You are on page 1of 2

7.

Prem looks up at Sandhya and smiles awkwardly. Sandhya smiles


too.

CUT TO:

7 INT. PREM’S HOUSE/ PREM’S ROOM - DAY 7

The whole family has gathered in Prem’s room. He is avoiding


them - pretending to be busy recording.

Prem’s Bua is caressing his hair as he records something.

PREM’S FATHER
Oh Beta! Ek baar phir soch le.

PREM
Soch ke hi bol raha hoon.

PREM’S FATHER
Beta ladki acchi hai, bhale ghar ki
hai. Swabhav bhi accha hai.

PREM
Ek shabd to boli naa, aapko swabhav
pata lag gaya uska.

PREM’S FATHER
Toh bhaiyya - jo ladki badon ke
aage chup rahe usey na acchha
swabhav bolein to kise bolein? Jo
saare din dukaan pe khadi philmi
gaane record karati phirein? Saaf
dil ki laundiya hai.

PREM
Aur shakal ki toh poocho hee naa?

PREM’S FATHER
Kya burayi hai shakal mein. Langdi
hai, looli hai, andhi hai?

PREM
Size dekha uska aapne?
PREM’S FATHER
Thodi bhari hai aur kya? Aur tu
kahan ka phanne khan hai - daswi
toh paas hui naa tere se aur khwab
dekhe Juhi Chawla ke. Samjhao isey!

PREM’S MOTHER
Beta aajkal ki khurakh hi aisi ho
gayi hai. Jaya bhi toh bhari ho
gayi shaadi ke baad - usko kya
phenk diya Kishore beta ne.
8.

PREM
Aur meri pasand jaroori hai ki naa?

PREM’S FATHER
Bhaiyya teri toh hum dekh chuke -
sadak pe toh le aaya tu mujhe. Jami
jamayi kiraane ki dukaan band
karake. Tape cassette ki dukaan
khulwa ke. Ke bhaiyya gaane sunta
rahega aur dukaan bhi chalayega.
Aur ab dekho - din ke paanch sau
gaane se utar ke tees-pachaas
gaanon pe le aaye CD waale hamein.

PREM
Ek din ka khel thorri hai - jeevan
bitaana hai.

PREM’S BUA
Beta acchhe nain-naksh waali le
aaye toh hamse toh bindi lipistick
ka kharcha bhi naa bardasht hone
waala.

MOTHER
Bahu aayegi, teacher lagegi - ghar
ka thorra bojh halqa hoga. Bacchon
ki padhai bhi free.

PREM
Maine mana kar diya naa baat
khatam!

PREM’S FATHER
Aji aisey kaise baat khatam.

Prem’s father goes for his chappal. Prem’s mother starts


crying. Prem’s Bua provides cover for Prem.

PREM’S BUA
Maan jaa beta - maan jaa. Bade
kasht padein is ghar pe.

Prem looks at his mother Bua and mother.


CUT TO:

8 I/E. A DHARAMSHALA - DAY 8

A van is parked outside a Dharamshala. The gates are open.


Prem’s Jijaji is making drinks in a steel glass from his shoe
box bar. He hands over a glass to Prem

PREM’S JIJAJI
Yeh le - set ho jaayega!

You might also like