You are on page 1of 1

Dialogue 1:

Suprabhat ! aaj iss hindi divas ke suaavsar par kaksha 12 ke chatra


aapke samne ek natak prastut karne ja rahe hai, jiska mukhya Vishay
hindi bhasha ka mahatva. Yeh natak ke mukhya kalaakar Mr.
Jagdishwar kumar, jo ek mechanical engineer hai aur naukri ki
talaash mai hai. Yeh bade hi kaabil engineer hai aur inki kaabiliyat par
koi shaak nahi. Yeh sirf angrezi bolne mai thode kamjoor hai. Toh
aaiye dekhte hai inka pehla sakshatkar oberoi company mai.

Dialogue 2: toh yeh tha jagdishwar ji ka oberoi company mai


interview, jo kaafi dukhad tha, keval ek karan ki vajah se, angrezi. Ve
thode angrezi mai kamjoor the, jiske vajah se unko naukri pe nahi
rakha. Chalo dekhte hai ab jagdishwarji ka sakhshatkar ritcom pvt.
Lmd ke sath.

Dialogue 3: toh yeh hai hindi bhasha ka mahatva . bhale hi aapko


angrezi mai thode kamjoor ho, par aapka gyan agar aap hindi bhasa
mai bhi prastoot kare toh bhi iska mahatava utna rehta hai. Jese ki
aapne abhi dekha ki ritcom company ke sath jagdishwar ji ka
sakhshatkar bahut hi santoshjanak raha. Jagdishwar ji ko jaankar
bahut khushi hui ke wah iss naukri ke liye chune gaye hai aur ab wah
ritcom pvt lmt ka hissa ban gaye hai.

Dialogue 4: jesa ki hamne dekha ki ritcom pvt ltd ne jagdishwar ji ko


naukri pe rakha. Iske baad wah apne khud ki production machine
banayi jo aaj American companies bhi aang rahi hai. Isse yeh saabit
hota hai ki aapka gyan bhale hi hindi mai hi kyun naa ho, lekin wah
gyan ka upyog karna sahi tarike se aana chahiye.

You might also like