You are on page 1of 13
Nukkad Script - Corona kaal aur vaccine - by Goonj ‘Suno suno duniya ke logon Goonj ka naya nukkad dekho Ago aao zara kan lagao Dimaag aur dil bhi saath hin laao “corona kaal aurvaccine” hai nukkad ka naam Ye dekho aaramse pehle, phir kar lena kaam (Forma TV. People one-by-onefrom the circlestand behind the TV) (Person 1) Abhi abhi taza, garma garam, masaledar khabar aa rahi hai ki China se aya virus pure desh mein fail raha hai (Person 2) Kya aapko lagta hai ki ye china ki chalakibhari chal hai? (Person 3) Kya aapko lagta hai ki china ki lab mein bana hua virus, Vishwa vinaash ke maqsad se strategically place kiya hai? (Person 4) Kitna gir jaayega China apni tuchhi si duniya ka super power banne ki mahatvakansha ko pura Karne ke liye? (Person 5) Aajse ki website par jaa ke China ke khilaaf vote kijiye (Person 6) Iss WhatsApp Message ko turant forward kijiye aur China ke Khilaaf aawaz utahiye, (Two people from the crowd) (Person 1) Khabar suni babua? Cheenivirus aaya hai, (Person 2) Dhat burbak! Cheenivirus nahi, coronavirus. (Person 1) Haan, jo bhil aaya toh China se hin hai na? TV wale keh rahe the China ki chaal hai (Person 2) Ee ka baat? China ko agar superpower hin bana tha apne capabilities strong kar ke nahi karti? Ye pure duniya mein beijjati karwa ke zaroori tha? (Person 1) Arre wo sab chhodo. Par ye batao ki coronavirus hai kya cheeej? (Person 2) (enact the below lines while one person narrates it) Achha aise samajhiye, ek dushman hai. Wo kahin se aapke border ke paas aya hai. Uske pas ek chabhi hai jisse wo desh mein ghus gaya hai. Aapki army usse poochh taachh karti hai ki "kaun ho bhai? kya kam hai, kyun aaye ho?” Itni der mein uss dushman ne apne RNA ki madad se multiply kar liya hota hai, Aur tab aapko pata chalta hai ki wo China hai. Phir aap uspe launch attack karte hain. Agar aapki army strong hai toh aapka launch attack successful hoga aur China haar jaayegi. ‘Agar aapki army weak hai toh wo haar jaayegi aur virus Delhi jaa kar kabza kar lega, Desh aapki body hai, Army aapka immunesystem aur Dilli aapka lungs. Aap tab tak jet sakte hain jab tak aapki army strong ho. Issiliye budhe log, aur pehle se bimar log isse zyaada khatre mein hain, Kyunki wagtke saath unki army weakho jaati hai “TBD - Adda rhyming poem here. (TVagain. Two people in the inner circle watching) (Person 1) Abhi abhi khabar aayi hai, Britain, America, Spain, Italy mein lockdown. Har din 10,000 se bhi zyaada cases. Aap bhi satark rahiye, Savdhan rahiye. (Person 2) Foreign se aye log jinko pehle phoolon se swagat kiya jata tha, ab jooto se bhagaya jaa rha hai. Kya pata wo apne saath virus leke aayein ho, aap bhi apne nazdiki foreigner ko foran jooto maarke bhagaayein (Person 3) Sabki jane khatre mein hai, Haath ko achhe se dhoiye. Social distancing maintain kijiye, Ghar se bahar matnikaliye. Mask peheniye. Savdhan rahiye, satark rahiye, “=*TBD connecting scene (Scared people sitting the crowd) Mujhe toh bahoot dar lag raha hai by god. Hey bhagwan ye kaun si bala hai? “TBD - Adda rhyming poem here. (Modiji ki man ki baat) Mitron, ek bahoot badi vidambna puri duniya pe aa padi hai. Aaj March 23 2020 se pura desh lockdownstate mein jaa raha hai. Sabhi school, colleges, officesaaj se 21 dino ke lockdown mein jaa rahe hain, Aur hum frontline workersyaani ki doctors, nurses ke support mein thaali baja ke support karenge. (People from the crowd) (Person 1) Hum congress se hain, Aur humein iss baat se aitraaz hai, Lockdown meinjaane se kuchh nahi hoga. Ye sab modiji ki chaal hai. (Person 2) Hum aam aadmi hain. Aur hum iss baat se koiaitraaz nahi, Modiji ne keh diya toh bas keh diya, (Both people start fighting) (Person 3) Hum mazdoorlog hain, aur humein samajh nahi aa raha hai. Ye lockdown matlab kya? Matlab hum apne gaaon waapis chale jaayein? (Circle together) Stockmarket doob gaya Telke bhaav hai minus twenty School, college sab band ho gaye Virus ne aake baja di ghanti Issdar ke mahol mein bas ek hin hain rasta Man ki shaantibanayein rakhein, Aapko sabki jaano ka waasta (Modiji) Mitron, program mein thoda change rehne ka. Ab hum 3 May tak aur lockdown mein rahenge. Aur iss bar hum diye jala kar, ghar ki lights off kar ke doctors ka support karenge. (Person 1) What is this Modiji? May mein diwali manayenge? Parbhala kyun? (Person 2) Modiji ne bola na kyun? Doctors ke liye, Tumko problem hai toh pakistan chale jao pls. (They start fighting) (4 people from the circle, Walking back. Distraught. Weakened) Hum rozana majdoor hain, aur humein nahidikh raha koi hal Kaam bhi band hin pada hai. Chalo nikal lete hain gaaon ko kal. Aaj hein hamarinobatsadak par paidalchalne ki kya yahi hein ahemiyatis desh ke shramaki ki Ye media chala rahipoliticians ki boli, Nahi dikha rahi ye hamaribehali Besahara shramikki yaad tabhi ayi, jab paidal chaine par mrutyu ki khabar ayi Na mila vetan, aurna ja paye ham ghar, chhod parivar, bas uljhe rahe beech raste par “**TBD - add rhyming poem here? (person one-by-onefrom crowd) Lockdown kar rahi bura haal, Na trip na trippy ho pa raha hu yaar Amrika mein toilet paper ki ho rahi loot, Hum bhi bhar lete hain sabji sag aur fruit Sab ne kahan 12 ki parikcha important hai bhai, corona mein ab kaise hogi padhai Suna hai zoom class aayegi lekin kya garibo tak kabhi technology pahuch payegi (Modiji) Mitron, program mein phir se thoda change rehne ka. Ab hum 1 June tak lockdown mein rahenge. Kripya apne ghar mein rahe aur man ki shanti banye rakhein, (Person 1) Sab toh bole the 21 din mein khatm ho jaayega ye itne lockdown kyun? (Person 2) Aise nahi work karta (Person 1) Toh kaise work karta hai? (Person 2) Wait let me explain. (Enact the below lines) Toh humne dekha ki desh mein dushman ghus chukahai. Ab inko ghusne aur multiply hone mein zyaada se zyaada 15 din lag jaate hain, Ab aise sochiye, Mere paas virus aya, Main aapse mili, Phir aap 4 aur log se mile, Wo 4 log aur logon se mile aise kar ke failta jaayega. Zaroori nahi, 40 din mein Khatm ho. Saalo lag sakte hain. (Person 1) Saalon? Matlab iss saal apni beti ki shaadi nahi karayein? (Person 2) ‘Agar dahej deke kar rahe hain, toh kabhi mat karaiye, But that is not our topic fortoday. (Person 3) Wo sab toh thik hai, par ye normal life kab aayegi? Wo aayegi na vaccineke baad “TBD - Adda rhyming poem here. (Return to TV) (Person 1) Corona kar rahi desh pe prahar, kyakaayde se lad payegi apni Sarkar, chalo karte hat ispe vichar kaise chalega desh me karobar (Person 2) arey choro choroye sab baatein bekar, janta mange chatpata samchar, ‘TRP apna badhana hai ‘Taimur ka video dikhana hai Meanwhile in America (Trump) Disinfectant work outside the body to kill the virus. If we swalloweda disinfectant it should kill all the germs and viruses inside the body. (People from the crowd) (Person 1) Ee ka keh raha hai? (Person 1) Oo keh rahe hain ki sanitizer pee lijiye, coronavirus thik ho jaayega. (Person 1) Sahi batao? (Person 1) Nahi. Sanitizer kabhi mat pijiye. Uss me methanol hota hai jisse aapki jaan bhi jaa sakti hai, (Person 1) Matlab alcohol? Wo toh hum roj peete hain. (Person 1) Haan, tab aap aur khatre mein hai. (Person 1) Khatre mein kaise? (Person 2) weraD* (Person 1) Aisa? Toh wo Alcohol se clear nahi hoga? (Person 1) Nahi. Ultaalcohol aapki army ko weak karega. (Person 1) Toh iska konno illaj hai? (Person 2) Filhaal toh kauno nahi hai par kuchh log kam kar rahe hain iski taraf. (New people from the cricle) (Person 1) Haan, hum laaye hain ilaaj (Half circle) Covid ki koi boti aayi hai (Half circle) Kis ne layi hai kisne layi hai (one person) Say Babaji ki booti babaji ki booti (everyonewill dance together) (Person 3) Pesh karte hain patanjali ki or se coronil. Jaise odonil machhar bhagata hai, retonil pimple bhagaata hai, waise hin coronil corona bhagata hai, Go Corona Go. (Person 4) (ina slight accent) Babaji hamare paas doosra solution hai, Homeopathy mein bhi iska ilaaj hai Agar aap neem ke patte ko garam paani mein mila kar usme haldi namak aur jeera milakar peeyein, gas pe dheemi aanch pe rakh ke, char minute tak paka kar piyein toh guaranteed hai ki corona bhaag jaayega. Afterall neem ka patta badhiyaan hai, corona se ladriyaan hain. (Person 5) Mujhe toh ramdev baba ki baat thik lag rahi hai. Ayurveda aur homeopathy toh sadiyon purana hain, unke time mein 100 corona aaye honge. (Person 6) Um, actually virus khud hin picchle sadi mein paaye gaye hain, Covid ke age jo novel laga hai, uska matlab wo kitaab nahi, nayi anokhi cheez hai. (Person 7) Tum na logic se mood mat kharaab karo, Ye batao, tumhare paas koi illa) hai? (Person 6) Abhi toh nahi hain par we're working on it. (Person 7) Ohho, puri duniya yahaan mar rahi hai and youare working on it. Saaf saaf batao vaccine kahaan hai? (Person 8) Haan, vaccine kahaan hai? (Circle) Vaccine kahaan hai? (Person 1) Hum Amrikake big pharma pfizer hain aur vaccine yahaan hai. (Person 2) Hum doosri big pharma Moderna hain, aur vaccine yahaan bhi hai. (Person 3) Ohho, hum toh britain ke Astrozeneca hain, in logo se thoda different hai par vaccineyahaan bhi hai. (Circle sings) Finally, Vaccine aayi hai, aayi hai. Vaccine aayi hai. Pfizer, aur Modernane, Government funding ke baad. Vaccine lagyi hein, laayi hain. Phase 1 phase 2 trial kiya paar Phase 3 mein bhilaayi bahaar Vaccine aayi hai, aayi hai. Vaccine aayi hai. (Person 1) (inan accent) ohho, hamare swagat mein gaane baj rahe hain? Ha ha, Lekin hum gareeb desho ko saste mein vaccine nahi denge. hi hi, Joukhadna hai ukhaad lo. (Person 2) Main Adar poonawala hun, aur hamare paas hai Covishield. Aur bharat biotech ke paas Covaxin, Nikal lo pfizer walo, tum bhi kya hamari taakat jaano? (Person 3) Aise kaise bhaiya? humein lag raha isme gormint ki chal hai. Sab inki milibhagat hai. Ye milke public kko bana rahe hain, Ham hein desh ki aan ban, praja ke hein ham shubhchintak sabse pehle mile hame vaccines, aur firhamare samarthak (Person 4) Koi nahi, maine suna hai virus se aadmi napusank ho jaata hai (Person 5) Achha hai, population kam hoga! (Person 6) Kya matlab? (Person 7) Matlab kuchh nahi, Hum toh keh rahe the vaccine ko gutkha mein mila dete hain, pura desh khayega (Person 8) Ye kyasuggestion hai? (Person 9) Daaru mein? (Person 10) Patanjali ke coronil mein? Crowd: (Babaji pls. This is not your time) (2 people from the circle) Toh ab koi bata bhi do, vaccine mein kya hota hai? (Person 1) Thank you for the question. Main toh bataane ke liye mar raha tha. (Enact the below scenes) Toh jaisa ki humne dushmano ki baat ki thi, Hum sab vaccinese kya karenge ki uss dushman ka same type ka chhotu motusa harmless hissa aapki body meinpehle se daal denge. Toh aapki army yani ki immune system ko pehle pata hoga ki dushman China hai. Uske replicate kare ki naubat hin nahi aayegi. Body mein ghuste saath hin wo launch attack kar degi aur successfullly jeet jaayegi (Person 2) ‘Toh tab kya hoga jab wo mutate kar jaayegi? (Person 1) Obho, very good question Actually mutation har baar thode se form mein baditi hai. Jaise aapki naak hai, toh S mm leftho jaayega. Itne se mutation ke liye virus work karegi, Puri tarah se mutate karne ke liyeek virus ko salon lag jaayenge. Tab tak hamare paas mutated virus ka bhi vaccine hoga. (Person 3) Par maine whatsApp pe padha tha. (Person 4) ‘Tum suno. Aap sab suno. WhatsApp pe likhi har cheez sach nahi hoti. Ek bar youtube ya phir google kar lo, Ok, Bye. Vaccine ke naam pe ho rahi jang hai Manabtah ab loot rahi khule bazar hai Covid ke naam pe sab dhul rahe apne meile posag hai Beti: Papa officese jana tum bazar vaccinelana for pure parivar Hum bhi vaccine lagwayenge corona proof hojayenge Papa: Kya kar rahi vaccine vaccine, pata nahi tumhewhatsapp pe aaya samchar hai vaccineke toh side effectshazar hai. Hum vaccineke bina thik hojayenge baba ji booti hum roj khayenge Narrator: shor hai shor hai yahan logo ke dil me chor hai, jo vote ki time kahti thi praja humari data hai, aaj kah rahi praja humare baad aata hai

You might also like