HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFASALLAL LAAHU ALAIHI WA SALLAM KI SEERAT
PART I - PAIDAISH SAY 40 SAAL TAK
Quraish Makkay Mukarramah ka ek mashhoor qabila hai jo Hazrat Ismaeel a.s. ki aulaadmien say hai , qabila quraish mein kayee baday baday khandaan thay un mein ekkhandaan Bani Haashim ka tha , Haashim apnay khandaan mein baday muazzaz ,sakheeaur mehmaan nawaaz shaks thay , Haashim kay betay Shaiba hai jo Abdul Muttalib saymashhoor huay , Abdul Muttalib kay betay Abdullah hai , Abdullah apnay baap kaymehboob betay thay unki shaadi qabilay quraish hi kay ek baday gharanay mein huyiunki biwi ka naam Aamina tha , Hazrat Bibi Aamina kay ghar ek bachcha paida hua jisnayandhayri duniya ko ujalay mein badal diya Arab ki sooti bastiyon ko jaga diya , yehi wohbachcha hai jis ko duniya MUHAMMADUR RASOOLUL LAAH SAWS kay naam say yaadkarti hai , Arab kay dastoor kay mutabiq daayi Haleema nay Aap SAWS ko doodh pilaya.Aap SAWS jab 6 saal kay huay to Aap SAWS ki walidah ka inteqaalhogaya aur Aap SAWS kay us duniya mein tashreef laanay say pahlay hi Aap kay walidka inteqaal hogaya tha aur Aap 8 saal 2 mahinay 10 din kay huay to dada Abdul Muttalibka bhi inteqaal hogaya. Phir Aap SAWS kay chacha Abu Talib kay saath Mulk e Shaam kapahla safar kiya. Quraish kay loog Aap SAWS ko ameen aur sadiq kehtay thay, isliye AapSAWS amanatdaar aur sachchay thay Hazrat e Khadija (R.A.) nay Aap SAWS ko maaltijarat say kar Mulk e Shaam rawana kiya, Aap SAWS nay poori amanatdaari say tijarat kiAap SAWS kay akhlaaq say woh bay-had mutasir huyi, kuch arsa kay baad Hazrat eKhadija (R.A.) nay nikaah ka paighaam bheja, Aap SAWS nay manzoor farmaya, nikaahkay waqt Huzoor SAWS ki umar 25 saal aur Hazrat e Khadiya ki umar 40 saal thi, AapSAWS kayee-kayee din ka khaana – paani lay kar ek pahaad kay ghaar jis ka naam Ghaar e Hira tha tashreef layjaatay thay aur wahaan Allaah ki ibadat kartay thay.
PART II - 40 SAAL SAY 53 SAAL TAK
Jab Aap SAWS ki umar 40 saal ki huyi to Hazrat e Jibraeel (A.S.) Ghaar e Hiramein tashreef laaye aur Aap SAWS ko us baat ki basharat di kay Aap SAWS Allaah kayRasool hai Quraan e Majeed ki pahli ayatein “ iqra bismi rabbikal lazee khalaq – khalaqalinsaana min alaq” nazil huyi, Aap SAWS nay pahlay-pahlay chupay-chupay islaam kidawat di, sub say pahlay Aap SAWS ki biwi Hazrat e Khadija (R.A.) nay islaam quboolkiya, mardon mein Hazrat e Abu Bakar Siddiq (R.A.), ladkon mein Hazrat e Ali (R.A.) aur khadimo Zaid bin Harisah (R.A.) nay islaam qubool kiya.Rafta-rafta islaam ki awaaz loogon kay kaano mein padhnay lagi, 3 saal takbarabar chipay-chipay islaam ki tableegh hoti rahi, is arsay mein 30 - 35 aadmiyon nayislaam qubool kiya, Kaaba kay qareeb ek gali mein Hazrat e Zaid bin Arqam (R.A.) kaymakaan mein Huzoor SAWS aur tamaam musalmaan jama hokar Allaah ki ibadat kartaythay. 3 saal baad khullam - khulla islaam ki dawat di gayi, uskay saath hi Huzoor SAWSaur Aap par emaan laanay walon par takleefon aur e’zaaon ka silsila shuruh hogaya.