Professional Documents
Culture Documents
Republic Day (Hindi Speech)
Republic Day (Hindi Speech)
Kisi ne sahi kaha tha - kan kan mein soya shaheed, pathar pathar itihaas hai.
Aap sabhi ko meri taraf se suprabhat. Mera naam _________ hai aur main kaksha gyarvi ka
chatra hun. Hum sab jaante hain ki aaj hum yahaan ek vishesh avsar par ekatra hue hain.
Aaj ka din, bharat mein ganatantra divas ke naam se manaya jaata hai. Main aaj ke mahan
din par aap sabhi ko bharat ke ganatantra divas ke bare mein kuch mahetvapoorn baatein
batana chahta hun. Sabse pehle mein aap sabhi logon ka shukriyada karna chahta hun ki
mujhe aap logon ne is adbhut avsar par ye mauka diya ki main is avsar ke baare mein aur
apne desh ke vishesh mein kuch shabd bol sakun. 26 janvari hamare desh ke liye bahut
khaas din hai. Is saal, hum bharatvasi, bharat ki bahatar vaan ganatantra divas manane
ekatra hue hain.
deshbhakton ke tyaag, tapasya aur balidaan ki amar kahani 26 janvari ke parv se samete
hue hai. Utsarg aur shaurya ka itihaas bharat ki bhumi par pag pag mein ankit hai.
Ganatantra ka arth hai janta ke dwara janta ke liye shasan. Apne rajnitik neta ko chunne ka
adhikar, desh ke logon ke upar hota hai. Bharat mein, aam aadmi apne neta ko pradhan
mantri ke roop mein chunta hai.
Bharat ko aazadi milne ke 2 hafte baad, 29(untees) August 1947(unnees sau saintalis)
mein, ek masauda samiti niyukt ki gayi, bharat ka sthayee samvidhan banane ke liye, jiske
adhyaksh, Dr. BR Ambedkar banaye gaye. 26 janvari 1950 ko Dr. Rajendra Prasad ne
government house ke darbaar hall mein bharat ke pehle rashtrapati ke roop mein shapat li
thi.
Dr. BR Ambedkar, Bharateey samvidhan ke janak ke naam se jane jate hain. Ganatantra
divas ke mauke par rajpath par tiranga fahraya jata hai. Phir rashtriya gaan gaaya jata hai
aur 21 taufon ki salami hoti hai. 1957(unnees sau satavan) mein sarkar ne bachhon ke liye
‘rashtriya bahadoori puraskar’ shuru kiya tha. Bahadoori puraskar, 16 saal se kam umra ke
bachhon ko alag alag kshetra mein bahadoori ke liye diya jata hai. Ganatantra divas par
ashok chakra aur kirti chakra jaise mahetvapoorna samman diye jaate hain, aakhir mein,
hamari sena apna shakti pradarshan aur parade march karti hai.
Aur isi ke sath, Aap sabhi logon ko ganatantra divas ki hardik shubhkamnayen.