You are on page 1of 2

Hum Dekhenge 

- Faiz Ahmed Faiz 

Hum dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge 
Woh din ke jis ka waada hai
Jo loh-e-azl pe likha hai
Hum dekhenge 

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garaan


Rui ki tarah ud jayenge
Hum mehkumoon ke paun tale
Yeh dharti dhad dhad dhadkagi
Aur ehl-e-hukum ke sar upar 
Jab bijli kad kad kadkegi
Hum dekhenge

Jab arz-e-khuda ke Kabe se 


Sab but uthwaye jayenge 
Hum ahl-e-safa mardood-e-haram 
Masnad pe bithaye jayenge 
Sab taaj uchale jayenge
Sab takht giraye jayenge

Bas naam rahega Allah ka


Jo ghayab bhi hai hazir bhi
Jo nazir bhi hai manzar bhi
Uthega analhaq ka naara
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Aur raaj karegi khalq-e-khuda
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho

Hum dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Hum dekhenge 
Mehnaz sings Iqbal Chishti ne jis zamin me paigam-I-haq sunaya Nanak ne jis chaman me Wahdat
ka git gaya Tatarion ne jisko apna watan banaya Jis ne hijazion se dasht-e-Arab chhuRaya, Mera
watan wohi hai, mera watan wohi hai. Yunanion ko jis ne hairan kar diya tha, Sare jahan ko jis ne
ilm-o-hunar diya tha Mitti ko jiski haq ne zar ka asar diya tha TurkoN ka jisne daman heeron se bhar
diya tha Mera watan wohi hai, mera watan wohi hai. toote thay jo sitary, faris k aasmaaN se phir
taab de ke ji ne,chamkaye kehakshaaN se Wahdat ki lay suni thee duniya ne jis makaaN se meeer E
Arab ko aai Thandi hawa jahan say mera Watan wohi hai mera WataN woh hai. -Iqbal
-------------------------------------- Interpretation This is the land where Chishti preached the message
of truth; Where nanak sang the song of Unity of God; Where the Tartars made their home. And
enabled the people of Hijaz to leave the deserts of Arabia. This is my homeland, this is my
homeland. This country surprised the Greeks And gave knowledge to the whole world; God made its
soil as rich as diamonds, And it gave to the world priceless treasures, This is my homeland, this is
my homeland.

You might also like