Professional Documents
Culture Documents
Seerat Un Nabi Quiz
Seerat Un Nabi Quiz
12. Mohammed bin Yousuf ne uss makan ka kya naam rakha tha ?
Ans. 'Baaiza' yaani safed ghar
13. Huzur (s.a.w.s) jis makan me paida huwe woh makan kaha tha ?
Ans. Wo makan makkah me 'safa' ki pahadi ke khareeb tha
15. Huzur (s.a.w.s) ka naam Ahmed rakhne ka hukum kis ko diya gaya tha ?
Ans. Hazrat amena ko diya gaya tha
24. Huzur ki wiladat ke saathwe din Hazrat Abdul mutallib ne kya kiya ?
Ans. Aap (s.a.w.s) ka aqeeqah Kiya
26. Abu lahab ne khushkhabri sun kar apni baandi se kya kaha ?
Ans. Jaa tu azaad hai
30. Huzur (s.a.w.s) apni razai maa ke paas kitne saal rahe ?
Ans. Chaar saal
36. Hajre aswad ko apni jagah rakhne ke silsile me jo jhagda quresh ke darmiyan Raha wo kitne din
Tak Raha ?
Ans. Ye jhagda chaar paanch din tak raha
37. Is jhagde ko khatam karne ke liye ye rayi kisne di ke jo shakhs pehle masjid ke darwaze me
daakhil hoga wahi faisla karega ?
Ans. Ye rayi Abu amiya bin maghairah ki thi
51. Ibrahim ki wafat par Usama bin zaid chikhkar rone lage to huzur (s.a.w.s)ne kya farmaya ?
Ans. Huzur (s.a.w.s)ne farmaya, Rona rehmat se hai or chikhna shaitan se hai
52. Wafaat ke waqt huzur (s.a.w.s) ke farzind Ibrahim ki umar kya thi ?
Ans. Huzur (s.a.w.s)ke farzind Ibrahim ki umar wafaat ke waqt saula(16) mah thi .
53. Jis din huzur (s.a.w.s)ke farzind Ibrahim ki wafat hui ,kya qaas waqiya paish aaya ?
Ans. Us din Suraj grahan ka waqiya paish aaya
54.Huzur (s.a.w.s) ke farzand Ibrahim ki wafat ke waqt Suraj grahan hua to huzur (s.a.w.s)ne kya
farmaya ?
Ans. Huzur (s.a.w.s)ne farmaya, Allah ki nishaniyoun me se do nishaniya Suraj or Chand hai kisi ki
mout se inme grahan nahi lagta
55. Nabuwwat ka zamana jis qadar kharib hota gaya huzur (s.a.w.s)me kounsi aadat badhne lagi ?
Ans. Huzur (s a.w.s)me tanha rehne ki aadat badhne lagi
56. Nabuwwat Milne se pehle huzur (s.a.w.s)Kahan jakar tanha baitha karte the ?
Ans. Ghaar-e-heera jakar tanha baitha karte the
58. Jis waqt nabuwwat ata ki gayi huzur (s.a.w.s) ki umar mubarak kitni thi ?
Ans. Chalees(40) saal thi
60. Jis waqt huzur (s.a.w.s) ko nabuwwat mili us waqt Shamsi taariq kya thi ?
Ans. 12/February/610 thi
64. Pehli wahi ke baad Hazrat Khadija (r.a.)ne huzur (s.a.w.s)ko kin alfaaz me tasalli di?
Ans. Aap rishtedaroun par shafaqat karte hain , sach bolte hai, bewaou , yatimoun or bekasou ki
madad karte hain , mehman nawazi karte hain , Allah aap ko kabhi zaai nahi karega
65.Ghaar-e-heera ke daman me Hazrat jibraell (a.s)ne huzur (s a.w.s)ko lakar kya kiya ?
Ans. Hazrat jibraiil (a.s) ne huzur (s.a.w.s)ke samne khud wazu kiya huzur (s.a.w.s)ne bhi wazu kiya
phir dono ne milkar namaz padhi
67. Pehle hi din huzur (s.a.w.s)ki tabliq se koun koun musalman hue ?
Ans. Hazrat Khadija (r.a),Hazrat Ali (r.a) , Hazrat Abu bakar(r.a)or Hazrat zaid bin haarsa (r.a)
musalman hue
68.Hazrat Abu bakker (r.a)ki koshish se pehle koun koun musalman hue?
Ans. Hazrat Usman e Ghani (r.a), Hazrat zuber (r.a), Hazrat Abdul Rahman bin auff (r.a), Hazrat
Talha (r.a), Hazrat Saad bin wikhas (r.a) musalman hue
70. Huzur (s.a.w.s)aur Hazrat jibraiil (a.s)ne ghaar-e-heera me kis paani se wazu kiya ?
Ans. Hazrat jibraiil (a.s)ne zameen par apna paau maara jisse wahin paani ka ek chashma phoot
gaya iss paani se dono ne wazu kiya
71. Ghaar-e-heera se aakar huzur (s.a.w.s)ne sab se pehle kis ke saamne wazu kiya ?
Ans. Hazrat Khadija (r.a)ke saamne wazu kiya
74. Huzur (s. a.w.s)ko sabse pehle assalamualaikum kehne waale koun hai ?
Ans. Sahabi Hazrat Abuzar ghaffari (r.a)hai
75. Sahaba ekraam (r.a) par ahle Makkah ka zulm hadh se badh gaya to huzur (s.a.w.s)ne sahaba
ekraam (r.a) ko kis baat ki ijazat dii ?
Ans. Hijrat ki ijazat dii
76. Sahaba ekraam (r.a)ne sabse pehli hijrat kis mulk ki taraf ki ?
Ans. Sahaba ekraam (r.a)ne sabse pehli hijrat mulk habsha ki taraf ki
81. Huzur (s.a.w.s)ne habsha ke badshah najashi ko kis san hijri me islaam ki dawat di ?
Ans. 7/san hijri ko maahe rabi-ul-awwal me huzur (s.a.w.s)ne badshah najashi ko islaam ki dawat
di
83. Huzur (s.a.w.s)jab haram me quraan padhte to mushrikeen kis tarah takleef pahonchate the ?
Ans. Mushrikeen aap (s.a.w.s) ko pareshan karte ,taaliyan Peet te or sitiyan bajate the
84. Hazrat Bilal (r.a) ko islaam lane par koun zyada takleefen deta tha ?
Ans. Hazrat Bilal (r.a.)ko islaam lane par ummayya bin Khalf zyada takleefe deta tha
85. Hazrat Bilal (r.a)ko jab takleefe di jati to wo kya kehte the ?
Ans. Hazrat Bilal ( r.a) ko jab takleefe di jati to wo ahad ahad kehte the
92.Hazrat abdul mutallib huzoor (S.A.W.S) ko kis qadar mohabbat karte the?
Ans.Hazrat Abdul mutallib apne tamam farzindau me se zyada huzoor (S.A.W.S) se mohabbat
karte the
93.Hazrat Abdul mutallib ke wafat ke waqt huzoor (s.a.w.s) ki Umar kya thi?
Ans.Aath saal thi
98.Abu Talib ki wafat ke waqt huzoor (s.a.w.s) ki umar shareef kya thi?
Ans.pachaas saal thi
101.Hazrat khadija (R.A)se nikah ke waqt huzoor (s.a.w.s) ki umar shareef kya thi?
Ans.25 saal thi
102. Huzoor (s.a.w.s) se nikah ke waqt hazrat khadija (R.A) ki umar kya thi?
Ans.chalees (40) saal thi
107.Hazrat khadija (R .A) ne kis ke zariye huzoor (s.a.w.s) ki taraf paigham e nikah bheja?
Ans.Hazrat khadija (R.A) ne hazrat nafisa ke zariye huzoor (s.a.w.s) ki taraf paigham e nikah bheja
109.Jis waqt makkah mukaramma me zabardasth sailab aaya huzoor (s.a.w.s) ki umar shareef kya
thi?
Ans.35 saal thi
110.Quresh ne jab Bait ullah ki taamir ki toh kya huzoor (s.a.w.s) ne bhi is taamir me hissah liya?
Ans.Haa Huzoor (s.a.w.s) ne bhi pathar dhone me shirkat ki
111.Quresh ne jab kabaah shareef ki taamir ki toh us waqt jo tahreer mili wo kis zuban me thi?
Ans.suryani zuban me thi
112.Quresh ko kabaah ki taamir ke waqt muqam e Ibrahim par jo tahreer mili is me kya likha hua
tha?
Ans.makkah Allah tala ka muhtram aur muazzam shaher hai is ka rizk teen raastau se is ke pass
aata hai
113.kaaba shareef ke khazane ki hifazat par jo saamp moujud tha woh kitne saal tak us khazane ki
hifazat karta raha?
Ans.paanch sau saal tak yeh saamp is khazane ki hifazat karta raha
114.Hazrat abu talib jab huzoor (s.a.w.s) ko mulk e sham le gaye to us waqt huzoor (s.a.w.s) ki
umar shareef kya thi?
Ans.us waqt huzoor (s.a.w.s) ki umar baara(12) baras ho chuki thi
115.Mulk e sham ke safar ke douran kis mukham par raahib se mulakhat huwi?
Ans.mulk e shaam ke safar ke dauran basrah ke kharib raahib se mulakhat huwi
116.Is raahib ka naam kya tha jis ne huzoor (s.a.w.s) me nabuwwat ke aasar dekhe the?Ans.Is
raahab ka naam "BUHAIRAH" tha jis ne huzoor (s.a.w.s) me nabuwwat ke aasar dekhe the
117. Huzoor (s.a.w.s) jab dusri martaba hazrat khadija (R.A) ka saaman e tijarat le kar mulk e
shaam gaye to kis raahib se mulaqat huwi?
Ans.Is safar me 'NASTURA' naami raahib se mulaqat huwi
118. Huzoor (s.a.w.s) ne jab hazrat khadija (R.A) ka saaman-e- tijarat le kar mulk-e-shaam ka safar
kiya to is waqt aap (S.A.W.S) ke saath koun the?
Ans.Is safar me hazrat khadija (R.A) ke ghulam maiysra huzoor (s.a.w.s)ke saath the
120.hazrat ammar bin yaser (r.a) ko islam laane par kis tarah takleefe di gayi ?
Ans. Hazrate ammar Bin yaser (r.a) ko aag se jala jalakar azziyate pahunchayi gayi
121.Hazrate Ammar bin yaser (r.a) ki takleefau ko dekh kar huzoor (s.a.w.s) ka amal kya raha ?
Ans.Aap (s.a.w.s) ne hazrat ammar (r.a) ke sar par haath phera our farmaya aai aag thandak aur
salamti wali banja jaisa ke tu Ibrahim (a.s) ke liye bangayi thi
125.hazrate summayya (r.a) par neza Markar qatal karne wala koun hai
Ans. Abujahal
126.mushrikau ne huzoor (s.a.w.s) ke khandan ka boycott kiya to woh sab kaha Chale gaye
Ana.Aap (s.a.w.s) our bani hashim ke saara log shoeb abi talib me band hogaye
127. Aap (s.a.w.s) apne khandan ke logau ke saath kitne saal tak shoeb abi talib me rahe
Ans.aap (s.a.w.s) apne khandan ke sath teen saal tak shoeb abi talib me rahe
128.jab hazrath Abu Baker ahl-e-makka ki taklefou se tang aakar makkah jaane lage to kis se aap
ki mulaqat ho yi
Ans.us waqt hazrath Abu Baker ki mulaqat ibn al dagna se huwi
129.ibn al-dagna ne hazrath Abu Baker ko makkah se jaate dekha to kya pucha
Ans.ibn al-dagna ne hazrath Abu Baker (r.a) se pucha ke aap kahan jaarahe
132.hazrath Abu Baker (r.a) ko kis ne panah di jabke aap makkah vaapis aai
Ans.hazrath Abu Baker (r.a) ko ibn-al-dagna ne panah di jabke aap makkah vaapis aai
133.hazrath Abu Baker (r.a) jab apne ghar main quraan-e-masjid ki tilaavat karte to is ka kya asar
hota tha
Ans.hazrath Abu Baker (r.a) ki tilaavat quraan k dauraan zar-va-qataar rone ko dekh kar quresh ki
aurte in ke paas Jamaa ho jaati
134.meraj ke kya maine hain
Ans.meraj ke maine seedhi ke hain yahan vo waqia muraad hai jo pesh aaya
136.hazrath umar (r.a) ne pehle islaam qubool kiya ya hazrath hamza (r.a) ne....?
Ans.hazrath hamza (r.a) ne pehle islaam qubool kiya phir hazrath umar (r.a) ne
139.hazrath omer (r.a) ki behan fatima aur behnoi sayeed bin zaid ko kis ne quraan e masjid ki
taalim di
Ans.In dono ko hazrath qabaab bin al-aarat ne quran e masjid ki taalim di
142.huzoor (saws) ne jis sawari par sawar hokar mehraj ka safar farmaya is ko kya kehte hai
Ans. Is ko burraq kehte hai
145. Meraj ki raat Bait-ul-muqaddas jate huve hazrat jibraell (a.s) ne huzoor (saws) ko jis muqam
par namaz padhne ka hukum diya wo kaunsa muqam tha
Ans. Wo madina tayyaba tha
147. meraj ke waqt huzoor (saws) ke saath kaunse mash hoor farishte the
Ans. Hazrath jibraell aur Hazrath mikaell (a.s) the
150. Jab Tamam ambiya ne namaz ada ki toh Imamat ke liya huzoor (s.a.w.s) ko kis ne aage kiya
Ans. Huzoor (saws) ko hazrat jibraell (a.s) ne aage kiya
151. Huzoor (saws) ne meraj ka waqiya sab se pehle kis ko bayan kiya
Ans. Sab se pehle apni phopi hazrath umme haani se bayan kiya
152. Meraj ka waqiya sun kar umme haani ne huzoor (saws) se kya kaha
Ans. Ye baat logaon se bayan na karo
154. dusre (2) aasman par huzoor (saws) ki mulaqat kis se huvi
Ans. Hazrath eisa (a.s) aur hazrath yahiya (a.s) se huvi
155. teesre (3) aasman par huzoor (saws) ki mulaqat kis se huvi
Ans. Hazrat yousuf (a.s) se huvi
157. panchve (5) aasman par huzoor (saws) ki mulaqat kis se huvi
Ans. Hazrat haroon (a.s) se huvi
158. huzoor (saws) ne hazrat jibraell(a.s) ko apni asli shakal me kahan dekha
Ans. Huzoor (saws) ne hazrat jibraell (a.s) ko apni asli shakal me sidra-tul-muntaha ke paas dekha
159. Sidra-tul-muntaha par huzoor (saws) ne hazrat jibraell (a.s) se bhi aage badhne ko kaha to
inhun ne kya jawab diye
Ans. Hazrat jibraell(a.s) ne kaha mein yahan se aage badha to jal kar rakh ho
jaunga
161. Pachas (50) namazon ki farziyat le kar huzoor (saws) aaye toh chatve (6) aasman par hazrat
musa (a.s) ne kya poocha
Ans. Hazrat musa (a.s) ne huzoor (saws) se poocha ke aap ke rab ne kya farz farmaya
162. Huzoor (saws) ne hazrat moosa (a.s) ke is sawal ka kya jawab diya
Ans. Huzoor (saws) ne farmaya ke pachas (50) namazein Allah ne farz ki hain
164. Kya huzoor (saws) namazon ki kami ki darqast ke liya do-bara gaye
Ans. Haan
166. Hazrat khatija (r.a) ki wafat hijrat se kitne saal pehle huvi
Ans. Hazrat khatija (r.a) ki wafat hijarat se teen (3) saal pehle huvi
167.Hazrat khatija (r.a) ki wafat ke kitne din baad abu-talib ka inteqal huva
Ans. Hazrat khatija (r.a) ki wafat ke 35 ya 55 din ke baad abu-talib ka inteqal huva
168. nabi karim (saws) kis shaher ke sardaron ko davat dene ke liye makkah se baher tashreef le
gaye
Ans. nabi karim (saws) taif ke sardaron ko davat-e- islam dene ke liye taif tashreef le gaye.
170. Huzoor (SAWS) ne sab se pehle taif ke kis qabile ke sardaron se mulaqat ki ?
Ans. "Qabila-e- saqeef" ke sardaron se mulaqat ki
172. Huzoor (SAWS) ne jis bagh me panah li wahan kis ne huzoor (SAWS) ke samne "angoor" pesh
kiye ?
Ans. "Adas" nami shaqs ne huzoor (SAWS) ke samne angoor pesh kiye
173. Huzoor (SAWS) ne jab angoor ki taraf apna haath badhaya toh kya farmaya ?
Ans. "Bismillah" farmaya
174. In do-farishton ne kaha taif ke "qabila-e-bani saqeef" ko do pahadaon ke darmiyan kuchal diya
jaye
177. Taif se nikal kar Huzoor (SAWS) kis ke bagh ki deewar ki side me baith gaye?
Ans. " Utba ,sheeba, aur rabia"ke ladkon ke bagh ki dewar ki side me baith gaye
179. qazraj ke che (6) admiyon ne huzoor (saws) se kis muqam par mulaqat ki
Ans. Aqba" nami muqam par mulaqat ki
180. qazraj ke in che (6) admiyon ke naam kya hain jinhone aap (saws) se aqba me mulaqat ki ?
Ans. Abu-amama asad -bin zararah ,aouf bin al-hars, rafay-bin malik qatba-bin amir, aqba-bin amir,
jabir-bin abdullah
181. Qazraj ke wo che (6) admi jinhune ne aqba me huzoor (saws) se mulaqat ki wo madine me
kahan rehte the ?
Ans. ''yahood "ke pados me rahte the
182. Qazraj ke ye che (6) admi kya islam ki daulat se sarfaraz hogaye
Ans. Ji-haan ! (che) 6 admiyon ne huzoor (saws) ki risalat ki tasdeeq ki aur imaan le aaye
183. Qazraj ke ye che (6) aadmiyon ne aqba me aap (saws) ke haath jo bait ki is ka naam kya hai
Ans. Is bait ka naam bait-aqba" hai
185. Bait aqba ke doosre saal madina ke kitne log makkah tashreef laye
Ans. Madina ke 12 buzurg makkah tashreef laye
190. hazrat ibne-umme kulsum aur hazrat museb-bin umair (r.a) madina pahunch kar kis ke makan
par utre ?
Ans. "asad-bin zararah '' ke makan par utre
191. Hazrat museb-Bin umair (r.a) ki koshish se madine me kya ''aasrat "murattib huwe
Ans hazrat museb-bin umair (r.a) ki koshish se ansaar ki ek badi jamat "islam" me dakhil hogayi
192. hazrat museb-bin umair (r.a) ne madine me saal bhar qayam ke baad kya kiya ?
Ans .Hazrat museb-Bin umair (r.a) ek saal ke qayam ke baad Hajj karne ki gharz se madine ke un
logon ko jo imaan la chuke the apne humrah lekar makkah tashreef laye
193. museb-bin umair (r.a) ne ansaar ki jamat ke saath huzoor (saws) se kab aur kahan mulaqat ki
?
Ans. museb-bin umair (r.a) ne ansaar ki jamat ke saath "ayam tashreeq" me aqba ke khareeb
huzoor (saws) se mulaqat ki
194. Museb-bin umair (r.a) ke saath aye huve ansaar se huzoor (saws) ne jo bait ki us ka naam kya
hai
Ans. "bait aqba sani" hai
195. museb-bin umair (r.a) ke sath aye huve ansar me islam lane me kis ne sabqat ki ?
Ans. Hazrat bara--bin maroor (r.a) "ne sabqat ki
196. Bait aqba sani me madine ke kitne log the jinhune islam qubool kiya
Ans. 73 mardaon aur auratoon ne islam qubool kiya
197. bait aqba sani me huzoor (saws) ne kitne logon ko naqeeb-muntaqib kiya ?
Ans. bait aqba sani me huzoor (saws) ne 12 naqeeb-muntaqib farmaye
199. huzoor (saws) ne in 12 naqeebon se kya farmaya jin ko bait aqba sani me muntaqib farmaya
Ans. huzoor (saws) ne farmaya tum log apni qaom ki talim ke zimmedar ho jaisa hazrat eisa (a.s)
ke hawari zimmedar the
200. Kya aap un 12 naqeebaun ke naam batla sakte hain jin ko huzoor (saws) ne bait aqba sani
mein muntaqib farmaya ?
Ans. Haan ! wo 12 naqeeb ye hain-1.asad-bin zararah,2. raafay bin malik, 3.Abdullah-bin rawaha,
4.ubada bin saamat ,5.saad bin rabiy,6 brai-bin maroor 7. abu-jabir Abdullah,8. saad-bin ibadah
9.munzar-bin amru 10. aseed-bin hazer, 11. saad-bin qashmia; 12.rafa-a bin almunzer
201. abutalab ki ghati me jab musalman zindagi basar kar rahe rahe the us waqt wo kaunse sahabi
paida huve jo aage chal kar mash hoor muffassir ban gaye ?
Ans. Us zamane me hazrath Abdullah-bin abbas (r.a.) paida huve
202. quresh ne musalmanau ke boycott ka jo half nama " kaba-tullah " me latkaya tha us ko kis ne
chat liya tha ?
Ans. us halfname ko" dimak ne chat liya tha
203. halfname ko dimak ne chat liya tha us ki ittella huzoor (saws) ko kis ne di
Ans. 'allah" taala ne di.
205. huzoor (saws) ke paas najran ke jo log aaye the kya wo eisae the ?
Ans. haan !
207. najran se jo vafad makkah aya tha us vafad me kitne admi the ?
Ans. 20 aadmi the
208. najran se aaye vafad ne huzoor (saws) se kis muqam par mulaqat ki ?
Ans. "Haram" me mulaqat ki
209. najran se aai howe wafad ko huzoor (s.a.w.s) ne kis baat ki dawaat di
Ans. Aap (s.a.w.s) ne islam ki dawaat di
210. kya najran aai huwe wafad ne huzoor (s.a.w.s) ke dast mubarak par islam qubool kiya
Ans. Haan !
211. jis waqat Abu talib (r.a) aur hazrat khadeeja ka inteqal huwa nabuwwat ka wo kounsa saal tha
?
Ans. yeh nabuwwat ka (daswa) saal tha
212. hazrat khadeeja shaadi ke baad kitne saal tak zinda rahe ?
Ans. 25 saal tak
214. hazrat khadeeja (r.a)ki wafat ke baad huzoor (s.a.w.s) ne kis se nikah farmaya?
Ans. hazrat sauda(r.a)se
215. huzoor (s.a.w.s) ne hazrat ayesha se nikah ka paigham kiske zariye bheja ?
Ans. hazrat khoula (r.a) ke zariye bheja
216. hazrat ayesha (r.a) ki walida muhtaramma ka naam kya hai ?
Ans. Umme-romaan hai.
218. Nasiben ke saat jinau ki jamaat pyare nabi (s.a.w.s) se kis muqaam par mulakhat ki ?
Ans. Nakhla ke muqaam par
222. Aap (s.a.w.s) quraan-e-masjid ki kounsi surat tilawat farma rahe the
Ans. surah jinn ki tilawat farma rahe the jabke jinau ki jamaat ka wahan se guzar huwa.
223. pyare nabi (s.a.w.s) ki zuban mubarak se tilawat-e-quran sunkar jinau par kya asar huwa ?
Ans. jinnat musalman ho gaye
225. nabuwwat milne ke baad aap (s.a.w.) makkah me kitna saal muqeem rahe ?
Ans. 13 saal.
226. aap (s.a.w.s) ke sahaba me makkah se sabse pehle madinah koun aai
Ans. Abu salma bin Abdullah (r.a) aai
227. Abu salama bin Abdullah (r.a) ke baad makkah se madinah kisne hijrat ki
Ans. amir bin rabiya)(r.a) pahunche
228. Jab Tamam sahaba ne makkah se madine ki taraf hijrat ki to akhir me sirf koun baakhi rah
gaye the
Ans. hazrat abubkar aur hazrat ali (r.a)
229. jab tamam sahaba ne hajrat ki to ahle makkah huzoor (s.a.w.s.) ke baare mashware ke liye
kaha jama huwe ?
Ans. Darul-nadwa me
236.hazrat jibraell(a.s) (a.s) ki ittela par aap (s.a.w.s) kis sahabi ke paas gaye ?
Ans. Hazrat abubaker siddiq (r.a) ke paas gaye
238. hijrat ki ittela par hazrat abubakar (r.a) ne huzoor (s.a.w.s) se kya pucha ?
Ans. Hazrat abubakar (r.a) ne pucha ke kya mai bhi aap (s.a.w.s) ke saath rahunga
240. hijrat ki raat Aap (s.a.w.s) ne apne bistar par kisko sone ka hukum diya
Ans. Hazrat ali (r.a) ko
241. Hazrat ali (r.a)ne hijrat ki raat kounsi chadar oudhi thi
Ans. surkh hazrami chadar oudhi thi.
242. hazrat abubaker (r.a) ne hijrat ke liye kitni sawariya kharidi thi ?
Ans. Do untniya khareedi thi
243.hazrat abubakar siddiq (r.a) ne jo do untniya khareedi thi uski qeemat kya thi ?
Ans. Aath sau (800) dirham thi.
245. tamam sahaba ekram ki madine ki taraf hijrat ki kaifiyat kya thi
Ans. Tamam sahaba ekram madinah ki taraf hijrat chup chup kar aur khamoshi se huwi
246. hazrat Omer (r.a) hijrat se pehle kahan gaye aur kya amal kiya ?
Ans. hazrat omer (r.a) hijrat se pehle Bait-ullah jaakar khaan-e-kaaba ka tawaf kiya our muqaam-e-
ibrahim par 2 rakhat namaz ada ki
247. sahaba ekram ke hijrat ke aaghaz aur Huzoor(saws) ki hijrat ke darmiyan kitni muddat guzri
Ans. Dhai (2.5) maah guzri
249. quresh ka Darul nadwa jo qasi bin kalaab ka makaan tha isko baad me kisne khareeda ?
Ans. is makaan ko hazrat ameer-maviya (r.a)ne khareeda tha
252. hazrat ali (r.a) ko apne bistar par sone ka hukum dete huwe aap (s.a.w.s) ne kya tasalli di
Ans. Aap (s.a.w.s) ne farmaya ke tumhare saath koi nagaawar hadsa pesh nahi aayega
253 hijrat ki raat apne makan se nikalte huwe huzoor(s.a.w.s) ne kis surat ki ayate tilawat ki thi ?
Ans. surah-yaseen ki ibtedai ayatau ki tilawat ki thi
256. huzoor (s.a.w.s) ki hijrat ka waqiya kis shamsi tareekh ko pesh aya ?
Ans. yeh waqiya 12 September 612 san eiswi ko pesh ayaa.
257. hijrat ke waqt kisne apna kamar band kaat kar sattuao ke thaile ka mu baandha ?
Ans. hazrat abubakar siddiq (r.a) ki beti hazrat asma (r.a) ne baandha
260. hijrat ke dauran thokar lagne se huzoor (s.a.w.s) ko takleef Ho rahi thi to kisne aap (s.a.w.s) ko
kandhau par bithaliya
Ans. Hazrat abubaker siddiq (r.a) ne
263.mushrikeen_e_makkah ko jab aap (s.a.w.s) ke ghar se nikal jaane ki ittela mili to woh seedhe
kiske makan par gaye ?
Ans. hazrat abubaker(r.a) ke
264. hazrat abubakar (r.a) ka darwaza khat khataya to koun baher nikle ?
Ans. hazrat abubakar (r.a) ki badi beti hazrat asma (r.a) nikle
265. Hazrat asma (r.a)se yeh baat kisne puchi ki tera baap kidhar hai ?
Ans. abujahal ne.
268. hazrat abubaker (r.a) hijrat ke waqt kitni raqam apne saath le gaye the?
Ans. Hazrat asma (r.a) farmati hai ke mere waalid jaate huwe saari nakhd raqam le gaye the yeh (5)
paanch ya (6) cheh hazaar dirham thi
269. huzoor (s.a.w.s) aur hazrat abubakar (r.a) kitne din tak ghaar-e-soor me rahe ?
Ans. Teen din
270 ghaar-e-soor me khayam ke dauraan koun raat ki taariki me roti de jaati thi ?
Ans. hazrat asma (r.a)
271. ghaar-e-soor me khayam ke dauran makkah walao ke halaat koun sunate the ?
Ans. Hazrat abubaker (r.a) ke bete hazrat abdullah (r.a) sunate the
272. ghaar-e-soor me khayam ke dauran koun bakriyao ka rewad laate aur doodh ka intezam karte
the ?
Ans. hazrat amer bin faheera (r.a)
274. huzoor (s.a.w).s aur hazrat abubakar (r.a) ne ghaar-e-soor ka safar kis tarah kiya ?
Ans. paidal kiya
275.hijrat ke liye kharidi gayi do untniya ghaar-e-soor tak kitne din baad pahunchi ?
Ans. chauthi shab ko pahunchi.
277. ghaar-e-soor ke raaste par jaale ko dekh kar dushmanau ne kya kaha ?
Ans. dushmanau ne kahaa ke is par to muhammed (s.a.w.s) ki paidayesh se pehle ki makhdi hai
278. allah taala ne kisko hukum diya tha ke wo ghaar ke muh par baith jaae ?
Ans. do junglee kabutarau ko
279. ghaar-e-soor ke khayam ke dauran allah taala ne darakht ko kya hukum diya ?
Ans. hazrat anas bin malik farmate hai ke allah taala ne darakht ko hukum diya ke wo huzoor
(s.a.w.s) ke khareeb ugjaye
280. hazrat asma (r.a) zaatun nathikheen kyu kaha jaata hai ?
Ans. isliya ke hazrat asma (r.a) ne apni kamar band ke 2 tukde kiye ek tukde se thaile ka mu band
kiya aur dusre tukde se mishkize ka mu bandha
281. huzoor(s.a.w.s) ne hijrat ke waqt 'kaabe' par nigah jamakar kya farmaya ?
Ans. aap (s.a.w.s) ne farmaya Ke makkah to mujhko tamam duniya se azeez hai lekin tere farzind
mujhko rehna nahi dete.
282.Huzoor (S.A.W.S) ke husn-o-jamal ke baare me hazrat jaber (R.A) ne kya Kaha tha?
Ans. Hazrat jaber (R.A) ne farmaya tha huzoor (S.A.W.S) chand se kayi zyada haseen-o-jameel or
munawwar hai
284. Huzoor (S.A.W.S) jab guftagu farmate to kya cheez zaher hoti thi?
Ans. Hazrat ibne Abbas (R.A) farmate hai ki huzoor (S.A.W.S) jab guftagu farmate to ek noor sa
zaher hota tha jo daantau ke darmiyan se nikalta tha.
285.Kya huzoor (S.A.W.S) ne sar mubarak par tail (oil) lagaya karte the?
And. Hazrat anas(R.A) farmate hai ke huzoor (S. A.W.S) apne sar mubarak par aksar tail (oil) ka
istemal farmate the.
286. Kya huzoor (S.A.W.S) apni daadi mubarak me kangi kya karte the?
Ans. Haan
288. Huzoor (S.A.W.S) se Kis ne yeh sawal kiya tha ke aye allah ke rasul aap budhe ho gaye?
Ans. Yeh sawal huzoor (S.A.W.S) se hazrat Abu bakkar siddiq (R.A) ne kiya tha.
289.Huzoor (S.A.W.S) ne hazrat Abu baker (R.A) ke is sawal ka kiya jawab diya ke aap budhe ho
gaye?
Ans. Huzoor (S.A.W.S) ne farmaya mujhe Surah hood, Surah waqiya, Surah mursalat, wagaira ne
budha banadiya
296. Huzoor (S.A.W.S) ne kis rang ke kapdau ko behtreen libaas qarar diya?
Ans. Safed rang ke kapdau ko.
306. Aap (S.A.W.S) ki wafat ke baad aap ki angothi Kis ke pass rahi?
Ans. Hazrat abbubakar siddiq (R.A) Ke pass rahi.
307.Hazrat abbubakar (R.A) ke baad huzoor (S.A.W.S) ki angothi kis Ke pass rahi?
Ans. Hazrat umar farooq (R.A) ke pass.
309. Huzoor (S.A.W.S) ki angothi kis zamane me kunwe me gir gaye thi?
Ans. Hazrat Osman (R.A) ke zamane me.
312. Fateh makkah Ke mauqe par huzoor (S.A.W.S) ke pass kounse talwar thi?
Ans. Zulfiqar nami talwar thi.
314. Fateh makkah ke din huzoor (S.A.W.S) ke sar mubarak par kya thi?
Ans. Lohe ki topi thi.
315. Fateh makkah ke mauqe par Aap (S.A.W.S) ke sar mubarak par Kis rang ka amaama tha?
Ans. Siyah rang ka.
316. Wafat ke waqt huzoor (S.A.W.S) ke Jism mubarak par kounsa libaas tha?
Ans. Hazrat Ayesha (R.A) farmati hai ke aap (S.A.W.S) ke Jism mubarak par pewand lagi huwi
chadar aur ek mooti lungi thi.
319. Huzoor (S.A.W.S) aur aapke ghar waalaon ke fakhr 'o' faaqa ke baare me aap kya jante hai?
Ans. Aap (S.A.W.S) ke gharwale Kai kai roz musalsal bhooke guzar dete the.
320. Huzoor (S.A.W.S) ki aksar 'o' beshtar kya 'Giza' hoti thi?
Ans. 'Jau ' ki roti hoti thi.
332.Huzoor (saw)ne Hazrat Sofia Raziyallahu taa'la anhu ka valima kis cheez se farmaya tha?
Ans.Huzoor (saw)ne Hazrat Sofia Raziyallahu taa'la anhu ka valima khajoor aur satau( )ﺳﺘﻮse
farmaya tha.
334.Haandi aur pyaale ke bache huwe khane ke baare me hazrat Ana's raziyallahu taa'la anhu ne
kya farmaya?
Ans.Hazrat Ana's raziyallahu taa'la anhu ne farmaya ke Huzoor(saw)ko haandi aur pyaale ka bacha
hua khana marghoob tha.
335.Huzoor (saw) ne khane se pehle Bismillah padhna bhool jane par kya padhne ka hukm diya
hai?
Ans.Huzoor (saw) ne farmaya ke khane k dauran jis waqt yaad aye Bismillahu awwalahu
waa'khirah padh lena chahiye.
336. Huzoor (saw)ne Hazrat omer bin abi salma raziyallahu taa'la anhu ko khane ke dauran kya
nasihat farmayi?
Ans farmaya beta! khareeb hojao aur Bismillah kahkar daaye haath se apne khareeb se khana
shuru karo.
337.huzoor(saw)jab khane se farigh hote to kya dua padhte the ?
Ans.Huzoor (saw) ye dua padhte "Alhamdulillahillazi ataamana wasakhana waja alna minal
muslimeen."
338.Huzoor (saw) ke samne se jab dastarkhaan uthaya jata to aap (saw)kya dua padhte the?
Ans.Huzoor (saw)ye dua padhte the ... "Alhamdu lillahi Hamdan kaseeran tayyiban mubarakan
feehi gaira mudayien walamustagni anhu rabbana."
341.Huzoor (saw)jab Mausam ka naya phal dekhte tu kya dua farmate the ?
Ans.Huzoor (saw)ye dua padhte they "allahumma bariklana fi samareena
Wabarik Lana fi mudinatina wabarik Lana fi saayina wafi mudina."
342.Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko peene ki cheezaun me kaisi cheez zyaada marghoob thi?
Ans. Huzoor (saw) ko peene ki cheezaun me meethi aur thandi cheez marghoob thi.
352.Huzoor (saw )ki Hasi ke baare me Hazrat Jaber (R.A)ne kya farmaya?
Ans.Hazrat jaber(R.A).ne farmaya ke Huzoor (saws ) ka hasna sirf tabassum hota tha
355.jab sahaba (RA)ne Huzoor (saw)se ye pucha ke kya aap hum se mazak bhi farma lete hai?
Ans.Huzoor (saw) ne farmaya magar mai kabhi galat baat nahi kehta.
356.Huzoor (saw)ne kis sahabi se farmaya ke wo hamara jungle hai aur hum iske shaher hai?
Ans.Huzoor (saw)ne Hazrat zaher (R.A)se farmaya ke zaher hamara jungle hai aur hum iske shaher
hai
357.Huzoor (saws)ne hazrat zaher (R.A)se kyu farmaya ke zaher hamare jungle hai our hum is ke
shaher hai ?
Ans.isliya ke hazrat zaher (R.A) jungle ki sabzi tarkari hadiye me le aate the aur huzoor (saws) unhe
khane peene ke shaheri saaman ataa farmate the
359.Kya huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne chhoti tashteriyun me khana tanawul farmaya?
Ans.Nahi Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne chhoti tashteriyun me kabhi khana tanawul nahi
farmaya.
360.huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke khane k baare me hazrat Ayesha raziyallahu taa'la anhu
ne kya farmaya?
Ans.Hazrat Ayesha raziyallahu taa'la anhu ne farmaya ke huzoor sallallahu alaihi wa sallam ko
kabhi ek din me do martaba gosht ya roti se pait bharne ki naubat nahi ati.
361.Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne kis cheez k baare me ye farmaya ke ye kaisa achcha
salan hai?
Ans.Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne sirka ke baare me farmaya ke sirka bhi kaisa achcha
salan hai.
363.Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne kis tail k baare me farmaya k isko khane me aur maalish
me istemaal karo?
Ans.Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne zaitun ke tail ke baare me farmaya ke isko khane me bhi
istemaal karo aur maalish me bhi.
364.Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne kis daraqt ke baare me farmaya ke wo ba barkat hai?
Ans.Huzoor (saws) ne zaitun ke daraqt k baare me farmaya ke ye ba barkat hai.
368.Huzoor (saws) ne kis cheez k baare me ye farmaya ke jis ghar me wo cheez ho wo ghar salan
se khali nahi?
Ans.Huzoor (saws)ne sirke k baare me farmaya ke jis ghar me sirka ho wo ghar salan se khali nahi.
370. Huzoor(saws) ki kasrat ibadat ka asar khadam Mubarak par kis tarah hota tha ?
Ans .Huzoor (saws) ki kasrat ibadat se aap sallallahu alaihi vasallam ke pairon per varam a jata tha
371. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke nikaah mein aane wali azwaj e muttheraat ke Naam
batlaiye ?
Ans 1..Hazrat khatija razi Allah tala Anha (2) Hazrat Sauda razi Allah tala Anha (3) Hazrat Ayesha
razi Allah tala Anha (4) Hazrat Salmaa razi Allah tala Anha (5) Hazrat hafsa razi Allah tala Anha (6)
Hazrat Zainab Binte hajash razi Allah tala Anha (7) Hazrat juveriya razi Allah tala Anha (8) Hazrat
Ume habiba razi Allah tala Anha (9) Hazrat Safiya razi Allah tala Anha (10) Hazrat Mamuna razi
Allah tala Anha (11) Hazrat zainab Binte khuzema (r.a)
372. Woh kaun si aurte hai jinko Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne paigam nikah to Diya Magar
nikaah nahin farmaya? Ans-Aisi panch auraten Hain jinko paigam nikah to Diya Magar inse Nikah
nahin farmaya (1)Umme Haani 2.saba bint Amer (3) Safiya bint e bashsma(4)umm e Habiba Bint
abas(5)jamra bint haris
373. Huzoor sallallahu alayhi wasallam ke nikaah mein bekwaqt kitni biwiyan rahi hai ? Ans.Huzoor
sallallahu alaihi wasallam ke Nikah me bekwaqt 11 biwiyan Rahi hai
374.. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki Hayat mein kitni biviyaon ka inteqal hua ?
Ans.Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki Hayat mein do biwiyon ka inteqal hua Hazrat khatija razi
Allah tala Anha aur Hazrat Zainab bint khuzema razi Allah tala Anha
375 . ummul momineen Hazrat khatija razi Allah tala Anha ke Walid ka naam kya tha ? Ans.Ummul
l mominen Hazrat khatija razi Allah tala Anha ke Walid ka naam Khwaled tha
376. ummul mominin Hazrat khatija razi Allah tala Anha ke Walid kon the ?
Ans.ummul mominin Hazrat khatija razi Allah tala Anha ke Walid Arab ke mash hoor Tajir aur
quresh mein muaziz shaqsiyat the
377. Huzoor sallallahu alaihi wasallam se nikaah ke waqt Hazrat Khatija razi Allah tala Anha ke
Kaun zimmedar the ?
Ans.Hazrat khatija razi Allah tala Anha ke chacha omer bint Asad zimmedar the
378. Huzoor sallallahu alayhi wasallam se nikah ke waqt Hazrat khatija Razi Allah tala Anha ki
Umar kya thi ?
Ans.Huzoor sallallahu alaihi wasallam se nikaah ke waqt Hazrat khatija razi Allah tala Anha ki umar
40saal thi
379 . Hazrat Khatija Razi Allah Hu tala anha se Nikah ke waqt Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke
Umar kitni thi?
Ans. Hazrat Khadija Razi Allah Hu tala anha se nikaah ke waqt huzoor sallallahu alaihi wasallam ke
Umar 25 sal thi
380. Hazrat Khatija Razi Allahhu tala anha ka dusra nikaah kisse hua tha ?
Ans.Hazrat Khatija Razi Allah Hu tala Anha ka dusra nikah abbu hala hind sey howa tha
381. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne pehla nikaah kisse farmaya? Ans.Huzoor sallallahu alaihi
wasallam ne pehla nikaah Hazrat Khatija Razi Allah Hu tala anha sey farmaya
382 .Hazrat Khatija Razi Allahhu tala Anha ka woh kaun sa lakhab hai jo zamane jahiliyat mein bhi
tha aur Islam mein bhi ?
Ans.Hazrat Khatija Razi Allah tala anha ka wo lakab 'taherah 'hai jo zamane jahiliyat mein bhi tha
aur Islam mein bhi
383.Hazrath khatija Razi Allahhu taa'la anhu ka pehla nikaah kisse huwa tha?
Ans. Ateeq Bin aid makhzoomi se huwa tha
384.Hazrat khatija Razi Allahhu taa'la anhu ka teesra nikah kis se huwa ?
Ans.Hamare Nabi (saws)
Se huwa
385. Hazrat khatija Razi Allahhu taa'la anhu Huzoor (saws) ke saath kitne saal rahe ?
Ans. (24) saal (6) maah rahe
'/