You are on page 1of 2

Zikr-e-Gandhi – Adil Jafri

ek-adh sal se hai faza mulk ki kuchh aur

ghaalib sadi ke baad hai gandhi sadi ka daur

gandhi ko kaun aisa hai jo jaanta na ho

izzat ke sath un ko baDa manta na ho

bapu to un ko pyar se kahte hain aaj bhi

har dil pe sach jo puchhiye hai un ka raj bhi

dam se unhin ke daur-e-ghulami hua tamam

aasani mein badal gaya dushwar tha jo kaam

us rahbar-e-azim ne hum ko wo bal diye

angrez mulk chhoD ke KHamosh chal diye

sach aur us ke sath ahinsa ki dhum hai

duniya ka ab samadhi pe un ki hujum hai

har shaKHs sar-nigun hai baDe ehtiram se

'adil' ye qadr hoti hai be-laus kaam se


KALAM OR KAMAL – MUBARK SIDDIQUI

KHizan ki rut mein gulab lahja bana ke rakhna kamal ye hai

hawa ki zad pe diya jalana jala ke rakhna kamal ye hai,

zara si laghzish pe toD dete hain sab talluq zamane wale

so aise waison se bhi talluq bana ke rakhna kamal ye hai,

kisi ko dena ye mashwara ki wo dukh bichhaDne ka bhul jae

aur aise lamhe mein apne aansu chhupa ke rakhna kamal ye hai,

KHayal apna mizaj apna pasand apni kamal kya hai

jo yar chahe wo haal apna bana ke rakhna kamal ye hai,

kisi ki rah se KHuda ki KHatir uTha ke kanTe haTa ke patthar

phir us ke aage nigah apni jhuka ke rakhna kamal ye hai,

wo jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi laDkhaDae shikast khae

labon pe apne wo muskurahaT saja ke rakhna kamal ye hai

You might also like