You are on page 1of 1

Hello Dosto Swagat hai aap Sabhi ka meri Website Tallyclass.com.

aur ye Raha hamare Tally


Course ka Chapter 14 : Types of Purchase

Chapter 14 : Types of Purchase


Is Chapter ke baad ham Tally ERP9 me Purchase ki Entry Karna Sikhenge lekin us Se Pehle
Ham Ye Jaan Lete hai ki Purchase kitne Tarah ki hoti hai aur kis tarah unki entry karni hai aur
kaunsi purchase me kya dhyan rakhna hai so without Wasting the time let's begin the Chapter -

Jaisa ki Naam Se hi Malum ho raha hai Purchase ka Matlab Hota hai maal Kharidna aur ek
Accountant ko Purchase ki Entry Karne se pehle ye Dekhna padta hai ki wo kis tarah ki purchase
hai kyunki Accounting me waise to purchase Kai Tarah ki Hoti hai Lekin Ham Filhal Tally
ERP9 me 4 Tarah ki Purchase Ki Entry Karna Sikhenge Jo Kuch Is prakar hai.

1. Purchase Exempt
2. Purchase GST
3. Purchase Interstate Exempt
4. Purchase IGST

Ab one By One Thodi detail me in Purchase ke baare me samajhte hai.

1. Purchase Exempt - Aisi Purchase Jiske item Par Koi Tax Nahi Lagta ho Aur Jo
hamne Apne hi State se ki ho Yani Rajasthan ke Customer ne Rajasthan ke Customer se
hi Kharid ki ho Use Purchase Exempt Kehte hai.

2. Purchase GST - Aisi Purchase Jiske Item par 5%, 12%, 18% ya 28% inme se koi Bhi
Tax Lagta ho Aur Jo hamne Apne hi State se ki ho Yani Rajasthan ke Customer ne
Rajasthan ke Customer se hi Kharid ki ho Use Purchase GST Kehte hai aur is tarah ki
Purchase me Tax SGST + CGST lagta hai Tax Rate ka 50-50% Yani Agar 28% tax hai to
SGST 14% lagega aur CGST 14% lagega Jaisa ki Maine Chapter 7 : What is GST me
Bataya tha.

3. Purchase Inter State Exempt - Aisi Purchase Jiske Item Par Koi Tax nahi Lagta ho
Aur Kisi Dusre State se purchase ki Ho Jaise Rajasthan Ke Kisi Customer ne Punjab Se
Purchase Ki ho.

4. Purchase IGST - Aisi Purchase Jiske Item Par 5%, 12%, 18%, aur 28% Tax Lagta ho
Aur Kisi Dusre State se purchase ki Ho Jaise Rajasthan Ke Kisi Customer ne Punjab Se
Purchase Ki ho aur is tarah ki Purchase Me IGST lagt hai wo Bhi Tax Rate ka 100% Yani
28% tax hai to IGST 28% Lagega.

To Filhal In 4 tarah ki Purchase ki Entry Karna Hame Sikhna hai In Charo Tarah ke Purchase ki
alag alag entry ki Jati hai.

To purchase ki One By One Entry Karna ham Agle Chapter se sikhenge Sath me aapko Practice
ke liye notes bhi milte Rahenge.

You might also like