You are on page 1of 3

ye daaġh daaġh ujālā ye shab-gazīda sahar

vo intizār thā jis kā ye vo sahar to nahīñ

ye vo sahar to nahīñ jis kī aarzū le kar

chale the yaar ki mil jā.egī kahīñ na kahīñ

falak ke dasht meñ tāroñ kī āḳhirī manzil

kahīñ to hogā shab-e-sust-mauj kā sāhil

kahīñ to jā ke rukegā safīna-e-ġham dil

javāñ lahū kī pur-asrār shāh-rāhoñ se

chale jo yaar to dāman pe kitne haath paḌe

dayār-e-husn kī be-sabr ḳhvāb-gāhoñ se

pukārtī rahīñ bāheñ badan bulāte rahe

bahut aziiz thī lekin ruḳh-e-sahar kī lagan

bahut qarīñ thā hasīnan-e-nūr kā dāman

subuk subuk thī tamannā dabī dabī thī thakan


sunā hai ho bhī chukā hai firāq-e-zulmat-o-nūr

sunā hai ho bhī chukā hai visāl-e-manzil-o-gām

badal chukā hai bahut ahl-e-dard kā dastūr

nashāt-e-vasl halāl o azāb-e-hijr harām

jigar kī aag nazar kī umañg dil kī jalan

kisī pe chāra-e-hijrāñ kā kuchh asar hī nahīñ

kahāñ se aa.ī nigār-e-sabā kidhar ko ga.ī

abhī charāġh-e-sar-e-rah ko kuchh ḳhabar hī nahīñ

abhī girānī-e-shab meñ kamī nahīñ aa.ī

najāt-e-dīda-o-dil kī ghaḌī nahīñ aa.ī

chale-chalo ki vo manzil abhī nahīñ aa.ī

VIDEOS
THIS VIDEO IS PLAYING FROM YOUTUBE
Zia Mohyeddin

Faiz Ahmad Faiz

RECITATIONS

Shamsur Rahman Faruqi

Faiz Ahmad Faiz


SOURCE:
 Book: Nuskha Hai Wafa (Pg. 116)

You might also like