Bwise

You might also like

You are on page 1of 1

hydra

doston hydra ek soft body wala chota sa creature hota hai aur ye fresh water mein
rehte hai

in creatures ki body maximum 0.39 inches ki hoti hai

ab aap ko pata chal hi gaya ki yeh kitni choti hoti hai

aise mein inke chote size ke wajah se vaigyanik ko inme koi ruchi nahi thi par baad
mein yeh pata chala ki yeh jiv to amar hai

aur tab jake inmein research ki gayi

1997
ke baad jab vaigyaniko ne inke upar 4 sal tak research kari tab jake yeh pata
chala ki umar ke saath bade hone par inki death nahi hoti hai yaha tak ki badte
samay ke saath yeh budde bhi nahi hote kyoki research kattam hone tak yeh waise hi
jawan the jaise ki 4 saal pehle

aur iska karan cell regeneration ho sakta hai kyouki aap tab tak nahi marenge jab
tak cell regenerate karta hai

aur hamari body mein bhi aisa hi hota hai jab tak humara cell regenerate hota hai
tab tak hum jawan hote hai aur regeneration slow hone ke saath hum log buddhe hote
chale jate hai

lekin hydra ke saath aisa kuch bhi nahi hota inke uppar badte samay ka koi prabhav
nahi hota aur issiliye yeh jiv 10000 sal se bhi uppar bhi ji sakte hai

You might also like