You are on page 1of 2

Kisi shehr main ek lakkad harada nihayat muflis aur madaar rehta tha.

Woh musibat zayda


har roze jungle se lakdiyan kant kar lata aur farokht karke ba mushkil apna aur apne baccho
ka pet pagal ta tha. Iflaas se tang aakar ek din isne apni biwi se kaha ke barayae rozgaar
bahar jata hoon ajeeb nahi ke parwardigaar-e-aalam reham farmate aur humari musibat
door ho. Yeh kehkar lakkad hara talaash-e- maash mainn ghar se nikal khada hua aur ek
dusre shehar ja pucha,magar waha bhi taqdeer ne saath na diya. Aur waha bhi yahi kaam
karne par mjboor ho gaya air yeh silsila barah baras? tak raha. Lekin fikar o pareshani aur
muflisi ne saath na choda. Issliye naa to isne apne baal baccho ko kuch bhej saka na inkii
khabr li.
Lakkad hare ki biwi ne khawaind ke chale jane ke baad kuch dino to kisi na kisi tarah guzar
kiya magar jab faakho ki naubat aagayi to majboor hokar is bichari ne wazir ke mehal main
jabroob kashi ki naukari karli aur apne baccho ka pet Pauline lagi. Ek shab lakkad harran ne
khwab main dekha ke mai wazir ke ghar main jhaado de rahi hoo. Ke itne main
Maula-e-Kainaat Hazrat Imam Jafar-e-Sadiq (a.s) main chand ashaab sehen khane main
tashreef laaye phir apne ashaab ko muttawajjo hokar farmaya ke malum hai aaj kaunse
tareef aur konsa mahina hai? Ashaab ne nehayyat adaab se arz kiya. Maula aaj shabe
bawais 22 rajabul murajab hai. Tab Hazrat ne apni zabaan maujiza bayan se peshaad
farmaya.agar koi kisi mushkil main ghira ho ya kisi aur pareshani main mubtila ho was sadqe
dil sawa ser maide ki puriyaan agar istetaat ho to sheeri pooriya pakakar doo kundo main
rakh kar humare naam ki nazar niyaaz bawis rajabul murajab ba waqt namaz subha dilwalar
Allah talat ki bargaah main humare waaaste se apni hajat talab kare. InshaAllahtala muraad
zaroor puri hogi. Itne main lakkad haran ki aank khul gayi. Itne main waqt isne wa sadqe dil
nazar dene ki niyar ki aur hasee hishhaad Imam aali makham nazar pesh ki. Ab zara idhar
lakkad hare ka haal suniye.
Yaha to bawais rajabul murajab ba waqt subha yeh lakkad harran nazar-e-Imam dila rahi thi.
Aur waha lakkad hara daraqt par chada hua ladki kaat raha tha ke achanak uske haal se
kulhaadi chutt kar zameen par gir. Usnay daraqt se utarkar kulhaadi uthane kaha to isse
zameen main koi seh dafn hone ka sabab Hua. toh usnay phir jagah ko khoda to bohot bada
khazaana dikayi diya. Thoda maal lekar us waqt to band kar diya, magar thoda thoda karke
kuch arse main dafina ka ek bada hissa nikal liya aur phir saman e safar tayyar karke bade
kar o far ke saath aazamain watan Hua.
Ghar pauchkar apne aur baal baccho ke liye ek aalishaan makaan an banwaya. Biwi baccho
ke aaram o aasaish ke saman mohiya kiye aur zindagi nehaayat aasudagi se basar karne
laga. Ek roze lakkad harran ne apne khawind se nazar e Imam (a.s) ki saari sar gazisht
bayan ki. Jab isne mahina aur tareef bataya to wahi mahina aur wahi tareef thi Jab lakkad
hare ki dafina mila tha. Chunache yeh sunkar lakkad hara bada muttasir hua aur sadqe dil
se Iman laya aur yeh nazr tareq mukkar-rara par barabar dilata raha.
Ek dafa wazir ki biwi apne balakhane par chadhi isko kuch door par ek aalishaan makan
nazar aaya saath hi kaneez bhi thi. Isne ek kaneez se is makan ki taraf ishaara karte hue
pucha yeh kiska makan hai? Kaneez ne jawab main bataya is lakkad harran ka makan hai jo
kai saal peshtar huzoor ke yaha jhadoo dene par mulazim thi. Yeh sunkar wazir ki biwi ne
lakkad harran ko bulwa kar mufassil halat dariyaaft kiye. Lakkad harran ne sara haal bayan
kar kiya jismain apne khwab aur kundo ki nazar-e-Imam(a.s) bhi tha. Wazir ki biwi ko kuch
bhi yakeen na Hua. balke dil main yeh khayal aaya ki yeh sab jhoot hai uske shauhar ne
kahi choriya rehzani ki hai jiski badaulat maaldaar ho jayi hai yeh mujse chupati hai. Wazir ki
begum ka yeh khayal fassid dil main aana tha ke uske shauhar naamdaar wazir e aazam
par musibat na-gahani aagayi. Badshaah waqt nayab wazir iska dushman tha usne mauka
paa kar badshaah se iski chugli kardi ke wazir e aazam kha-ain hai. Isne shahi khazaane
main khayant ki hai. Jahapana isse talab farmaye. Chunache badsha na usi waqt wazir e
aazam ko bulakar hisab talab kiya, to woh sahi hisaab na de saka. Badshaah ghazabnaak
ho gaya aur wazir e aazam ka sara naal aur azbaad zapt karke isko aur iski biwi dono ko
nikal bahar kiya. Woh dono mehal se nikal kar chaldiye. Chalte chalte asna e raah
kharbooza kahrid kar rumal main bandhliye ki kahi baithe kar khayenge.
Jus roza wazir e aazam par ataab aya tha etefaaq se isi din subha ko sehzaada shikar ko
gaya tha aur shaam tak wapas na aaya tha. Badesha parehaan hua wahi nayab wazir jiski
wajah se wazir e aazam nikala agaya badsha se bola mujse aisa malum hoga hai ke
mazool wazir e aazam bewajah dushmani mauka paakar shehzade ko nuksaan na
pohchadiya ho. Yeh sunkar badesha ne wazir e aazam ko gireftaari ka hukm diya sipahi kar
taraf daud gaye aur gireftaar karke badeshaah ke samne pesh kar diya us waqt tak unhone
kharbooza khaya nahi tha usi tarha roomal main banda hua tha.
Badesha ne dariyaft kiya ke rumal main kiya hai? Maatub wazir e aazam ne jawab diya
kharbooza hai, rumal khola toh ismain shehzade ka sar nazar aaya . Badsha apne bete ka
sar dekh kar behad ghazabnaak Hua aur hukm diya inne raat bhar qaid main rakho. Subha
inko qatl kardena.
Maatub wazir e aazam aur iski biwi dono qaid khane main band kar diye gaye. Wazir e
aazam maatuba ne biwi se pucha yeh baat samaj main nahi aati ke ham par yeh nagahani
musibat kaise aayi. Kaunsa aisa gunha sar zad ho gaya jiski saza bhughatni badh gayi. Kafi
gaur o khaus ke baad biwi ne kaha mera khayal hai lakkad harran ne nazar aur hukm
Imam-e-Jafar-Sadiq (a.s) ke dafine ke mutaliq tafseel bayan kiya tha. Maine is par kateiye
yakeen na kiya aur jhoot par magmool kiya. Maatub wazir e aazam ne jawab main kaha isse
badhkar aur kya gunha hoga. Tumne hazart e Imam-Jafar-e-Sadiq (a.s) ke qaul o hukm ko
jhutlaya, tauba karo aur maafi maango. Imam aali maqam ka farmana durust hai. Algarz
dono raat bhar girya o zaari aur apne gunaho ki maafi mangte rahe. Khulus dil se nazar e
Imam (a.s) ki mannat maani, Allah talat ne tauba qubool karli. A lal subha shehzaada shikar
se wapas aaya aur badsha ki khidmat main hazir Hua, badesha ne bete ko seene se laga
liya phir wapisi ki taqeer ka sabab dariyaft kiya shehzaade ne arz kiya huzoor shikar main
badi der ho chuki thi lihaza ek baag main tehar gaya tha.
Iske baad dono qaidiyo (maatub wazir e aazam aur iski biwi) ko talab kiya phir rumal khulwa
kar dekha to woh kharbooza tha, badesha waqt mutajib hua aur wazir e aazam se dariyaft
kiya ke yeh kya mamla hai, maatub wazir e aazam ne jo waqiya apni biwi se suna tha
nihayat tafseel se bayan kiya, phir badesha ne lakadhara aur iski biwi ko bulakar pooch
bhooj ki, unhone bhi awal se aakir tak bayan kar diya yeh sun kar badeshaab bhi ha sadqe
dil Iman le aaya aur maatub wazir e aazam ko bahaal karke doobara uske ahoday par usko
faaiz kiya, aur chugalkhor wazir ki maatub karke shehar basar kardiya. Salwaat.

You might also like