You are on page 1of 4

Tu Hai Kahan Lyrics

Ki Jab Main Hadd Se Aage


Badh Gaya Tha Aashiqui Mein
Yaani Zindagi Ko Le Raha
Mazaak Hi Mein

Phir Mazak Hi Mein


Mil Gaya Sab Khaak Hi Mein
Chhu Kar Aaya Manzilein Toh
Tanha Tha Main Wapsi Mein

Jaise Phool Tode Honge


Tumne Jholi Bhar Ke
Main Woh Phool Jo Ke
Reh Gaya Tha Shakh Hi Mein

Jaise Khwaab Hi Main


Khwabgah Ankh Hi Mein
Pal Se Pal Mein Kya Hua Tum
Reh Gaye Bas Yaad Hi Mein

Ek Sawaal Machalta Hai


Mere Dil Mein Kabhi
Tujhe Main Bhool Jaaun
Ya Tujhe Main Yaad Karun

Tujhi Ko Soch Ke Likhta Hoon


Jo Bhi Likhta Hoon
Ab Likh Raha Hoon Toh
Phir Kyun Na Ek Sawaal Karun

Main Iss Sawaal Se Gham Ko


Badal Doon Khushiyon Mein
Par In Be-Jaan Si Khushiyon Se
Kya Kamaal Karun

Par Ab Sawaal Bhi Kamaal


Tu Sambhal Le Filhaal
Yeh Zawaal Bicha Jaal Kya
Main Chaal Chalun

Chaal Chal Tu Apni


Main Tujhe Pehchan Luga
Main Apni Mehfilon Mein
Sirf Tera Hi Naam Looga
Tujhe Pasand Hai Dheema Lehja
Aur Bas Khamoshiyan
Main Tere Khaatir Apni
Khud Ki Saansein Tham Luga

Kya Tere Saare Aansu


Mere Ho Sakte Hain
Aisa Hai Toh Tere Khatir
Hum Bhi Ro Sakte Hain

Mere Khatir Mere Rone Par


Ab Tum Bas Hans Dena
Ek Bar Tere Muskurahat Ke Pichhe
Hum Sab Kuchh Kho Skate Hain

Kya Meri Mohabbaton Ka


Koyi Hisaab Nahi Hai
Kyun Tere Aankhon Mein
Mere Liye Koyi Khwaab Nahi Hai

Tujhe Kya Hi Karun Ghamzada


Ab Jaane De
Ke Tere Paas Mere Pyar Ka
Jawaab Nahi Hai

Kitni Muddatein Hui Hai


Tumne Khat Kyu Nahi Bheja
Gaa Leta Hun Tere Liye
Mausiqi Nahi Hai Pesha

Aane Ki Khabar Hi Nahi Tere Ab


Ab Kya Mausamon Se Puchhun
Tere Aane La Andesha

Aankhon Mein Aansu Nahi Hai


Kahaan Hai Tu Kahaan Tu Nahi Hai
Dil Ko Yeh Ab Jaan’na Hi Nahi
Bas Tu Chale Aao

Tu Hai Kahan
Khwabon Ke Iss Shehar Mein
Mera Dil Tujhe Dhoondhta
Dhoondhta Arsa Hua
Tujhko Dekha Nahi
Tu Na Jaane Kahan Chhup Gaya
Chup Gaya

Aao Phir Se Hum Chale


Thaam Lo Yeh Hath
Kar Do Kamm Yeh Faasle

Na Pata Ho Manzilon Ka
Na Ho Raste
Tu Ho Main Hoon Baithe Dono
Phir Hum Taaron Ke Tale

Na Subah Ho Phir
Na Hi Din Dhale
Kuchh Na Keh Sake
Kuchh Na Sunn Sake

Baatein Saari Woh


Dil Mein Hi Rahe
Tum Ko Kya Pata Hai
Kya Ho Tum Mere Liye

Kehkashan Ho Tum
Kahaniyon Ki Pariyon Ki
Tarah Ho Tum

Mujhmein Aa Sake Na Koyi


Iss Tarah Ho Tum
Ho Yakeen Tum Mera
Ya Phir Ghumaan Ho Tum

Aashiyan Ho Tum
Main Bhatka Sa Musafir
Aur Makaan Ho Tum

Meri Manzilon Ka
Ek Hi Raasta Ho Tum
Dhoondhta Hai Dil Tujhe
Bata Kahan Ho Tum Hmm..

Ho Jahaan Kahin Bhi


Aao Paas Taaki
Aansu Mere Tham Sake
Yaad Aa Rahe Ho Tum
Mujhe Ab Har Lamhein
Aisi Zindagi Ka Kya
Jo Tum Zindagi Mein Hoke
Meri Zindagi Na Ban Sake

Sochta Rahun Ya
Bhool Jaaun Ab Tumhein
Tum Mil Hi Na Sakogi Toh
Fir Kaise Chahu Ab Tumhein

Tere Saare Khwaab


Pal Mein Jod Denge
Jisme Tu Hi Na Basega
Phir Woh Dil Hi Tod Denge

Chhod Denge Woh Shehar


Ke Jisme Tum Na Hoge
Toot Jayenge Makaan
Woh Saare Hasraton Ke

Guzre Pal Jo Saath Tere


Woh Pal Hai Bas Sukoon Ke
Mil Lo Ab Tum Iss Tarah
Ke Phir Nahi Miloge

Tu Hi Tha Saath Mein Mere


Kaise Main Jeeyuga Akele
Taare Ginn Ginn Ke
Ho Gayi Hai Subah

Tu Hai Kahan
Khwaabon Ke Iss Shehar Mein
Mera Dil Tujhe Dhoondhta
Dhoondhta

Arsa Hua Tujhko Dekha Nahi


Tu Na Jaane Kahan Chhup Gaya
Chhup Gaya

You might also like