You are on page 1of 2

ye galiyoñ ke āvāra be-kār kutte

ki baḳhshā gayā jin ko zauq-e-gadā.ī

zamāne kī phaTkār sarmāya in kā

jahāñ bhar kī dhutkār in kī kamā.ī

na ārām shab ko na rāhat savere

ġhalāzat meñ ghar nāliyoñ meñ basere

jo bigḌeñ to ik dūsre ko laḌā do

zarā ek roTī kā TukḌā dikhā do

ye har ek kī Thokareñ khāne vaale

ye fāqoñ se uktā ke mar jaane vaale

ye mazlūm maḳhlūq gar sar uThā.e

to insān sab sar-kashī bhuul jaa.e

ye chāheñ to duniyā ko apnā banā leñ

ye āqāoñ kī haDDiyāñ tak chabā leñ


koī in ko ehsās-e-zillat dilā de

koī in kī soī huī dum hilā de

VIDEOS
THIS VIDEO IS PLAYING FROM YOUTUBE

Unknown

Unknown

SOURCE:
 Book: Nuskha Hai Wafa (Pg. 79)

You might also like