You are on page 1of 7

Sufi poetry

Mian Muhammad Baksh | Sufi Poetry

Mali da kaam pani dena, bhar bhar mashkaan pawaye,Malik da kam phal phol lana laway
ya na laway.

Fazal kareyn tey bakhshey jaawan meyn jeay moonh kaley,Adal kareyn tey thar thar
kamban ucheyaan shaanaan waley.

J Main Vekhan Amlan Walle, Kuj Nahi Mere Palle


J Wekhan Teri Rehmat Walle, Balle Balle Balle

———————

Apne Mann Mein Doob Kar Pa Ja Suragh-E-Zindagi


Tu Agar Mera Nahin Banta Na Bann, Apna To Bann

Mann Ki Duniya! Mann Ki Dunya Souz-O-Masti, Jazab-O-Shauq


Tann Ki Dunya! Tann Ki Dunya Sood-O-Soda, Maker-O-Fann

Mann Ki Doulat Hath Ati Hai To Phir Jati Nahin


Tann Ki Doulat Chaon Hai, Ata Hai Dhan Jata Hai Dhan

Pani Pani Kar Gyi Mujh Ko Murshid Ki Ye Baat


Tu Jhuka Jab Ghair Ke Agay, Na Mann Tera Na Tann

———————

Kis se maangein, kahan jayein kis se kahein?


Aur duniya mein haajat rawaa kaun hai?

Sab ka data hai tu, sab ko deta hai tu


Tere bando ka tere siwa kaun hai?

Kaun maqbool hai, kaun mardood hai


Bekhabar kya kahabar tujh to kya kaun hai

Jab tuleinge amal sab ke meezaan par


Tab khulehga ki khota khara kain hai

Kaun sunta hai faryaad mazloom ki


Kis ke hathon mein kunji hai maqsoom ki

Rizq par jis ke palte hain shaah-o-gada


Tujh Ahad ke siwa doosra kaun hai

Auliya tere muhtaaj aey Rabb-e-kul


Tere bande hain sab anbiya aur rusul

Unki izzat ka baa-is hai nisbat teri


Unki pehchaan tere siwa kaun hai

Anbiya auliya ahl-e-bayt-e-nabi


Tabayeen - o- Sahaba pe jab aa bani

Gir ke sajde mein sab ne yahi arz ki


Tu nahi hai to mushkil kusha kain hai?

Mera maalik meri sun raha hai fughaan


Jaanta hai woh khamoshiyon ki zubaan

Ab meri raah mein koi hayil na ho


Namwar kya bala hai saba kaun hai

Ahl-e-fikr-o-nazar jaante hain tujhe


Kuchh na hone pe bhi maante hain tujhe

Aey Naseer is ko tu fazl-e-baari samajh


Warna teri taraf dekhta kaun hai

——————-

Mera Dil Badal De, Mera Dil Badal De


Mera Ghaflat Mei Dooba Dil Badal Day
Hawa o Hirs Wala Dil Badal De

Khudaya Fazl Farma Dil Badal Day


Badal Day Dil Ki Dunya Dil Badal Day
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Gunnah Gari Mein Kab Tak Umr Kaaton


Badal De Mera Rasta Dil Badal Day

Sunoon Main Naam Tera Dharkanon Mein


Maza Ajaye Moula Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Hata Loon Aankh Apni Ma Siwa Se


Jiyoon Mai Teri Khatir Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Karoon Qurban Apni Saari Khushiyan


Tu Apna Gham Ata Kar Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Sehel Farma Musalsal Yaad Apni


Khudaya Rehem Farma, Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Para Hoon Tere Dar Pe Dil Shikasta


Rahoon Kiyn Dil Shikasta Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Tera Ho Jaon Itni Aarzoo Hai


Bus Itni Hai Tamanna Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Merai Faryaad Sun Le Mere Maula


Bana Le Apna Banda Dil Badal Day
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Dil e Maghmoom Ko Masroor Kar Day


Dil e Pur Noor Ko Pur Noor Kar Day
Mera Zaahir Sanwar Jaaye Ilahi
Mere Baatin Ki Zulmat Door Kar Day
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

Maie Wehdat Pila Makhmoor Karde


Mohabbat Ke Nashe Mein Choor Kar De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day

——————-

Mera Dil Machal Raha Hai


Teri Yaad Mein Ilahi
TERE NAAM NE TO DIL MEIN
EK AAG HAI LAGAI

TERA DAR TO TERA DAR HAI


TERE DAR KI EK GADA NE
DUNIYA YADU KI AZMAT
MERE DIL SE HAI MITAIE

TERE HUSN PAR MAIN QURBAN


TERI NEEM SI NIGAH NE
MERE DIL KI UJDI BASTI
EK PAL MEIN HAI BASAIE

MAIN TERI NAVAZISHO PAR


HAIRAN HO RAHA HU
QARI NE MUJH KO SURAT RAHMAN
HAI SUNAI

TERE AASHIQO MEIN JEENA


TERE SANG-E-DAR PE MARNA
MAIN YAHI SAMAJH RAHA HU
TERE DAR KI HAI RASAIE

MERI ZINDAGI KA HASIL


TERI YAAD BAN GAYI HAI
TERE VASL KI TAMANNA
MERE DIL MEIN HAI SAMAIE

MUJHE DARD-E-DIL MILA HAI


SUN LO AI DUNIYA WALO
MAIN FAQIR-E-BENAWA HO
MUJHE MIL GAYI HAI SHAHI

—————

mein tere samne mein tere samne


jhuk raha hun khuda
mera koyi nahin allah tera siwa
mein tere samne

mein gunahgaar hun mein siyahkaar hun


mein khatakaar hun mein sazaawaar hun
mere sajdon me teri hi hamd o sana
mera koyi nahin allah tera siwa
mein tere samne

meri tauba hai tauba ay mere ilah


mujh gunahgaar ko tu na dena saza
meri aahon ko sunle ay haajat rawa
mera koyi nahin allah tera siwa
mein tere samne
mein to ghafaar hun tu ne khud hi kaha
nahin koyi nahin hai shehbaaz gaah
bakhsh dunga mein tujh ko hai waada tera
bakhsh dega hame ye hai waada tera
mera koyi nahin allah tera siwa
mein tere samne

mein tere samne mein tere samne


jhuk raha hun khuda
mera koyi nahin allah tera siwa
mein tere samne

————-

Sohbat Allah walon ki


Allah se milwa jati hai

Apna rang dikha jati hai


Sohbat Allah walon ki

Zulm-o-sitam ho dard ho gham ho


Ya koi ho ranj-o-alam

Sare taalluq rab se jodo


Kar dega wo nazren karm

Taar se taar mila jati hai


Sohbat Allah walon ki

Apna rang dikha jati hai


Sohbat Allah walon ki

Zikr-e-haq ki fikr-e-haq ki
Sacchhi lagan mil jati hai

Qalb ko Allah Allah Allah


Allah ki dhun mil jati hai

Maasiyat chhurwa jati hai


Sohbat Allah walon ki

Apna rang dikha jati hai


Sohbat Allah walon ki

Haq ke safeer hain ye


Badr-e-muneer hain ye

Raushan dimagh hain ye


Raushan zameer hain ye

Inki wafayen pyari


Inki adayen pyari

Inki sadayen pyari


Inki duayen pyari

Hain khushnaseeb log wo


Jinko naseeb ho
Sohbat Allah walon ki
Allah se milwa jati hai

Apna rang dikha jati hai


Sohbat Allah walon ki

Zindagi kya hai


Zindagi ka matlab

Sach sach samjh aa jata hai


Jab jab koi zanum-e-talammuz

Arshad aan dikhata hai


Zindagi bandagi bana jati hai

Sohbat Allah walon ki


Allah se milwa jati hai

Apna rang dikha jati hai


Sohbat Allah walon ki

—————

zafar' aadmī us ko na jāniyegā


vo ho kaisā hī sāhab-e-fahm-o-zakā

jise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī


jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā

———

Allah ko apnaa bana lo


Allah ko apnaa bana lo

Yeh Zindagee ik mauhlat haay


Roothay rab ko mana lo

Ab sub rishtoon ko choro


Allah saay rishtaa joro

Har gair saay ab hut cut kaay


Allah saay lo laga lo

Allah saay dooree kaisee


Allah saay gaflat kaisee
Ab sub wirdon ko choro
Allah ko wird bana lo

Allah ko dil mein basa lo


Allah ko apnaa bana lo

——

Aah Jaati Hai, Asar ko kheench Laane K Liye Baadlon Hat Jao! De Do Raah Jaane K
LiyeAye Dua faryaad Kar, Arshe barein ko Tham KAye Khuda! Ab Pher De Rukh Gardishe
Ayyam KKhlaq K Rounde Huye, Duniya K Thukraye HuyeAae Hain ab Tere Dar Par Haat
Phailaye Huye

Haq Parston Ki Agar Ki Tune Diljoi Nahi Taana Denge But K Muslim Ka Khuda koi Nahi
Khwar Hain, Badkar Hain, Doobe Huye Zillt Me Haiinjo Bhi Hain aaqaaa, Tere Maheboob
Ki Ummat Me HainRaham Kar. Na Apne Aaine Karam Ko Bhul JaaHam Tujhe Bhule Hain
Laikin Tu Na Ham Ko Bhul Jaa

—————

Balaghal-ula bi-kamaalihi
Kashafad-duja bi-jamaalihi
Hasunat jameeu khisaalihi
Sallu alaihi wa aalihi

—————-

Eh dosto sab mil ke kaho, Apney Rab ko yaad karo


Usne Nabi ki ummat se hamein peyda kiya Subhaan Allah

Oh Friends, all together proclaim, remember your Lord


He has blessed us with life in the ummat of Nabi Salla Allahu Alayhi wa Sallam,
Subhan Allah

Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Gulshan, gulshan mehek uthay, arz o samaa sab chamak uthay


Salli 'Alaa ke taraanon se har su parinday chahak uthay
Kon hai kiski aamad par hai charcha Subhaan Allah

The rose gardens emitted perfume, the earth and the sky began to shine
The chants of Salli 'Alaa drew the chirping of birds from all direction
Who is the one whose arrival has caused all this talk, Subhaan Allah

Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Wal Layl siyaahi zulfon ki, chehra Wad Duhaa uska


Saare jahaan ka pyaara hai, Aap muhibb hai Khuda uska
Rab nai banaya jab usko khud Aap ne kaha Subhaan Allah

Hair as black as Wal Layl, face like Wad Duhaa[i]


He is the beloved of the entire world, he is Your beloved too, oh Lord
When the Lord created him, He himself uttered, "Subhaan Allah"

Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Jo tera hai wo Mera hai, jo tera naheen wo Mera naheen


Sab teron ko bakhshoonga, kuch ghum na kar mahbub-e-Haseen
Tu chahta kya hai abd Mere zara lab to hila Subhaan Allah

He who is yours is Mine, and he who is not yours is not Mine


I will forgive all who are yours, feel no grief, oh beautiful beloved one
What do you wish oh My slave, just a move of your lips, Subhaan Allah[ii]

Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Jesay chaand saja hai taaron se yoon bazm saji tere yaaron se
Siddiq, Umar, Uthman o Ali, mujhay pyaar hai tere pyaaron se
Qur'aan mein Rab ne sahaba ka bara zikr kiya Subhaan Allah

As the moon is decorated by the stars, the universe is decorated with your friends
Siddiq[iii], Umar, Uthman and Ali, I love your beloved ones
The Lord has oft made mention of the Sahaba in the Qur'aan, Subhaan Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Jab Hoz-e-Kawthar par aaqa taqseem karinge khud saagar


Saat unke khaadim bhi hongey, Siddiq, Umar, Uthman, Haider
Farmayenge aaqa ,"Phir Saify, tu naat suna, Subhaan Allah"

When our master will himself distribute water at the Foutain of Kawthar
He will have his helpers with him; Siddiq, Umar, Uthman, Haider[iv]
Our master will order, "Again Saify[v]! Recite the naat[vi], Subhan Allah"

Allah Allah Allah Allah Allah Allah

You might also like