaro- Dosto
ke pyaar se ,
Mein jab aaya yha,
Khud ko maa ki ghod
mein hain lipta paaya,
Chere pe thi khushi ,
itne dard ke baad bhi ,
shayad issi dard ko pyaar kehte hain.
Jhum utha saara sahar,
jb mein aaya tha yha,
Mere dad jaise mithai ki baarish krwa rahe ho,
shayad issi mithai ki baarish ko
pyaar kehte hain.
Bin bole , har kuch
mere saamne rakh gye,
Bin bole , meri bhookh
ko mehsus kr gye,
Bin bole meri har khwaaish
ko apna bnna liya ,
Shayad issi khwaaish ko
pyaar kehte hain.
Jab mein rota
joker bnn hasana,
Jab mein hasta
baccha bnn hasata,
Jab mein saant rahta
khil uthne ki awaaz aana,
Shayad issi awaaz ko pyaar kehte hain.
Pyaar Kehte hain
Ungli thaam chalna shikhaya ,
Saath rah ,duniya se ladna shikhaya,

Sahi galat ka phaat padhaya,


Na toora tha wo kbhi apna wasool

mere liye tha toora apne saare wasool

Mere liye tha, khud se jhooth bola


Shayad issi jhooth ko pyaar kehte hain.
Aai waqt mere school jaane ki,
Rota raha bahut
phir bhi gya school
naye dost banane
ke bahane se .
Phir hui dosti ajnabeeo se,
Shayad unn ajnabeoo se dosti
ko pyaar kehte hain.
Waqt chalte gye,
Samay bdlte gye,
Purani technology gyi,
nayi technology aai.
Shayad issi bdlte zaamne ke
saath rista na badlna ko pyaar kehte hain.

Badh chala tha mein


galat raaste pe,
Bhool chuka tha mein
Maa-Baap ki shikhai baato ko,
khud ko sahi aur
Pyaar Kehte hain
unko galat thara chuka tha mein.
kya issi ko pyaar kehte hain?
Jo chalna shikhaya ,
Jo bolna shikhaya ,
Jo duniya se ladna shikaya,
Aaj wo galat hain,
Bas tumhare liye khud
ko jo kurbaan kiya,
Apni khwaaish dawa kr
Jo tmhari khwaaish puri kiya.
Kya issi ko pyaar kehte hain?
Jo tu bhool gya Maa–Baap ko,
Ek ladki ke aa jaane se.
Choor chala gya tha ghar jiske liye,
Kya yhi pyaar hain ?
Phir laut aaye ghr,
Pyaar mein dhoka kha kr,
Drwaze the khule,
Baithi thi maa bin palke jhukaye
tere hi intzaar mein
Shayad yahi intzaar ko
Pyaar kehte hain.
Aai thi laher na jaane kaha se
dhooba chuka tha wo mujhko
na jaane kaise , phir mamta ka
kiran pra mujh pr,nikal chuka tha mujhe
na jaane kaise.
Shayad issi ko pyaar kehte hain.
LOVE YOU
Pyaar Kehte hain
Written By:-Prashant
Shekhar(Percy)

You might also like